Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 14903
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me 3 months pregnant thi jab me apne shoher ka ghar chod k ayi thi uske bad mere miscarriage ho gya ab 1.5 sal ho gya h muje apne mayke me or talaq ka procedure chal rha h .. my simple question is kya muje iddat krni hogi or kitne din krni hogi?

Answer: Note: Is website par fiqh e jafaria (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Fiqh e jafferiya main Talaq ke sahi honay ki chand sharait hain. Talaq k liye 2 aadil gawahon ka samnay maujood hona zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho wagira aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si sharait hain jin ka talaq k waqt khayal rakhna zaroori hai. Agar shohar apni biwi ko mukammal sharait ke sath talaq de de jaye to aurat par iddat rakhna zaroori hai. Talaq ki iddat: Jis larki ki umer puray 9 sal ho chuki ho aur jo aurat yaessa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo use talaq de to zaroori he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat (jis k do haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho) ye he jab is ka shohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aaye tu uski iddat mukammal ho jaye gi aur dosra nikah kar sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472,2475). [Updated on 06-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14912
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: پہلی طلاق کے کتنے ٹائم بعد دوسری طلاق ہو گی

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Sab se pehle to Talaq fiqh e jaffariya (shia mazhab) k mutabiq talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay to Talaaq waqea nahin hoti Talaq ki sharaait: 1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2. Talaq zabani di jaay yani likh kar talaq dena batil hay or talaq nahin kehlaay gi. 3) Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taaliqun(طَالِقٌ) k saath perha jaay. 4) Talaq do adil gawahon (jo zaahiran gunahgaar nah hon or wajib kaamon per amal kertay hon or haram kaamon say bachtay hon) ki maujoodgi main di jaay. 5) Zaroori hay k mard talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni biwi ko talaq dene par majboor kiya jaay to talaq batil hay. 6) Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahin hogi. 2: Agar aik martaba mukammal sharaait ke talaq sath di gayei ho to ye pehli talaq shumar hogi, agar talaq rejiye hai to is me ruju kar ke dubara biwi banaya ja sakta hai ya iddat ke baad nikah ke zariye dubara biwi banaya jaye ga tab ye phir se miyan or biwi ho jayen gay, Aur agar talaq e baain hai to is men iddat ke baad dubara nikah ke zariye se biwi banaya jaye ga tab ye phir se miyan or biwi ho jayen gay, ab jo dubara mukammal sharaait ke sath talaq di jaye gi to ye doosri hogi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462-to-2464, pg #460). [Updated on 16-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14920
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamalaykum mera sabal ye hai ki sadi suda ladki talak ke masle me baat kare to kiya gunah hai

Answer: Talaq ke bare men baat karna ye gunah ka sabab nahin banta, Q ke Talaq aik Haram amal nahin ke jis bare men baat ki jaye to gunah hoga balke agar kisi Haram amal ke bare men bhi sirf baat ki jaye tab bhi ye gunah ka sabab nahin bane gi, balke ahadees or riwayat men yahan tak milta hai ke agar koi gunah ka irada kare tab bhi us ke nama amaal men kuch nahin likha jata jab tak ke wo us gunah ko anjam na day. (Ref: Uool e kafi, jild #2, pg #440. Bihar-ul-Anwar, jild #6, pg #18, bab #20, hadees #2. link https://www.erfan.ir/urdu/32729.html ).fiqhe jaferia me talaaq dene ka haqq srif mard ko hay .mard ki marze hay ke apne biwi ko talaq de ya na de ,mard ko talaaq dene per mujboor nahe kia jasakta or agar kia jaay ga tu talaaq batil hoghe or talaq dene ka haqq aurat ko hasil nahe hay. albaata Aurat k huqooq me se aik ye bhi he k merd usi aziyat na pounchey aur kisi sharie uzr k bagair us k saath sakhti aur tursh’ravi se pesh nah aay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2376,2503) [Updated on 06-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15126
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere shohar ny mjhy ek talaq di ab wo zabardasti rujoo krna chah rahe kya esa ho skta???

Answer: Is web site per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hein. Talaq ki kuch sharait hen, Agar talaq ki tamam shariat k sath shohar apni biwi ko aik talaq de chuka hai to teesray haiz aanay se pehlay shohar apni biwi se agar ruju karna chahe to bagher nikah ke ruju kar sakta hai, lekin agar teesra haiz aa jaey tu phir shohar ruju nahin kar sakta, Albatta dubara nikah kar sakta hai. (Note: Ruju ka matlab hai dubara biwi ko apnana or us se dubara relationship qaaim kerna). Ruju 2 tareekon se kiya ja sakta hai. 1. Shohor aisi batain kare k jin se pata chale k usne usay dubara apni biwi bana liya hai. 2. koi kam kare or us kaam se ruju karne ka irada kare or jimaa (humbistary) karne se ruju sabit ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2488). [Updated on 04-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15163
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mutalika biwi ???

Answer: Jis aurat ko talaq di gayei ho use mutallaqa(مُطَلَّقَة ) kehte hain. (Ref: https://www.almaany.com/ur/dict/ar-ur/%D9%85%D8%B7%D9%84%D9%82%D8%A9/ ). [Updated on 14-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15165
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: (ager mian isy talaq hasan dy do)is jomly say talaq hota hia ya nhi

Answer: Note: Is website par fiqh e jafaria (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Fiqh e jafferiya main is tarah se talaq nahin hoti, Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain. Talaq k liye 2 aadil gawahon ka samnay maujood hona zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho, aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho, aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si sharaait hain jin ka talaq k waqt khayal rakhna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2508). [Updated on 31-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15176
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr shohar ghussay may keh de k main tmhy apni bv tasleem nahi karta to kia talaq ho jy gi?

Answer: Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani di jaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e Taliqun k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hon, or wajib kaamon per amal kertay hon or haram kaamon say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2462 to 2464 & pg#460). [Updated on 31-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15217
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar shohar ghussay mai ho or is ki (2) wife samny bethi hai is ky or wo ghussay ki halat mai talak dy par naam kisy ka na ly to kisy talak ho gi or shohar bad mai kahy many nhi socha tha kisy ko to kia talak ho gi

Answer: jee nahi is tarah sai mazhab e jafferia mai talaaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 masail no 2462-2472) [Updated on 04-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15229
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maine apni biwi ko12 Saal me 5 alag alag baar 3 talaq Di sharab ke Nashe ki halat Mai or na mujhe itna hosh na ye pata kyo Di or nahi ye pata wo haiz ki halat Mai thi ya nahi to kya talaq ho jayegi

Answer: Note: Is website par fiqh e jafaria (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Fiqh e jafferiya main is tarah se talaq nahin hoti, Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain. Talaq k liye 2 aadil gawahon ka samnay maujood hona zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho lihaza nashe ya mazaq ya ghuse ki halat talaq dena sahi nahin hai aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho, aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si sharaait hain jin ka talaq k waqt khayal rakhna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2508). [Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15234
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kesi insaan Ka dimag kharab h jesy shidai ya pagal ho ar wo 3 dafa divorce dy sab k samny dy to kya divorce ho jati h

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jee nahin is tarah talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462-to-2464, pg #460). [Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!