Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 13670
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai apne sohar se talaq mang rahi hu or wo nhi de rha hai to kaise le talaq

Answer: Talaq shohar ki marzi per moqoof hai. App faqat darkhast kar sakti hain talaq daina ya nah daina shohar ki marzi hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35th, Mafhoom e Maslah #2462) [Updated on 18-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13677
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shohar or biwi jaan buj kar physical relation nhi rakh rhe or usko ko ek saal ke upar ho gaya hai toh kya talaaq maana jaata hai?

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Jee nahin is tarah se fiqh e jafferiya me talaq nahin hoti. Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay, 3. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 4. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 5. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 6. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaye. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) [Updated on 14-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13716
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam. What are the proper wording for divorce to pronounce divorce? Talaq ka arabic seegha ka hai? E.g wife name is nadia. Tu mujhy kasy khena hai k sahi divorce ho jye. Thanks.

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2. talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taaliqun ( ٌطَالِق ) ke saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg #460). (Note: Agar talaq ki sharait mukammal hon aur biwi bhi samne mojod ho aur gawah bhi mojod hon to aap apni biwi ko mukhatib ho ke yon kahen ( اَنْتِ طَالِقٌ ) ya agar biwi gair hazir ho to aap gawahon ke samne yon kahen ( زَوْجَتِی نَادِیۃُ طَالِقٌ ). Aur agar talaq ki sharait mukammal na hon talaq saheeh nahin hogi. ) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13804
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri cousin ko 2 tlak muh s hui or ek notice aya or 4 mheeny guzr gy ? Kia ab b wo us mrd k nikah mn hai ya nahi?

Answer: is tarah ki talaak maktab e jafferia mai durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 malsah no 2462) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13851
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mara husband ny 3 alag alg moky pr mujy akaly ma gussy ma talak di ha to kya asa hmari talak ho gai hai or ak bar ma haiz sy bhi thi please bta dain

Answer: maktab e jafferia mai shadeed ghussay ki haalat mai or baghair 2 adil gawahi ki baghair talaaq durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13853
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam.o.Alaikum mera sowal ye hai agar mard k sath ko bahir ka saya ho aur wo ghusse ki halat main talaq de de aur usko yad bhi na ho talaq ho jati hai

Answer: wsalam. Sahdeed ghussay ki haalat mai talaaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13885
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Talaq k bath doobara usi ladki se nikah Kiya ja Sakta hai ??

Answer: Jee bilkul iddat k doran ruju kia jaa sakta hai or agar iddat khatam hogayi ho tou dobaara nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2488). [Updated on 09-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13952
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia kisi se nikah ka rishta torhna gunnah hai ? Agar wo ap ko pasand na hu .

Answer: Jee nahin, Lekin Riwayat men hai k talaq shareeat k shadeed makroohat men se ek makrooh amal hai (yani ye amal hai k jis se parhaiz karna behtar hai) lehaza jis qadr mumkin ho is se bacha jaye, lehaza ap koshish karen k aise kamon ko anjam den jis se dubara biwi aur shohar k drmiyan taluqat behtr hojaen. Miyan biwi ki ek dusray se mohabbat o ulfat k liye har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karen. Is se donon me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi. (Ref: kitab Naway-e- salaheen, page #404) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13957
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu aalekum.mene sadi ke 4manth ho chuke hai or mete ye swal hai ki mene gusse me apni wife ko talaq dedi hai or uske baad bhi hum dono hi es talaq ko nhi mante hai to bhi talaq ho jati hai ya nhi

Answer: (Note: Is website per Fiqh e jaffariya(Mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diay jaate hain). Jee nahin, ye talaq nahi hui is liye k talaq k liye zaroori hai k insan apni biwi ko talaq dene ka qasad or irada rakhe, lehaza gusse or bager irade k ya phir kisi or k kehne se talaq waaqe nahi hoti. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, 41st edition, maslah #2462 to 2472) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13962
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mene apni wife se phone par baat karte huvaie or ek Saks ki call France par mojudgi par 3martaba talaq di hai lekin hum dono es talaq ko nhi mante hai or ek dusre ke sath hi rhena chate hai to kiya reh sakte hai ya nhi

Answer: (Note: Is website per Fiqh e jaffariya(mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diay jaate hain). Shohar k aisy kehnay say talaq nahi hoti,. Talaq ki kaafi sharaet hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, pg# #357). Talaaq ki kuch sharait hai jin ka talaq k waqt hona zaroori hai jesey k 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dena batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.talaq k seegho ka Arabic mai parhna zaroori hai. 4.is k ilawa do aadil gawah ka moujood hona zaroori hai. 5.talaq ka qasad or irada ho wagera wagera...... agar ye sharaet moujood nah ho to talaq durust nahi hai lehaza aap log saath reh saktey hai aap ka nikah barqarar hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41, Mafhoom e Maslah #2462 to 2472) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!