Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 13120
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Humbistri me agar larki or larky 2no ko feelings aae lekin puri trha discharge na hosky naturally hi to halala li shart puri hogai?? Haq e zojiyat ada hojaega??

Answer: fiqhe jafferia ke mutabiq ,Halala karnay ki zarorat us sorat men parhti hai jab teen talaqain hoi hoon lehaza aik talaq ki wajah say halala ki zrorat nahi parhati hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #520) [Updated on 01-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13133
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Khula kitne din mn hojati hai

Answer: Talaq e khula : Ye us aurat ki talaq hoti hai ke Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho (ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat (maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. Lekin court se li gai talaq khula k zariye talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh e ul masail Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2492). [Updated on 26-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13139
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi ladki khula Lena cahti hai aur ghar wale mana karte hain to kya ye Sahi hai

Answer: 1)Fiqh e jafferia main court sai talaq ya khulaa nahi hoti, jab shohar biwi ko talaq dega tab hi talaq ho sakti hai.(Ref:(http://www.sistani.org/urdu/book/61/3650/) 2)Talaq e Khula: ye us aurat ki talaq ko kehtay hain, jo apne shohar ki taraf maail nah ho aur us se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13148
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia sober say Court may khula Leni wali aurut Apnay shohar Kay saath rehsakti hay

Answer: Note: Is website par fiqhe e jafferiya k mutabiq jawabat diay jaatey hain. Aur Fiqh e jafferiya main is tarah talaq nahi hoti. Jab tak shohar apni marzi se talaq na dede tab tak talaq durust nahi howa karti. aur court ki talaq k baad bhi aurat apne shohar ki biwi hi hogi.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13181
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: M ny apni bv sy kaha k tm apna hath mt katna wrna wrna hamara rishta khtm..kafi time bd usny apna hath kat liya. Kia hamara rishta ab khtm hugya??

Answer: (Note: Is website par fiqhe e jafferiya k mutabiq jawabat diay jaatey hain.) Aur Fiqh e jafferiya main is tarah talaq nahi hoti. Jab tak shohar apni marzi se talaq na dede tab tak talaq durust nahi howa karti.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13259
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ek sawal hy agr meri biwi sy ni bani aur kuch aesi cheazy dekhi me ny jo k boht na qabil e berdasht the jiski waja sy me roka b kafi dafa magr ab me os sy alada hona chahta hu kya Quran ki Rooh sy me talak dy skta hu ya mujh prr gunah hoga????please ans

Answer: Jee han Aap usay talaq de saktay hain, Q keh talaq dene haq shohar ke pass hota hai, lekin talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho. 2. Talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4. Talaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5. Zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6. Mard talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13287
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA AGAR GUSSE HI HALAT MAIN EK BAR MSG MAIN TALAAQ LIKH KAR SEND KAR DIYA JAYE TO KYA TALAAQ HO JAYEGI.JABKI NIYAT TALAAQ DENE KI NHI HAI.

Answer: Talaq sms k zarie nahi hoti hai aur na hi ghusy mein hoti hai q k talaq ki shriat hain: 1.Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e طالق k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13341
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر شوہر بیوی کی غیر موجودگی میں طلاق دے تو کیا طلاق ہو جائے گی یا نہیں..؟؟؟

Answer: Talaq ke waqt Biwi ka mojood hona zaroori nahin hain. Lekin biwi ki mojoodgi ke ilawa Talaaq ki chand aur shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. jese ke no.1 talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. no.2 talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. no.3 Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. no.4 talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. no.5 zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. no.6 Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). (Note: Agar aap nay uper biyaan ki gayi sharait k mutabiq Talaq di thi to aap ki talaq ho jaaigi. aur agar aik bhi shart kam ho tu talaq nahi hoti.) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13413
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere sawal hain agar nikkah hua ho ruksati or husbnd wife ki larai main sohar sirf yeh keh de k hain mere irada hain.. tou kya talaq hojati ha? Plx ans me

Answer: Is tarah se talaq nahi hoti. Talaq ki kaafi sharaet hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, pg# #357). [Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13428
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shohr bv me narazgi ho( 10 year )sall tk 2no apna rishta age chalana na chahte ho to fr b talaq lena lazim he ya zyada arsa door rehne se talaq ho jati he ..kuch roshni ki request

Answer: Ziyada arsa door rehne sai maktab e jafferia mai talaaq nahi hoti.(Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!