Question: Mene mere biwi ko talaq ka ikhtiyar likh k dediya usne usi samay mujhe likh k bheja m tumhe talakk deti hoon kya talaq ho gai
Answer: Fiqhe jaferia ke mutabiq Ye talaq durust nahi hai q k talaq ki kuch sharaet hain jese talaq likh kar nahi di jaati balkeh us k seeghay ada karna zaroori hai or wo seeghay doo aadil gawah ki moujoodgi mai adaa karnay hai.....wagera.Fiqhe jafira me talaq dene ka haq aurat ko haasil nahe hai balke mard ko haasil hai. Albatta shohar apni biwi ko talaq dene ke lie Apne biwi ko vakeel banadakta hay ke wo biwi Apne shohar ki niyabat me talaq ki tamaam sharaait ko madenazar rakhte hoe Apne shohar ke taraf se Apne aap ko talaq dede.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462--2472,2503). [Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sohar biwi ko talaq lene ka ikhtiyar de or biwi talakk dede to talaq ho jagi?
Answer: Asal islaam men orat ko talaq ka koi haq nahi hai albatta shohar apni marzi se orat ko tafweez de (matlb orat ko apna wakeel bnaye k tum meri taraf se meri wakeel bnakr talaq k seeghe jari kr sakte ho) to ye jaiz hai, albatta orat ka nikah k wqt ye shart krna k talaq ka haq mjhe diya jaye to ye bat shareet k munafi hia is surat men shart batil hai lekin hojane wala nikha sahi hoga, lekin baz suraton men orat shohar se nikah k wqt haq-e-tafweez (is ka matlb upr byan hogaya) talab krti hai to wo baz suraton men(jese shohar safar taweel per chala haye or na lote, ya shohar aysa jurm kre k qaid men chala jaye, ya apni biwi ko ek mahine tak nan-o-nafaqa na de, etc) to jaiz hai harj nhi hai ye shart or nikah sono sahi honge.(Ref : Ayat_ul_Sistani db, Minhaj-ul-saliheen Part#3,Masla # 331-334) [Updated on 17-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mian bv main larai ho rahi thi to mujhe se tujhe talaq dete hn alfaz nikal gay kya talaq ho gayi
Answer: fiqhe jaferia ke mutabiq Ye talaq durust nahi, Q ke talaq arabi zaban main daini zarori hay or 2 adil mardo ki maujoodgi main di jaey Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Ayatullah khoe(r.a),Tauzeehul masail, maslah #2517). [Updated on 09-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koi shakhs apni bv ko talaq samny keh kr to na dy mgr logo sy kahy k me to isy talaq dy Chuka hon to iska Kia hukam h bv jb sun ly logo sy ye bat?
Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh (notice)ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taliq“طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil gawahon ki maujoodgi main di jaay (jo zahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) . 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masail, maslah # 2507 to 2518)(Note: Agar aap ne in sharait ko madde nazar rakhtay hoye talaq di thi to talaq ho jai gi lekin agar aap ne talaq dete waqt in sharait ko madde nazar nahin rakha to taalq nahi hogi.) [Updated on 28-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum YA ALI A.S MADAD meri biwi ny mjhsy 7 din pehly khula lia h or ab wo wapis ana chahti h to us k liye kia proccedure lagoo hoga shariat k hisaab se
Answer: 1)Fiqh e jafferia main court sai talaq ya khulaa nahi hoti, jab shohar biwi ko talaq dega tab hi talaq ho sakti hai.(Ref:(http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/) 2)Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko kehtay hain, jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492).(Note: Agar upar diye gaye fiqhi masale ke tehat aap ne apni biwi ko talaq nahin di thi to talaq nahin hogi aur aap bager nikah ke ruju kar saktay hain.) [Updated on 06-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alaikum meri shadi meri cousin sy hoi hai main usay pasand nahi krta or us sy mery pahly din sy izdawaji taluq nahi hai wo talaq b laina nahi chahti or nahi ya k Sath rehna nahi chahta islam is baary main kya kahta hai
Answer: Nikah ki sharait men se hai k mard aur aurat dono shadi per razi hon lehaza mard aur aurat ki razamandi ke bager nikah sahi nahi hai. Fiqhe jafira me talaq dene ka haq aurat ko haasil nahe hai balke mard ko haasil hai. yani mard chahe to talaq day chahe to na day.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2335,2503 ) [Updated on 05-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera nikah 2015 me huwa 2016 me khula liya maine uske next week hum mil gai kya mera nikah h ya katam hogya..
Answer: Talaq e khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. Aur court se li gai talaq khula k zariye talaq nahin hoti, is lihaz se aap abhi tak apne shohar ki zojiyat men hen or ap k liye koi iddat nahi hai (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2492). [Updated on 02-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera nikah 2015 me huwa 2016me maine khula liya khule k dusre hafte me hum mil gai kya mera nikah me hu ya nhy
Answer: Talaq e khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. Aur court se li gai talaq khula k zariye talaq nahin hoti, is lihaz se aap abhi tak apne shohar ki zojiyat men hen or ap k liye koi iddat nahi hai (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2492). [Updated on 02-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Idat Ka time kB shuru hota he 1st talaq mlnay k bad Yan 3talaq mukamal honay k bad idat Ka time shuru hota he
Answer: Jis waqt pehli talaq k seghay jaari hoay thay os waqt se hi iddat shuru ho jaati hay.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2480). [Updated on 15-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamwalaikum. Hamara sawaal ye hai ki agar biwi apne shohar se talaq lena chahe to shohar ko apni biwi ko mehar ada karna hoga ya nahi. Qki shohar kharcha nahi uthate maarte hai bahut zulm karte hai isliye talaq chahiye.
Answer: Talaq e khula main aurat apne shohar ki taraf mael nahi hoti or os se nafrat karti ho, apna mehr ya koe or maal baksh day takkeh shohar os ko talaq day is taraah ki taalaq ko talaq khula kehte hain. App ki talaq min is talaq e khula ki sharaet maujood nahi hain, lehaza shohar per talaq daine ki sorat main meher wajib hoga. (Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani, maslah#2491+ minhajus saliheen, jild#3, maslah#308) [Updated on 14-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]