Question: Assalamualikum sir please aik question ha us Ka reply day den. Agar husband and wife dono ne union council se khula Ka certificate lay liya ha to kiya tab bi halala k bager riju ho Sakta ha???
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur fiqh e jafferia ke mutabiq Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho, apna mehr ya koi or maal osay bakhsh day taake wo usay talaq day day. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day. aur dosri baat ye k fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq court say talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. lehaza fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq agar tamaam sharaait ke sath talaaq khula na di jaae to talaq nahin hoti. or aap ka aap ke shohar se wife wala rishta qaaim hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2492). [Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nasha ki halat mai talak hoongi kya nei
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya main is tarah se talaq nahin hoti, Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain. Talaq k liye 2 aadil gawahon ka samnay maujood hona zaroori hai, is k alawa talaq denay ki niyat bhi ho lihaza nashe ya mazaq ya ghuse ki halat talaq dena sahi nahin hai aur talaq k waqt aurat haiz ya nifas sai pak ho, aur talaq ka sigah arabi zaban mai ada kia jae aur bohat si sharaait hain jin ka talaq k waqt khayal rakhna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472). [Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar shohar or biwi 6'7 mAh se ik Sath na rah rhy hn or is Doran shohar talaq bajh data he to Kia biwi pr Uday wajib ho gi?
Answer: 1: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur Fiqh e jafferia ke mutabiq Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. 2: Agar in sharait ke sath talaq di gayei hai to talaq ke bad iddat rakhna wajib hai chahe darmiyan me jitne faasle tak hi alag rahe hon. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472). [Updated on 14-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya husband apni wife ko aesy kahy ky "tum ny agr fallan kaam kia toh tmhyn talaq". Toh kia aesy talaq ho jaye ge
Answer: Jee nahin, is tarah Talaq nahin hoti. Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472). [Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I divorce my wife but my wife not seen my divorce text
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jee nahin, is tarah Talaq nahin hoti. Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472). [Updated on 21-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa! Agar shohar nashy main ho ya ghusay main ho to kya talak ho jati hai. Aur kya talak bagir gawaho k ho jati hai?
Answer: (Note: Is website per Fiqh e jafferia {shia mazhab} ke mutabiq jawabaat diay jatay hain). Aur Fiqh e jafferia ke mutabiq Shadeed ghusse ya nashe ki halat men ya bager gawahobn ke talaq nahin hoti. Is ke elawa Fiqh e jafferia main Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti, 1. Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, lehaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu, talaaq sahi nahi hogi, 2. talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho, 3. talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi, 4. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay, 5. talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoon ki maujoodgi main di jaay, 6. zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #475,511. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2462 to 2464 & pg #460). [Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa! Agar shohar nashy main ho ya ghusay main ho to kya talak ho jati hai. Aur kya talak bagir gawaho k ho jati hai?
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alikum husband phone pa talaq boly 1 bar or biwi na suna lkn shohar khy us na 1 talaq da di h to Kya ho hi ??
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jee nahin, is tarah Talaq nahin hoti. Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472). [Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir plz clear my question mera mery shohar se 3 sal se koi taluq ni hy or 20 may 2022 me hmari talaq ho chuki hy or ainda sulah ka koi chance bhi nhi hy to kiya 20 may se 20july tk ke bad dosra nikah kiya ja skta hy kisi mjbori ky tehat
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur fiqh e jafferiya ke mutabiuq Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. 2: Talaq ki iddat: Jis aurat k saath us ke shohar ne hambistri ki ho or phir usay talaq di ho to us aurat k liye zaroori hai k talaq k baad iddat rakhay. Talaq ki iddat ka doraniya 2 haiz hai or jaise hi teesra haiz aaye ga to iddat khatam ho jaaye gi. lehaza agar iddat mukamal ho chuki hai to nikah kar sakti hai warna nahin. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani, Edition #42, Maslah #2462 to 2475). [Updated on 15-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aik sath do ffa talak bolny ka kafara kia hoga
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Pehli baat ye ke fiqh e jafferiya ke mutabiuq is tarah dene se talaq sahi nahin hoti Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. 2: Dosri baat ye ke agar maan liya jaye ke tamam sharait ke sath do dafa talaq di gayei thi tab bhi ye aik talaq hi shumar hogi Q ke aik sath do ya teen talaqen nahin di jaa sakti. Aur do dafa dene se koi kaffara nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani, Edition #42, Maslah #2462 to 2475). [Updated on 31-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]