Question: khula ya talaq k bd ki iddat k kia ahqam hain? Larki ki family itni establish ni hai tw wo job krna chahti hai or agay prhna chahti hai. Kia wo talaq ya khula k bd job krskti hai ?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jee han, Khula ya talaq ke baad or Iddat job kar sakti hain Q ke iddat ke dauran shadi karna, aisa libas pehenna jo zeenat wala ho, surmah lagana, aur isi tarah dosray aise kaam karna jo zeenat mein shumar hote hon haram hain, lekin ghar se baahir nikalna haram nahin hai. Lehaaza job karne ke liye jaa sakti hain. Han! albatta aap ko aik sharaei masle ki taraf mutwajjah karna munasib hai ke Agar sharaei parde ka khayal rakha jaey aur lazzat ka irada ya gunah mai mubtila hone ka khoaf nah ho to aurat ke job karne main koi haraj nahin hai, Q ke Aurat par har hal men pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye ke sar ke baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na mehram mard ke samnay chehra aur kalaiyon tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo surton main chehray aur kalaiyon tak hathon ko chupana wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2481,2482,2397,2399. + Nigah or libaas, sawal #97, pg #65). [Updated on 08-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere dost ne Apni biwi ko ek talaq paper par likh krdi hai Khud zabani kaha nahi hai...kia yeh talaq Hogi? Agar han toh talaq kimudat kitni Hogi?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur fiqh e jafferiya ke mutabiuq is tarah talaq dene se talaq sahi nahin hoti. (yani abhi bhi wo miyan biwi hain) Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dena baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani, Edition #42, Maslah #2462 to 2475). [Updated on 08-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: If a husband gives 1 talaq then goes back to. Wife then gives 1 more talaq 2 years later then goes back to wife then gives 3rd talaq is this a. Talaq or does it have to. Be all. Done in 3 months plz let me know
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur fiqh e jafferiya ke mutabiuq Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dena baatil hay or talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e k saath perha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. (Note: agar in sharait ki maujodagi me talaq di gayei thi to Talaq sahi hogi warna nahin. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani, Edition #42, Maslah #2462 to 2475). [Updated on 09-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: If a husband gives 1 talaq then goes back to. Wife then gives 1 more talaq 2 years later then goes back to wife then gives 3rd talaq is this a. Talaq or does it have to. Be all. Done in 3 months plz let me know
Answer: Is sawal ka jawab diya gaya hai. [Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam agr shohr msg pr ek br likh kr talaq dy dy tw kya talaq ho jti?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jee nahin, is tarah sai mazhab e jafferia mai talaaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, masail #2462-2472). [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Molana Mera apse sawal ha mere shohar ne mere Bhai ko voice msg per mje ek Sath 3dffa tallaq di ha or Ek mahiny bad he rujuh krlia k me tallaq nhi Dena Chahta to kia ye tallaq waqiya hogai ha yea nhi
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur shia mazhab me is tarah sai talaaq nahin hoti. lihaaza shia mazhab ke mutabiq wo abhi bhi miyan, biwi hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, masail #2462-2472). [Updated on 01-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualikum Hazrat 1 masla puchna tha k agar biwi guse m kahe k tera or Mera taluk khatam Tu shohar agar keh de k khatam Tu khatam Kia esa kehne se talaq Hu jati hai
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jee nahin, is tarah sai fiqh e jafferia mai talaaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, masail #2462-2472). [Updated on 03-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr paper divorce hugae hy toh second marriage karskty hain toh us k lieye documents zarori hain
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur fiqh e jafferiya ke mutabiq Talaq ki buhut saari sharaait hain jin me aik shart ye hai ke Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dena baatil hay or talaq nahin kehlaay gi. lihaaza wo aurat aage kisi aur mard se nikah nahin kar sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam mera aik swal hy please jwab dejiyega . apni bv ko lrai ke drmyan ye khna ke "tmhre sath rhne se bhtr hy bnda mrjai se talaq hojati hy?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jee nahin, is tarah se talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamo alaekum Agha sahab agar bivi ko shak he k uska Shohar namard he to kya wo khula pr zabardasti sign kara k seeghe parhasakti
Answer: 1: Sirf shak ki bin aisa nahin kar sakti balke aurat yaqeeni ilm hona chahiye Ps agar auart ko nikah ke baad pata chale (yaqeen ke sath) ke us ka shohar maslan na-mard hai to aurat talaaq ke baghair nikah khatam kar sakti hai. yani talaq ki bhi zaroorat nahin. 2: Talaq e Khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho aur us se nafrat karti ho aur apna meher ya koi or maal osay baksh day taakeh wo say talaq day day. 3: Talaq e khula main zaroori hai ke aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat {maslah hambistari} ada nah karne ki dhamki day. 4: Shia Mazhab men court se khulaa nahin li jaa sakti, khulaa men bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharaait bhi hain lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin wo aurat apne shohar ke nikah men rahay gi or kisi or se nikah nahin kar sakti. 5: Isi tarah Fiqh e jafferiya ke mutabiuq Talaq ke sahi honay ki chand aur sharaait bhi hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dena baatil hay or talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2346,2462 to 2472,2475,2492,2493). [Updated on 21-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]