Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 12137
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam o alikum mera sawal ye he ki maine apni biwi ko gusse me yek hi din me 3 talaq de di magar me usse chodna nahi chata me naya musalim bana hu to mujhe iske bareme ilm nahi tha abb me kya karuiska koir rasta he me usse juda nahi hona chata

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Talaq ki shariat mai sai hai k mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12142
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA! Kiya larki talaq k baad apni jahez k sath sath shohar ki bhi banai howi ya li howi saman ly ja skti hai? Ya sirf apni jahez ka saman ly ja skti hai?

Answer: Talaq k baad faqat biwi faqat apni chizain lay jaa sakti hay, shohar ki di hoe cheezo per shohar ka haqn hay, ab os ki marzi hay keh wo aap ko di hoe cheez wapas lay llllay ya aap ko layy janay day.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#2, Maslah#1320,eidition 1439 ). [Updated on 22-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12145
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Talaq k bad dosri jaga nikah ho gia ho lakin rukhsati se pehlay dobara talaq ho gae tu kia pehla shauhar se nikah ho sakta

Answer: Aik talaq k baad Q keh halale ki zaroorat nahi hoti, is liay pehle shohar sai nikah jaiz hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2349) [Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12159
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main sunni ho mainy shia larki sy shadi ki mainy 3baar talaaq keh diya usy kya talaaq hojaegi jabky nikkah shia howa tha hamara Or agar talaaq hogai hy to ham sunni nikkah karsakty hain kya

Answer: Agar shia larki ko os ka sunni shohar sunni mazhab k mutabiq 3 talaq de day tu talaq baa,en ho jaati hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.), Jadeed masael, Masla # 49) (Note: Aap ki talaq nahin hoye lihaza dobara nikah ki zaroorat nahin.) [Updated on 30-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12161
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera shohar nai gussa mai mujha 3 baar talaq bol diy ,usa waqt ghar mai koi nahi th ,ky humra talaq hogy

Answer: jee nahi mazhab e jafferia mai is tarah talaaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatllah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 17-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12168
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar sharai nikkah kiya ho or shohar kuch arsa baad kahy k wo sath ni reh sakta ku k wo family k against ni ja sakta or bivi ki marzi na ho to kya talaq ho jati hai?

Answer: Fiqh e jafferia mai is tareqay sai talaq durust nahi hai. or isi tarah kunwari ghair mustaqil larki ka nikah os k baab ya dada ki ijazat k baghair jaiz nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12189
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum! Kya biwi agr halat-e-haiz mn ho aur shohar msg py ghussy mn 3 talak likh dy, tou talak ho jae gi?

Answer: Ye talaq batil hay. Q ke Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12307
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 3 bar talaq day di usy raat pachatawa ho gya wo aik dosry ko chorna nae chahty to raju ho sakta hai ya nae?

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). (Note: Agar in sharaait ki pabandi ki gayi he to talaq ho jaye gi lekin agar in sharaait ki pabandi nahin ki to talaq nahin hogi) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12336
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum mere husband roz nasha krte hain Or aaj mujhe unho ne Talaq kaha maine poocha kia kaha phr dobara kaha talaq or phr 2 bar phr kia ye talaq hwe ya nh Mai boht pareshan hn plz mujhe juldi reply keein

Answer: (Note:) Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diye jatay hain. Talaq ki shariat mai sai hai k mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) [Updated on 20-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12388
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamualikum agar nikkah hugya ho par ruksati na hui hu.or husband bahar mulk me hun or bt na kiye huwe 6 7 maah hu jaein to nikkah rahe ga? Or Narazgi ki waja time na dena hu or bt krne se mana be shohar ne kiya hu...

Answer: wsalam. Kaafi arse baat nah karne ki wajah sai nikah baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2345) [Updated on 21-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!