Question: agr biwi ki sister ko koho ma tmari behan ko talaq deta hn to ho jaye gi
Answer: jee nahi maktab e jafferia mai is tarah talaaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 23-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mene Apni Biwi Ke Bhai Ko Phone Pe Kaha ke me tumhari behan ko talaq de raha ho woh bhi 3 bar tu kia talaq ho jaye gi
Answer: Maktab e jafferia mai is tarah ki talaq durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 25-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Talaaq aur khula mein kya farq hai?
Answer: Is website par fiqh e jafaria (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Talaq ki 2 qismen hain: Pehli qisem Talaq e Baain hai ye wo talaq hai ke jis ke bad mard apni biwi ki taraf rujoo karne ka haq nahin rakhta yani ye ke bager nikah ke dobara use apni biwi nahin bana sakta aur is talaq ki chhe(6) qismen hain: Jin men se 1. Talaq e khula hai aur talaq e khula ye us aurat ki talaq hoti hai ke Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k biwi apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat (maslan hambisteri) ada nah kernay ki dhamki dai. 2. Talaq e Mubarat hai ye wo talaq hai ke shohar or biwi aik doosre ko na chahte hon or aik doosre se nafrat karte hon or aurat mard ko kuch maal is liye day taake wo ise talaq de de to ise talaq e mubarat kehtay hai. 3. Us aurat ko de gayei talaq jis ki umer abhi 9 saal ne hoei ho. 4. Us aurat ko di gayei talaq jo yaaisa ho. 5. Aurat ko di gayei teesri talaq. 6 Hakim e shara ka us aurat ko talaq dena jis ka shohar na us ke akhrajat bardashta karta ho na use talaq deta ho. Talaq ki Dooseri Qisem. Talaq e Rajei hai ye talaq un chhe(6) qismon ke elawa hai jin ko upar bayan kiya gaya hai. is talaq ka ye matlab hai ke jab tak aurat iddat men ho shohar us se rujoo kar sakta hai yani ye ke nikah ke bager dobara us aurat ko apni biwi bana sakta hai. Aur jis shakhs ne apni aurat ko talaq rajee di ho is aurat ko us ghar se nikal dena Haram hai jis men wo talaq dene ke waqt rihaish pazeer thi. isi tarah ye bhi haram hai ke aurat ger zaroori kamon ke liye shohar ki ijazat ke bager us ghar se bahir jaye. aur Iddat ke doran aurat ke akhrajat shohar par wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2486,2492,2495). [Updated on 28-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salaam main ne rusay se apni biwi ko kia hai nahi rush to toor jaho kisi or kay pass hum ka nikka thot to nahi jaata hum kai pass mashallah 2 bachay to hum ko 10 saal ho gaya hai shaadi se
Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2. talaq zabani di jaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taaliqun (طالِقٌ) k saath perha jaay. 4. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon, or wajib kaamon per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5. zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2464, & pg #460). (Note: Mazhab e jafferiya main is tarah sai talaq durust nahi hoti. ye talaq batil hai ). [Updated on 28-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere shohar ne ek paper per type kara ke mujhe 3 tallq di uipaper ko wakeel se attesed bhi kara liya to kya tallaq ho gai
Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2. talaq zabani di jaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taaliqun (طالِقٌ) k saath perha jaay. 4. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon, or wajib kaamon per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5. zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2464, & pg #460). (Note: Mazhab e jafferiya main is tarah sai talaq durust nahi hoti. ye talaq batil hai ). [Updated on 28-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu alaikum Meri biwi bhut pyar karti h aur hum v usese karte h uske ghar wale jabran bol rahe khula lene ko kya imarat sariah mei mera byan liya jayega Hum dono sath rehna chahte
Answer: Shareiyat e Islam men talaq dene ka haq shohar ko hasil hai Aur Jab tak shohar khud mukammal sharait k saath talaaq na day talaaq nahin hoti or fiqh e jaffriya mai talaq court sai nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2492). [Updated on 30-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera yeh sawal hai k mai ek larky ko bht pasand krti hun woh bhi bht pasand krta hai agr shadi istekhare mai na ajaye tou kia koi kaffara hai. Please jaldi bta dein
Answer: Is ka koi kaffara nahin hai. (Ref: Mujtahid say poochay gaye sawalaat, Ayatullah Seestani(d.b), Part #3, sawal #114). [Updated on 02-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam.e.alaikum. Mera sawal ya ha ka kya larka ka ghar wala jabri talaq matlab ka gunpoint pa talaq laisakta han or agar asa howa ha to kya talaq hoge ya nhii.
Answer: Talaq ke sahi hone ki sharait men se aik shart ye hai k, zaroori hay k merd apne ikhteyaar se talaq day or agar osay apni biwi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. Is ke elawa aur bhi talaq ki sharait hain jin ka pabandi karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2464). [Updated on 02-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mara ye swal hy mare shohr nen mjy likh k 3 bar talaq d or dusry din mara peragncy test possitive aya .mara swal ye k mjy divorc hoge hy persgncy main ya ni ya phir bcha hony k bad divorc hoge .i m v upst
Answer: Note: Is website par fiqh e jafaria (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Fiqh e jafferiya main talaq ke sahi honay ki chand sharait hain faqat 3 bar talaq keh denay sai ya likh ke denay sai talaq nahin ho jati. Talaq k liye 2 aadil gawahon ka samnay maujood hona zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si sharait hain jin ka talaq k waqt khayal rakhna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2508). [Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ek din Mai 3 different time par talaq di jay to who ek ho gi ya 3no
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya men talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti: 1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima intercourse nah kia ho. 2. Talaq zabani di jaay yani likh ker talaq dena batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaay. 4. Talaq do adil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamon per amal kertay hon or haram kaamon say bachtay hon) gawahon ki maujoodgi main di jaay. 5. Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6. Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahin hogi. In sharait ko madde nazar rakh kar agar teen mukhtalif auqaat men talaq di jaye tab bhi aik hi talaq shumar hogi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462-to-2464, pg #460). [Updated on 26-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]