Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 14141
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa...sir meri sister kuch issues ki wja se 2 saal se apny maiky ma reh rhi hen or 2 saal se apny husband se kbhi mili b nhi or un k husband ny ab talaq bhej di ha ....ab meri sister ko iddat krni hogi ya nhi?

Answer: Jee nahi, Is tarah ki talaq ki koi sharaei haisiyat nahi hai aap dono ka nikah barqaraar hai. jab tak shohar mukammal sharait ke sath talaq na de de tab tak talaq nahin hoti. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14146
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr manses k doran shohar bivi ko talaq dy to wo ho jaye gi..2 bar ply di thi pht rujooh kr lya tha..ab 3sri dfa menses ki halat main di..to kya wo ho jaye gi..???

Answer: Talaq k sahi honay ki khuch sharait hain: jin main say khuch ye hain. 1) Zarori hay k aurat talaq ke waqt haiz ya nifaas say paak ho or us ke shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dena sahi hay. 1) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. 2) Maaloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom na ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. 3) Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni biwi k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahin. Talaq ki mazeed sharait: zarori hay keh talaq ka sigah sahi Arabi k saath perha jay aur do aadil mard ose sunain lakin agar koe merd arabi me talaq ka sigah na parh sakhta ho aur wakeel bhi nah bana sakhta ho to jis zaban me chahaay har us lafz k zarye talaq de sakhta he jo Arabi lafz k ham maani ho aur do aadil mard usay sun lain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, maslah #2463,2464,24635,2472) [Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14151
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya khula ke baad aurat apne shohar ke ghar par rah sakti hai ?

Answer: Fiqh e jafferia mai court sai talaq sahi nahi hoti, or aap log sath reh saktey hai aap ka nikah barqarar hai. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. Talaq ki chand sharait hain k talaq mard apnay ikhtiar sai deta hai na k aurat talaq court se le, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho (Ref: Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462,2472,2492). Note: Talaq k baad shohar or biwi aik doosre k liay na-mehram hain. Agar talaq k baad bhi aik hi ghar main rehna cahain tu aurat parde main rahe. [Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14153
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mje ye pochna ta mere husband ne bola agr bhar gyi to talaq ho jye gi lkin naam nai lia ta na tm bola ta or kitni talaq ho gi ye bi nai bola ta to kia talaq hui ya nai or agr hui to kitni talaq hui ?

Answer: wsalam. Fiqh e jafferia mai is tarah ki talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472) [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14155
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mereSalam mje te pochna hai mere shohar ne bola agr bhar nikli to talaq ho jye gi unho ne tm ya naam nai lia ta na ye na bola ta 3 ho gi ya ek to is se talaq hui ya nai ir agr hui to kitni ?

Answer: Fiqh e jafferia mai is tarah ki talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14165
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, Agr kise behens k dauran koi apni bivi se ye kahay k " agr aapko sukoon nahi to theek hai mn aapko farig kerta hun phir aapko sukoon milayga" kya ye kehne se nikah khatam hojata hai?

Answer: Jee nahin, Is tarah ke talaq ki koi sharaei haisiyat nahi hai aap dono ka nikah barqaraar hai. jab tak shohar mukammal sharait ke sath talaq na de de tab tak talaq nahin hoti. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 26-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14178
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal yeh hai k agr husband wife ny sex kia or usi tarha napaki ki halat main shohar apni bv ko talaq dy dy sex k foran bad to kya talaq ho jati hai???

Answer: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) k mutabiq jawabat diye jatay hain. Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi karna zaroori hai. 1, Talaq ka seegah saheeh arabi main lafz e “طالق” k saath parha jaye. or agar galat arbi men parha gaya ho to talaq saheeh nahin hogi. 2, Talaq do aadil mard gawahon ki maujoodgi main di jaye (jo zahiran gunahgar na hon or wajib kamon par amal kartay hon or haram kamon say bachtay hon). or agar do aadil mard gawah mujood na hon to talaq saheeh nahin hogi. 3, Zaroori hay k mard Talaq apnay ikhtiar or irade se dai. or agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jaye to talaq saheeh nahin hogi. 4, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day to talaq saheeh nahin hogi. 5, Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay os ki is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. or agar haiz ya nifaas ki halat men di jaye to talaq saheeh nahin hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2462 to 2472). (Note: Halat e janabat(napaki) men talaq ho sakti hai. lekin dekha jaye ga ke talaq ke waqt talaq ki sharaait bhi mujood then ya nahin. Agar talaq ke waqt talaq ki tamam sharait ka khayal rakha gaya tha to talaq saheeh hogi. Lekin agar in sharait ka khayal nahin rakha gaya tha to talaq saheeh nahin hogi ). [Updated on 01-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14180
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mari hatam khany sy ya Mari bas hatam khany sy Talaq ho jati ha kya

Answer: Jee nahin, is se talaq nahin hoti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 01-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14190
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar mard se uski bivi ko talaq daine par majboor kia jaay tu talaq hojati hay? (Mard ki neyat na ho par majnooran 3 talaq dede)

Answer: Maktab e jafferia mai jub tak mard apne ikhtiyaar sai talaaq na de talaaq durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 01-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14192
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikah ho Chuka ho lakn rushsati na howi ho lkn miya bewi my habistri hochuki ho usky bd fasakh e nikah hojaye to usky 15 din bd dosra nikah halal hy ya nahi

Answer: Aap ka sawal wazeh nahi hay, fasakh e nikah se kia murad hay kia aap ki murad talaq hay? 15 din baad kia osi mard se nikah kiya jara hay ya kisi or k sath nikah kia jaraha hay? [Updated on 05-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!