Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 14394
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mery shohar ny bagair gawao k mujhy Ek talak de ur phir 3 Sal bad Ek sath do sub k samne to kia Mein is k nikkah sy kharij hogaye ?

Answer: Fiqh e jafferia mai is tareeqay sai talaak durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 16-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14407
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr aurat 3 mrtba talaq keh dy to kya ho ga

Answer: fiqhe jaferia ke mubatbiq ye talaq galat hay (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2491) [Updated on 17-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14421
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere husband ny muje phone par talaq di aur humne abhi tak kisi ko nai bataya. Kia yeh talaq hogai hai agar han tou wapis nikkah ma kese asaktey hain

Answer: Is WebSite par faqat Aihl-e-Tashayyu kay Fiqhi masail ka jawab diya jata hay lihaza is kay ilawa deegar firqoon say talluq rakhnay walay afraad apnay ulemaa say rujoo karain. ye talaq sahe nane hay or nikah baqi hai kyu ke Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. Note: Jis jagha talaq di jay os jagha 2 aadli ghawahoon ka aik sath hona bhi zarori hay jo talaq k seegho ko sunain. Jis aurat ko talaq di jay os ko talaq seeghay sunana zarori nahi hay. Laihaza agar talaq mobile per is terah di jay k 2 aadil ghawah kisi or jagha hoon tu aisi talaq sahi nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). (Ref: email rcvd). [Updated on 10-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14454
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr sohar aese h bewi ko azad kh de lkin talqa ki neat n ho???

Answer: fiqhe jaferia ke mutabiq Shohar ka aese h bewi ko azad kehnay say talaq nahin hoti, (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462 to 2472, pg #460). [Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14525
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam.. Mera Swal Hai k Mainy apni Biwi Ko Adaalti Talak Dedi thi or Hum Alehda Ho gay par lakin phir bhi Hamary Darmiyan Sex ho gaya

Answer: Shia mazhab men court talaq say nahin li ja sakti. Isi tarah jab tak shohar apni biwi ko mukammal sharait aur ikhtiyar se talaq na de de, talaq nahin hoti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2492,2503). (Note: Sharaei lihaz se Aap dono ka nikah baqi hai aur aap doon sharaei taur par miyan biwi hain ). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14539
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi Shadi shuda banda apni wife jo k 20 saal ki hai aur usko ko baghair bataye chor kar chala jata hai aur uska kuch aataa pata nahi to kab tak wife intizar kar sakti hai dosri Shadi k liye

Answer: Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaq na day talaq nahin hoti aur shohar ke youn chale jene se ya rabta na karne ki wajah se talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2492). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14553
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agarr shohar k susral waly or us ki biwi blackmail karein tou Kya talaq waqeya hoti hai ya nae

Answer: Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaq na day talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2492). [Updated on 17-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14652
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o Alaikum Kya bab apni beti ko zabardasti talak dilwa sakta h

Answer: bab apni beti ko zabardasti talak nahe dilwa saktai. Talaq ka haq faqat shohar ke pass hota hai, kisi aur ko talaq dene ka ikhtiyar nahin yani wo talaq nahin de saktay. Aur jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaq na day day talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2472,2492). [Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14657
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal yeh hai..mere shohar mere saath pichele 2 saal se sath ni rehty.2saal sw woh ghar ni ayay..abh mujhy unhon nain talaq bhaij di h 2 saal baad..kiaa mujh p idat ho gii..

Answer: maktab e jafferia mai is tarah ki talaq durust nahi hai aap abhi bhi un k nikah mai baqi hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472) Note:2 saal sai wo nahi aaye or naan o nafqa wagaira nahi de rahey to aap ko chahye k mujtahid ya us k wakeel sai raabta karein. [Updated on 11-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14694
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi ke baad maa baap kahe ke use chor do or main nhi chorna chati. Maa baap dhamka rhe ho ke ham mar de ge. Or shadi maa baap ne hi krwai ho us se pehle mere koi rabta nhi tha.

Answer: Aisay mamelat men maan, baap ki itaat wajib nahin hai aur talaq ke sisile men koi kisi ko majboor nahin kar sakta aur agar kisi ko majboor kar ke talaq de di jaye to talaq bhi durust nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462). [Updated on 06-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!