Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 13567
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sunni larki ki sharabi se shadi hwi... us ne usay haiz me talaq di.... kya wo iddat pori kr k shadi kr skti ha?

Answer: Aap ki talaq nahin hoyei, Q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. un me se aik ye hai ke talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho. is ke elawa aur bi sharait hain jese ke 1.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 2. talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 3.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 4.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 5.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, Edition 39th, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13569
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Gussy ki halat mn 3 talaqain ho jati hn

Answer: Jee nahin, ye talaq nahi hui is liye k talaq k liye zaruri hai k insan apni biwi ko talaq dene ka qasd or irada rakhe, lehaza gusse or bager irade k ya phir kisi or k kehne k talaq sahi nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13571
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya 3 talaq k bad mard aurat sy iddat k duran rujue kr sakta ha

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1- Shadeed ghusse ki halat main talaq nahi hoti. 2) Agar aik sath 3 talaq di jain tu bhi aik talaq shumaar hogi. Or is talaq main ruju bhi kia jasakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen Part#3, Maslah #475,511) Is ke elawa Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 3. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 4. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 5. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay, 6. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13572
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aik e bar biwi ko 3 talaq bol diye jaye to talaq ho jaye gi ya aik talaq e shumar ki jaye gi

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 3. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 4. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 5. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay, 6. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13573
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya 3 talaq k bad iddat k duran aurat apna rehny r khny peeny ka khrcha mard apny shohar sy ly gi jis ny use talaq dy di

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Agar aik sath 3 talaq di jain tu bhi aik talaq shumaar hogi. Or is talaq main ruju bhi kia jasakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen Part#3, Maslah #511) Wo aurat jise talaq e rijee di gae ho wo iddat k dooran os mard k liay sahree bivi ki haisiyat rakhti hay yahaan tak keh iddat khatam ho jaey. Aurat k liay zarori hay keh har qism k istimtaa(lazzat) se jo shohar ka huq hay nah roke or jaiz balkeh mustahab hay keh shohar k liay banao singhaar kare or oski ijazat k baghair os k ghar se bahar nikalna jaiz nahi hay. Iddat e rijee k doran bivi k akhrajaat shohar per wajib hain. Bashart yeh keh wo nashiza(Nafarman) nah ho or os ka fitra or kafan bhi shohar k zimme hay. Kisi aik k marne se doosra waris ban sakta hay or mard iddat k doran saali se shadi nahi kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2508). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13574
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya mard 3 talaq aik e bar bolny k bad apni biwi sy rujue kr sakta ha r kya aik e bar kehny sy talaq ho jaye gi ya nahi hogi written form mn abi nahi di just bola ha r 3 bar talaq bolny k bad shohhar dobara rujue krna chahta ha kya wo rujue kr sakta ha

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Agar aik sath 3 talaq di jain tu bhi aik talaq shumaar hogi. Or is talaq main ruju bhi kia jasakta hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#475,511 ) Talaq ki shariat mai sai hai k talaq ka seegah sahi arabi main lafz e “طالق” k sath perha jay likhnay sai talaq sahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2472) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13606
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamoallaikum my question is kai aik Shia Syed Larkin ki shadi Sunni larkai sai hui baad mai Larki nai court sai Khoula lai lia tou Kia wo larkiki doosri shadi kisi Shia Mard sai kar sakti hai. Nikkah mai koi masla tou nahi ho ga

Answer: Shia larki nasibyon ke elawa sunni larke se shadi kar sakti hai, lekin makrooh hai. albatta agar us shia larki ko apne deen se gumrah hone ka khoaf ho to phir ye shadi karna haram hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day tab tak talaq sahi nahin hogi. or fiqh e jaffriya mai talaq court sai nahi hoti tu khula mai bhi talaaq mard hi daita hai.(Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah sistani(d.b), edition 39th, maslah#2492). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13616
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: میرا سوال یہ ہے کہ میں نء اپنے خاوند کو مجبور کیا تھا کہ مجھے خلاء چاہیے تو میرے بہت زبردستی کرنے پر بغیر ارادے کے مجھے تین اکٹھی طلاقیں دی تو کیا یہ خلاء ہے کہ طلاق؟

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay, 3. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 4. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 5. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 6. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaye. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). (Note: Aap ki koi bhi talaq nahin hoi. aap abi bhi un ki sharae biwi hain ) [Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13666
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere husband ne mujh alag bar kaha talaq ab keh raha h mujh yad nh 2 3 bar boht jagra hwa Quran me kasam khae mujh yad nh bs ak yad h Baki aur koi yad nh me apni hosh aur hwas m nh tha kiya ye talaq waqie hojaegi

Answer: maktab e jafferia mai aisi talaaq durust nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2462-2472). [Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13669
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alikum. Mere nikah ko ik saal hua. Mere shohr alug country me rehty. Do br alug alug mokay pr guse me tallaq di. Lkn thori der bd sb tek hogya. Kia is surat me nikah dobara krna hota h? Yani meny suna hai k ruju krne k lye dobara nikah hota h.

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Jee nahin is tarah se fiqh e jafferiya me talaq nahin hoti. Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay, 3. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 4. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 5. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 6. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaye. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) [Updated on 19-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!