Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 15280
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa agr lakri ko us k shohar written talaq dy lekin qanooni Tor pe use kharij na krwaya ho to kia Larki agy shadi kr skti hy

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jaffariya (shia mazhab) men talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaq nahin hoti 1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima intercourse nah kia ho. 2. Talaq zabani di jaay yani likh ker (written) talaq dena batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaay. 4. Talaq do adil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamon per amal kertay hon or haram kaamon say bachtay hon) gawahon ki maujoodgi main di jaay. 5. Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6. Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462-to-2464, pg #460). (Note: Fiqh e jaffariya (shia mazhab) men talaq ki sharait ke mutabiq likh kar (written) talaq dena ya qanoono (court divorce) talaq dena batil hai is tarah talaq nahin hoti). [Updated on 11-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15304
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera nikah hoea tha.rukhsati nih hoe te.or talaq-e-slasa de di gae.kea me apne is khawand c shadi mumkin he ?kea halalah k bad mumkin he ?ya or b koi sorat he ?

Answer: Maktab e jafferia mai aik saath 3 talaaq dena durust nahi hai balke talaak dene k liyeh zaroori hai k do adil gawahon ki moujoodgi mai talaaq k seeghay sahi arabi mai adaa kiye jaayen.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472) [Updated on 15-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15306
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar shohar biwi ke samne talaqtalaq ki baatein kre dusro ki tu kya aurat ki talaq hojati ha

Answer: Nahi is tarah sai talaaq nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 15-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15351
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere husband ny mujhe 2 bar talaq di dono bar foran ruju kr liya ab us ny mujhe 3rd talaaq di jab main pregnant thi to kya meri talaaq hogai hy ? ya abhi gunazish hy ku k main ny suna hy aurat hamla ho to talaaq nhi hoti

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jaffariya men talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti 1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima intercourse nah kia ho. 2. Talaq zabani di jaay yani likh ker talaq dena batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaay. 4. Talaq do adil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamon per amal kertay hon or haram kaamon say bachtay hon) gawahon ki maujoodgi main di jaay. 5. Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6. Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462-to-2464, pg #460). (Note: Jee Hamila aurat ko agar talaq di jaye to talaq ho sakti hai balkeh agar aurat haamla hai or haiz ki haalat mai hai tu bhi talaq ho jaey gi lekin upar bayan ki gayei sharait ke mutabiq talaq di jaye to hi talaq sahi shumar hogi). [Updated on 30-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15378
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: My husband give me talak in very anger mood,but after few minutes we relised that we can't live without each other, plz give me some advice so that we can live together,

Answer: Fiqh e jafferia mai ghussay ki haalat mai talaq nahi hoti or is k alawah bhi kuch sharaet hain jo is talaq main maujood nahi hain, is liay ye talaq batil .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 22-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15380
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaam-u-alaikum, Meri shaadi hue 6months ho chuke hai aur talaaq hone wala hai kuch dino me. Hamare bich kisi bhi tarah ki humbistri nhi hui hai. Toh iss haal me Iddat karna wajib hai?

Answer: 1: Agar shadi k baad aur talaq se pehle hambistari nah hoe ho tu phir koi iddat nahi hai lekin Agar hambistari hoe ho tu iddat rakhni hogi. 2: Agar hambistri say pehly talaq ho jaey to is halat men mahr ka nisf half biwi ko dena hota hay agar pehly hi poora mahr day chuky hen to bivi ko chahiay k nisf mahr wapas day.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2475. + Minhaj us Salaheen, part #3, mafhoom e maslah #309). dated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15396
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar husband msg pa talaq likh k bhj da laken bv tak msg na pohncha ho or us ko es msg k bary ma ilm b na ho yane bivi ki sim he off ho or shohar kse ko zikar kye bgair sula kr ly tu kya talaq ho jti ha ??

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. or fiqh e jafferiya ke mutabiq text msg par talaq dena sahi nahin hai or is tarah sai fiqh e jafferia mai talaaq nahi hoti Q k zaroori hai k talaq ka seegha arabi main parha jaey or do aadil mard isey sunain.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, masail #2462,2472). [Updated on 27-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15429
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alikum agr larki sunni larka shia ho or nikah b shia qazi ne perhaya ho tu talak k waqt konsa maslak follow kiya jaye ...rehnumai fermaye

Answer: Talaq main shohar k mazhab ki shraet ka khayal rakha ajey ga. Talaq fiqh e jaffariya (shia mazhab) k mutabiq di jaye gi aur fiqh e jaffariya men talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti 1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima intercourse nah kia ho. 2. Talaq zabani di jaay yani likh ker talaq dena batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaay. 4. Talaq do adil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamon per amal kertay hon or haram kaamon say bachtay hon) gawahon ki maujoodgi main di jaay. 5. Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6. Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462-to-2464, pg #460). [Updated on 13-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15441
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamo alikum mera swal yes hai k talaq e rajai ki idaad pori hony k baad larki kisi aur mard se nikah kar sakti hai ya k kisi aur se nikah krny k liye talaq e bayeen zarori hai.

Answer: G han Talaq e rajai ki idaad pori hony k baad larki jis mard se chahay nikah kar sakti hai. (Ref: tuzi ul masahil Aga Sistani mafhoom e maslan#2487) [Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15447
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam alaikum meri abhi nikkah howa ramzan mai aur rukhsathi nahi hoi abhi tak mera husband bat karta hai phone p aur hamarii larai hoi uss ny msg p 3 thalak bola toh kya yeh thalak hoi k nahi ???

Answer: fiqhe jaferia ke mutabiq Ye talaq durust nahi, Q ke Talaq apk irade or ikhtiyar per moqoof hai, lehaza agr ap chahen to apni biwi ko talaq de sakte hen, albatta is tarah 3 mrtaba talak kehne se talaq nahi hogi balke talaq ki sari sharton ko lihaz kiya jayega.1) Mard Aaqil Baligh ho, 2) Talaq ka irada rakhta ho, 3) Talaq ka seegah parha jaye, 4) Do aadil gawah k mojud hon jo talaq k seeghe sunen, 4) Talaq k wqt orat Haiz or nifaas se paak ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 473-74-75-85-98-504). [Updated on 17-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!