Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 13431
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa sir agr koe nikha kre r nikha k bad talaq Dy Bina ruksti k tu Kia PHR dobara usi lrki sy nikha kr skta h....thanhi m wo milen hn laken koe kilwat wagera na hue tu Kia usi lrki sy dobara nikha jaiz ha

Answer: Talaq ki khuch sharait hen, agar aap aik talaq de chuke hen apni biwi ko to teesray haiz aanay se pehlay aap apni biwi se agar ruju kerna chahtay hain tu ker sakte hen bagher nikah k, albatta agar teesra haiz aa jaey tu phir ap dubara nikah ker saktay hain. (Note: Ruju ka matlab hai dubara biwi ko apnana or us se dubara relationship qaaim kerna,) or ruju 2 tareekon se kiya ja sakta hai 1)shohor aisi batain kare k jin se pata chale k usne usay dubara apni biwi bana liya hai. 2) koe kam kare or us kaam se ruju kerne ka irada kare or jimaa (humbistary) kerne se ruju sabit hojata hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 33rd edition,msla#2488). [Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13446
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sewal ya h k agr shohar ne ghr say bahir ja k sirf baap ko kaha ho k telaq di tu ghr walon main say kesi ne na suni ho or biwi ne bhi ni suni ho tu kea telaq ho jayi h.?

Answer: Fiqh e jafferia main Is tarah talaq nahin hoti. Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. jese ke no.1 talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. no.2 talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi. no.3 Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. no.4 talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. no.5 zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. no.6 Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13452
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Larka ne baap say kahha h k main ne telaq di tu biwi ne ni suni or puray haqooq say bhi ni bola k telqa di tu kea aisay telaq ho jati h?

Answer: Fiqh e jafferia main Is tarah talaq nahin hoti. Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. jese ke no.1 talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. no.2 talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi. no.3 Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. no.4 talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. no.5 zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. no.6 Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13461
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar sirf nikka hua ho or rukhste na hue ho or lrka contact na kre or na khula de tu Kia lrke ko court se khula Lena chahye ya Kia krna chahye ??

Answer: Shia mazhab main talaq court say nahi li ja sakti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 39th, maslah # 2492,) [Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13471
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Agr bina gawah k nikkah kiya jay r kis clash ki wja sy talaq dy di jay to dubara ussi lrki sy nikkah krny k liye halala zroori ho jata h?

Answer: 1: Nikah ki sharaet main sai hai k agar larki kunwari ho tu nikah larki k wali baap ya dada ki ijazat se ho or dono larki or larka khud bhi raazi hoon nikah k seeghay Sahi arabi mai adaa kiye jaaye or nikah main gawah ki zarorat nahi hoti waghera (Ref: tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2335, 2341) 2: Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. jese ke no.1 talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. no.2 talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi. no.3 Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. no.4 talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. no.5 zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. no.6 Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). 3: Halala karnay ki zarorat us sorat men parhti hai jab teen talaqain hoi hoon lehaza aik talaq ki wajah say halala ki zarorat nahi parhati hai is liay baghair kisi halala k nikah kiya jaasakta hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #520 ) 4: Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq dai kar oski taraf roju kar lai ya osay 2 dafa talaq dai kar os sai nikah kar lai ya aik talaq k baad roju kar lai aur aik talaq k baad nikah kar lai to teesri talaq k baad wo aurat is mard par haram ho jae gi. laikin agar choti bar bhi nikah karna chahay to halala karna parta hai. aur halala ki 5 shartain hai. jin ki pabindi zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2491) [Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13502
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.a.... shohar agr gusy m khy k m tmhyn talaq dy doun ga..... r ak br dy b dy..... lkn mood thk hny pr wo sorry kr dy.... r aca ak do br hwa ho..... to es sy kea talaq ho jati...??? please guide...

Answer: Maktab e jafferia mai is tarah ki talaaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13507
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam o alaikum. me ye poochna chahta hoon ke me ny apni maa ke samnay apni biwi ko aik baar talaq di . to kya wo talaq mani jae gi? aur kaha jata hy kke 2 gawah honay chahiyay to kya orat ki gwahi adhi nahi smjhi jati?

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay, 3. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 4. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 5. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 6. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaye. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13533
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kay msg mai likh ki mai tumhe khula deta hu wo Bhi bina biwi nay khula na mang ga Ho kay khula ho jata h

Answer: Jee nahi text msg par talaq dena sahi nahi hai Q k zaroori hai k talaq ka seegha arabi main parha jaey or do aadil mard isey sunain. (Ref:Tauzeeh ul masail Ayatollah Sistani(d.b), edition 39th, maslah # 2472). Talaq e khula : Ye us aurat ki talaq hai k Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. (Ref : Tauzeeh e ul masail Ayatullah Sistani(d.b.) Masla # 2492) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13536
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O alikum mhn ny shadeed Gussy ki halat mein apni bv ko do bar talaq bol dia . Or jab mein ny apny alfaz py gor kia to mhn khamosh ho gya. mjhy bout shrmndgi or ndamat mehsos hui . to is sort e hal mein kia hamra nikkah slamat hai ?

Answer: Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. un me se aik ye hai ke Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. is ke elawa aur bhi sharait hain jese ke 1 talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. no.2 talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi. no.3 Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. no.4 talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. no.5 zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). [Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13551
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar mard ko demaghi masla ho jaisa k shizophrania Jo k 1 demghi bemari hai aur is halat me wo bv ko 3 dfa talk de dta hai to kia talaq ho jae gi??

Answer: Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. no.1 Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. no.2 talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. no.3 talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi. no.4 Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. no.5 talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. no.6 zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). (Note: Agar talaq ke waqt in sharait men se koi aik bhi shart nahin payi gaye to talaq nahin hogi.) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!