Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 12659
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alaikum agha sahab mjhy talaq deni hai apni biwi ko talaq ke seeghy bta den aur ye seeghy khud parh sakty hain?

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jese k 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon, or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, laihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Note : Agar in sharaait ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. aur shohar khud bhi talaq ka seega jaari kar sakta hai. aur aap is link pe Talaq ke mukammal ahkam aur sharait dekh saktay hain). https://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/ [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12668
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mare walda ko mare wife nahi pasnd ma jb b ghar aga hu rahri rahte ha mera pasnd ki shdi ki wja sa mare wife k waldan aus sa nahi milta mera ghr waly chaty ha k ma apni bv ko divorce dydo lakin ma asa nahi chata

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. un men se aik ye hai ke, Zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hai, yani talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). [Updated on 30-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12736
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar mufti ne khula jari kiye q ke shohar apne hukkuk adah nahi kar raha tha to kia tab bh biwi ko , shohar ko meher ki rakam return dena ho ga

Answer: 1)Fiqh e jafferia main court sai talaq ya khulaa nahi hoti, jab aap k husband aap ko talaq dein gay tab hi aap doosri shaadi karsakti hain.(Ref:(http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/) 2)Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, talaq e khula kehtay hain. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492) (Note:) aap apne shohar ko talaq daine par razi Karin k wo aap ko talaq day chahay wo kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo aap ko talaq day. yehi iska qanoni or sher,e hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e shar,e puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day.(ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg#148) [Updated on 27-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12737
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1 year se husband wife saperat reh rahe hai to or khula ho gaya hai to ab wife ko idat karna padega ya nahi. Or agar idat hogi to kitne din ki hogi

Answer: Fiqh e jafferia main court sai talaq ya khulaa nahi hoti, jab aap k husband aap ko sahe talaq dein gay tab hi aap iddat ke baad doosri shaadi karsakti hain. Srif shohar or biwi ka aik dosere se Juda hojaane se talaq nahe hote (Ref:(http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/) [Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12757
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mery husband ny larai k bad 3 bar talak talak talak bola kia aisy kehny se talak ho jati ha.

Answer: Talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat 3 bar talaq kh denay sai talaq nahi ho jati hai talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508) [Updated on 09-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12763
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: M ne apni biwi ko ek notice written bhejta hay divorce ka us k 17 din bad talaq ka msg Kia ab wapsi ho Sakti hay or kasy ho Sakti hay please

Answer: Court ki talaq durust nahi hoti hay. Q k os main fiqh e jaffiya ki talaq ka lehaaz nahi rakha jata. Aap ki talaq nahi hoe or aap apni biwi se sulah ker sakte hain. (http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/). [Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12837
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr husband wife ek dusre ko talak dena chahte hen or kafi saalon tk ek dusre se bat nhi ki he or niyat b dono ki yehi he k talak chahye per baren unko roke hue hen k talak ya khula nh. To kia asi surat me kitne time tk talak ho jati he ?

Answer: Talaq sahi honay ki chand shrait hain sirf ziada muddat lataluqi karne sai aur door rehnwe sai talaq nahi hoti or nikah bhi khatam nahi hota, talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si sharait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. Agar in sharait ka khayal na rakha jaye to Talaq nahin hoti (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462,2472,2508) [Updated on 13-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12844
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Khula ki idaat kitni hoti hai agar us ka shoher us se 6 months se dour ho tu

Answer: Talaq sahi honay ki chand shrait hain faqat 6 mahine door rehne sai talaq nahi ho jati hai talaq k lie 2 aadil gawahoo ka samnay moujood honay zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si shrait hain jin ka talaq k waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-2508) [Updated on 15-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12848
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kunware mard k leye talaq yafta larki se shadi krne khawale kuch rehnumai kren plz

Answer: Talaq yaafta aurat se shadi ki ja sakti hai, Aurat q k talaq yafta hai is lie us k wali yani baap ya dada sai ijazat ka masla bhi nahi hai magar is baat ka khayl rakhain k wo aurat talaq ki iddat mai na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341,2342) [Updated on 16-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12865
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mene meri biwi ko kaha agr tune fala kam kiya to talaq dedunga lekin bad m us kam ki ijajat dedi to kya talaq ho gai

Answer: Jee nahin is tarah talaq nahin hoti q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) [Updated on 18-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!