Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 13981
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: , biwi Bar Bar jhagada Karen aur yah dhamki De Rakhna Hai Rakho Nahin Chhod Do To Kya Karen

Answer: Shohar k liye aisi baaton ko tasleem karna zaroori nahin hai, Q ke talaaq ka ikhtiyaar shohar k paas hai k chahe to shohar talaq day ya na day.(Ref: Tauzeeh ul masail, ayatullah seestani, edition 42, maslah #2462-2472). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13996
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Dosri BV sy gussa m nikkah talak Dy ya nahi

Answer: (Note: Is website per Fiqh e jaffariya(Mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diay jaate hain). Jee nahin, Jo talaq gussay ki halat men di jaye to waaqe nahin hoti. Q k talaq k liye zaroori hai k insan apni biwi ko talaq dene ka qasad or irada rakhta ho, lehaza gusse or irade k bager ya phir kisi or k kehne se talaq waaqe nahin hoti. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #2507) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14040
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir! Agar koi mard apni biwi ko apne ghar mai nahi rakhta aor talaaq bhi nahi deta, aor wo mulk se baahir ho aor waapis aana hi nahi chahta to talaaq lene ka koi raasta hai.

Answer: Agar shohar apni biwi k huqooq ada nah karey or usey aziyyat day to biwi apna muaamla lay kar hakim shara (mujtahid) ki taraf ruju kar sakti hai takeh hakim shara( mujtahid) is k shohar ko husne sulooq karne ka hokum de aur agar is ka koe faida nah ho to apne sawabdeed k mutabiq use sarzanish kare or agar is se bhi koi faida nah ho to biwi talaq ka mutalba kar sakti hai. Agar shohar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor nah kiya jaske to hakime shara( mujtahid) apne ikhteyaraat istemal karke is ka sighah e talaq jaari kar sakta hai. (Ref : Ayatullah sistani(d.b), Jadeed Fiqhi Masail, 5th Edition, Maslaa # 413, pg # 237). [Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14051
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri frnd k shoher ny onhy kaha k aap muj s milny nh aaen tou bcx onki ruksati nh hoi nikah hua h only .tou meri trf s apko 3 talak ...tou kia onki talak hogai????

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jaate hain. Jee nahi is tareeqe sai talaq durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14056
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam meine apny shohar se 6 mahiny door apny maa baap k gjr pe thi or mery husbnd intercous ni kr skty thy bht khoshish k bd ab talaq ka faisla hua to aqa sistani k hisb se iddat ka kia hukam gai

Answer: Talaq ki iddat : Jis larki ki umer puray 9 sal ho chuki ho aur jo aurat yaessa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo use talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat (jis k do haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho) ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle (yani shadi to ki hai lekin hambistri nahin ki) use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 ) [Updated on 06-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14072
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia jahez ka saman jo beti or damaad ko aam riwayaat mai ek tauhfa hy os par talaq k baad shohar ka koi haq hy k nahi?

Answer: Jaheez aik tohfa hay jis per baiti ka huq hay or shohar ka jahez per koe haq nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #2, Mafhoom e Maslah #150). Talaq k baad faqat biwi faqat apni chizain lay jaa sakti hay, shohar k tohfe per shohar ka hi haq hay, ab shohar ki marzi hay keh wo biwi ko di hoe cheez wapas lay lay ya biwi ko lay janay day. (Ref: Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen, Part #2, edition 1439, Maslah #1320) [Updated on 10-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14081
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar kai apni biwe se kaye ke agar tum ni ye kam kiya tu tom moj per talaq...or wo ye km kr bety tu talaq hy ya nahi

Answer: Jee nahi, is tareeqe sai talaq durust nahi hai Q is main talaaq ki sharait moujood nahi hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472) [Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14104
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maine apna shohar s Court k zariya s khula la l ha. Lakin unhe pta nhi tha iss sbka ab pta chala ha tw wo mujha bht mnaa rha hain bachoo k kharcha poora nhi krta tha tw kiya m ab wapis ja skti hoon

Answer: Fiqh e jafferia mai court sai talaq sahi nahi hoti, or aap log saath reh saktey hai aap ka nikah barqarar hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41, Mafhoom e Maslah #2462 to 2472). [Updated on 13-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14110
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mein na Apni biwi ka samna kisi Aur ki Talaq ka zikar 3 dafa bola to miya Aur Biwi Mein talaq ho jayti ha kya

Answer: Jee nahi, Is tarah ki talaq ki koi share haisiyat nahi hai aap dono ka nikah barqaraar hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 15-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14135
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Pregnency m Biwi agr ghlti s shohar ko kahy k m ap ki biwi nhi hu 3 dfa kahy to kia aladgi hojti h ya nh

Answer: Fiqh e jafferia mai is tarah sai talaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!