Question: Asalamualikum agar nikkah hugya ho par ruksati na hui hu.or husband bahar mulk me hun or bt na kiye huwe 6 7 maah hu jaein to nikkah rahe ga? Or Narazgi ki waja time na dena hu or bt krne se mana be shohar ne kiya hu...
Answer: wsalam. Kaafi arse baat nah karne sai nikah baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2345). [Updated on 21-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mjhe ye puchna h k mere husband or meri separation ho chuki h divorce ni hoi or un hone mjhe bola h k tum meri taraf se azad ho. to aesi situation m kisi or se muhabbat krna jaiz h?
Answer: wsalam. Fiqh e jafferiya main is tarah talaq nahi hoti. Na-mehram say izhar-e-muhabbat kerna haram hai or is k muqadimaat(starting step) haram hain..(ref:book nigah aur libaas,pg#69,maslah#106). [Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main Suni hu mera sawal ha many wife ko 3 talaq di or wife halaaf uthati ha osny aik talaq sunni is bare m plzz bata de ap?
Answer: is webssiite per fiqh e jafferia k mutabiq jawabaat diay jate hain.[Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mary husband NY 3 br mujhy talak bola or 5 min kha Hy ma NY Dil sy nhi kha tu kia talak hu jati hy??? Ma suni hu or husband Mary Shia Hy hmara nikkah fiqa jafferia kitrh hua Hy?
Answer: Jee nahi is tareekay ki talaaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472) [Updated on 12-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walekum Mera ek sawal hai aapse kya sohar ko koi tarah ka dabav dekhkar aur gusse ki halat mein sohar teen bar talaq Diya to kya talaq ho jaega
Answer: Fiqh e jafferia mai is tareeqay ki talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472) [Updated on 16-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 10 saal phla aik talaq di uska hadiya da dia aik saal baad talaq di hadiya da dia ab dobara talaq di h to kya talaq ho gai? am ahle sunnat
Answer: Is website ppper fiqh e jafferiya k mutabiq jawabat diay jaa tay hain. [Updated on 20-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere husband na kl rat shaded larai k bad gussay main mere ami k samny mjhe talak talak talak kh diya kya ic sorat mh mjhe talak hougyi
Answer: jee nahi is tarah ki talaaq mazhab e jafferia mai durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472) [Updated on 07-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alaikum sir ager koi talaq da but dil ma uski niyat agle bande ko drane ki ho ke wo theak ho jae to talaq mani jae gi ya,nhi
Answer: Is tareeqay ki talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 masail no 2462-2472). [Updated on 11-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: qanooni talaq k bawjood 3 saal bad kia 2 bara nikah ho sakta hai bagir halala k
Answer: Fiqh e jafferia mai qanooni talaq durust nahi hoti talaq k liay arabi main seegha parha jana zarori hay ooor degar sharaet zarori hain. lehaza aap ka nikah abhi tak baqi hai.(Ref:(http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/) [Updated on 17-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam.o.Alakum. Muja ye maloom karna hai k biwi ghar chor k chali jay baghar permission k shohar ki or 4 month say zayda hojay to nikha raha ta hai k khtam hojata hai or baghar permission k jana kaisa amal hai islam main..
Answer: Is tarah Nikah nahi toota albatta shohar ki ijazat k bagahir ghar sai nikalna haram hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2376). [Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]