Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 14241
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main ne apni bv ko 2 bar talaq zubani ti thi us k bhat me ne uc k through 2 talaq k notice bje the un ne 3 mahne k bhat talaq musar kar ti thi ab kia me apni bv se tubara ruju kar sakta hn k nhi

Answer: Fiiqh e jafferia mai is tarah ki talaaq durust nahi hai wo abhi bhi aap k nikah mai hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 17-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14246
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi aurat 4 mahine pehle se hi apne mayeke me ho 4 haiz complete hojaye fir talaq ho to kya iddat krni hogi?

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.Talaq zabani di jaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.Talaq ka seegha sahi arabi main (lafz e Taalikun) k saath perha jaay. 4.Talaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni biwi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, lihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #2462 to 2464 & pg #460). (Note: Agar upar batayei gayei tamam sharait ko madd e nazar rekhtay hoye talaq di jaye to talaq shumar hogi aor iddat hogi, warna nahin). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14257
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kon se firke m hamla ourat ko talaq nahi hoti

Answer: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) k mutabiq jawabat diye jatay hain. Jee hamila ko talaq di ja sakti hai balkeh agar haamila hai or haiz ki haalat mai hai tu bhi talaq ho jaey gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2464). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14263
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikkah file me larki ko talak khood lene ka option dena chaiyah ya nahi

Answer: Biwi ka shohar ki taraf se apne aap ko talaq men wakil banane ki shart rakahna jaiz hai. (Ref: Minhajus saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), edition #1439, maslah #334). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14272
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar sohar apni biwi ko talaq nahin dena chahta biwi shahar se talak lena chahti hai to fir ismein adalat ka kya rule hota hai

Answer: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Shia mazhab men talaq dene ka haq aurat ko haasil nahin hai balke mard ko hasil hai. aur court talaq say nahin li ja sakti. Isi tarah jab tak shohar apni biwi ko mukammal sharait aur ikhtiyar se talaq na de de, talaq nahin hoti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (Ref: Ayatullah Sistani, Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2492,2503). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14326
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar talak ky aek notice kay bad baki notice na ayai to kia talak hojati hay

Answer: maktab e jafferia mai court sai talaak nahi hoti balke zaroori hai k do aadil gawahon ki moujoodgi mai shohar apne mukammal ikhtiyaar sai arabi zabaan mai seeghay ada karay. Likhi hoe talaq kafi nahi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14344
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Alaikum. Agr nikkah k bad ladka bole k mai is nikkah ko ni manta tou kya wo toot jaega.??

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima (intercourse) nah kia ho. 2. talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main perha jaay. 4. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). [Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14369
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam molvie sahab meri biwi ne gusa mein mujha kalama parh kr bhai pukara k tu aj sa mera bhai hy or uski neyat bhe talak ki e thi kia nikah toot gaya humara?

Answer: Is tarah ke alfaz kehne se shohar aur biwi aik dosre ke bhai, behn nahin ban jate aur na hi in ke darmiyan koi talaq waqea hoti hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462-2472). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14374
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Janab barae meharbani rehnumai farmaiyega ke fiqa jafriya ke nazdeeq kia ehkamat hain agar orat khula lay lay to talaq waqe ho jaegi ya miyan bivi agar chahain to dubara rujoo kar saktay hain or agar dubara rujoo kar saktay hain to kiya soorat hogi?

Answer: Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day tab tak talaq waqea nahin hoti. or fiqh e jaffriya mai talaq court sai nahin hoti. or khula mai bhi talaaq mard hi daita hai.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2492). (Note: Jab court se li gayi talaq e khula saheeh nahin hoti to dobara rujoo karna to buhat door ki baat hai ). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14377
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Miyan bivi kitany arsay door rahain to taalaq ho jati hy

Answer: Is website mai fiqh e jafaria ( mazhab e shia ) k mutabiq jawabat diye jatay hain. Or fiqh e jaffriya mai talaq ki buhat sari sharait hain jin ki talaq ke waqt pabandi karna zaroori hai. Or Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day talaaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462-2472). (Note: Shohar or biwi chahe jitna bhi alag rahen lekin talaq tab tak nahin hogi jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day day ). [Updated on 14-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!