Question: Biwi ky sawal pochnay per ke kia ap mjhe chorna chahty hain aur Agar shohar jawab mei boly ke han mei tmhe chor raha hon tou tallaq hojae ge ?
Answer: Jee nahin, is tarah ke alfaz kehne se Talaq nahin hoti. Fiqh e jafferiya ke mutabiuq Talaq ke sahi hone ki chand aur sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dena baatil hay or talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Mard talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2475). [Updated on 23-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Khawand guse me larai me apni ma k samne 3 bar talaq khe de.or bivi period ki halat me thi.or next day sorry ker le Kyn k wo bivi se bohat payar kerta or bivi b tu bivi ko kaya kerna chiye
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiuq is tarah 3 bar talaq talaq kehne se Talaq nahin hoti. Talaq ke sahi hone ki chand aur sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dena baatil hay or talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Mard talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2475). [Updated on 24-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hello Sir "AB Talak hogi " khany se kiyaa hojaaygii gussy me yaa hojaati
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya ke mutabiuq is tarah kehne se Talaq nahin hoti balke Talaq ke sahi hone ki chand aur sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dena baatil hay or talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Mard talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. 2: Agar aurat ko in sharait ke sath Talaq di gayei hai to Talaq sahi shumar hogi, lekin agar in ke sath Talaq nahin di gayei to Talaq sahi shumar nahin hai, aur ye dono apas me miyan, biwi hi rahen gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2475). [Updated on 08-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shia namard say nikah jaiz hai
Answer: Sharaei maslah to ye hai ke agar kisi aurat ko nikah ke baad pata chale ke us ka shohar ka uzu e tanasul nahi hay ya wo jima nahi karsakta to aurat, Talaaq ke baghair nikah khatam kar sakti hai. yani talaq ki bhi zaroorat nahin. Lekin agar kisi aurat ko nikah se pehle hi pata hai ke wo shakhs na-mard hai aur phir bhi us se nikah kar lay to nikah to jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2346). [Updated on 13-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager kisi ne apni biwi ko 2 talaq di aur uss ke baad wo pher se aik ho ge. 2 saal bad unki fight pher se ho gei aur husband ne pher se 2 talaq de. Toh kya ye 2 divorce aik new terhan se dekhi jey gi ya jo 2 saal phelay de thi wo b dekhi jey gi.
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya ke mutabiq Talaq ke sahi hone ki chand aur sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti. 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai or talaq nahin kehlaaye gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon) gawahon ki maujoodgi main di jaye. 5-Zaroori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day or agar use apni biwi ko talaq daine par majoboor kiya jaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day ti talaq sahi nahin hogi. 2: Agar aurat ko in sharaait ke sath Talaq di gayei hai to Talaq sahi shumar hogi, lekin agar in sharaait ke sath Talaq nahin di gayei to Talaq sahi shumar nahin hai, aur ye dono apas me miyan, biwi hi rahen gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2475). [Updated on 13-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri bs apne shohar k sath normally larai chal rhi thi me bht ghusse me thi or mw unhe bar bar bol rhi thi k AP mujhhy chordo talaq dedo to unho me bs itna kha k talaq. Or chup hogae. Or phir kha jao tm paper work krwalo. To kia hmri talaq hogae h?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya ke mutabiq is tarah talaq sahi shumar nahin hoti, Talaq ke sahi hone ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti. 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai or talaq nahin kehlaaye gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon) gawahon ki maujoodgi main di jaye. 5-Zaroori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day or agar use apni biwi ko talaq daine par majoboor kiya jaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day ti talaq sahi nahin hogi. 2: Agar aap ko in sharaait ke sath Talaq di gayei hai to Talaq sahi shumar hogi, lekin agar in sharaait ke sath Talaq nahin di gayei to Talaq sahi shumar nahin hai, aur aap dono apas me miyan, biwi hi rahen gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2475). [Updated on 20-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kisi ki 7 sal bad talak hui ho or uske talak k 2 sign hue ho uski iddat kb se suru hogi or kitne din tk hogi
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Zail me Talaq ki chand sharaait bayan ki jaa rahi hain agar in sharaait ke sath Talaq hui thi to Talaq sahi shumar hogi aur iddat rakhna lazim hogi, Aur jis waqt talaq ke seeghay jaari hue thay us waqt se hi iddat shuru ho jaati hai, lekin agar in sharaait ke sath Talaq nahin hui thi to Talaq sahi shumar nahin hogi, aur dono apas me miyan, biwi hi rahen gay aur koi iddat nahin rakhi. 2: Fiqh e jafferiya ke mutabiq Talaq ke sahi hone ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti. 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai or talaq nahin kehlaaye gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon) gawahon ki maujoodgi main di jaye. 5-Zaroori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day or agar use apni biwi ko talaq daine par majoboor kiya jaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2475,2480). [Updated on 22-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mjy Mary husband ny 3no divorce dy de hn ak sath or wo wapis ana chahty kia talaq hwi ha ya ni abi 4 din guzry hn unky words thy talaq talaq talaq or me suna ha periods me talaq ni hoti sir plz btaye jaldii
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq talaq ke sahi hone ki chand sharait hain ke Talaq dete waqt jin ki pabandi karna zaroori hoti hai warna talaq sahi shumaar nahin hoti. Aur jab tak saari sharaait ke sath talaq na di jaye talaq sahi nahin hogi aur dono apas me miyan, biwi hi rahen gay. 2: Talaq ki sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard ne jima (intercourse) nah kiya ho, lihaza agar haiz ke dauran di jaye to talaq sahi nahin hogi. 2-Talaq zabani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai or talaq nahin kehlaaye gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye, lihaza urdu me 3 dafa talaq kehna se talaq sahi nahin hogi. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon or wajib kamon par amal karte hon or haram kamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaye, lihaza do aadil gawahon ki ger maujoodgi talaq di jaye to talaq sahi nahin hogi. 5-Zaroori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day or agar use apni biwi ko talaq daine par majoboor kiya jaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr shohar msg pr biwi ko talaaq dy dy or biwi ny wo msg na prha ho or biwi bhi takaaq lena chahti ho or ksi or ny biwi ko confirm kr k btaya ho or logo ny bhi eo msg dekha ho to kia wo talaq ho jati h ?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq sms ke zariye talaq nahin hoti, talaq ke sahi hone ki chand sharait hain ke Talaq dete waqt jin ki pabandi karna zaroori hoti hai warna talaq sahi shumaar nahin hoti. aur jab tak saari sharaait ke sath talaq na di jaye talaq sahi nahin hogi aur dono apas me miyan, biwi hi rahen gay. 2: Talaq ki sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard ne jima (intercourse) nah kiya ho, lihaza agar haiz or nifaas ke dauran Talaq di jaye to talaq sahi nahin hogi. 2-Talaq zabani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai or talaq nahin kehlaaye gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye, lihaza urdu me 3 dafa talaq kehna se talaq sahi nahin hogi. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon or wajib kamon par amal karte hon or haram kamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaye, lihaza agar do aadil gawahon ki ger maujoodgi talaq di jaye to talaq sahi nahin hogi. 5-Zaroori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day or agar use apni biwi ko talaq daine par majoboor kiya jaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 20-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Slaam. Age shoha bahir ho r aik talak de de tku aik talak k baad iddat hoti h? R agr hoti h tou kitna arsa?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Shohar chahe jahaan bhi ho agar talaq ki tamam sharaait ki maujoodgi me talaq dega to talaq sahi shumar hogi aur nikah ke baad se talaq hone tak shohar aur biwi ke darmiyan aik dafa bhi hambistri (jima, intercourse) nahin hui to talaq hone ki surat me iddat bhi nahin hogi. aur agar aik dafa bhi hambistri hui ho to talaq hone ki surat me iddat rakhna zaroori hogi. lekin agar talaq ki tamam sharaait me se koi aik shart agar maujood nah ho aur shohar talaq de de to talaq sahi nahin hogi aur talaq sahi nah ho to iddat bhi nahin hogi. 2: Talaq ki Iddat yeh hai ke aurat itni muddat tak sabar kare (yani nikah na kare) ke use do baar haiz aa jaye aur phir pak ho jaye aur jese hi teesra haiz aayega, aurat ki iddat khatam ho jaye gi, phir agar dusra nikah karna chahe to kar sakti hai. 3: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq talaq ke sahi hone ki chand sharaait hain, ke Talaq dete waqt jin ki pabandi karna zaroori hoti hai warna talaq sahi shumaar nahin hoti. aur jab tak saari sharaait ke sath talaq na di jaye talaq sahi nahin hogi aur dono apas me miyan aur biwi hi rahen gay. 4: Talaq ki sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard ne jima (intercourse) nah kiya ho, lihaza agar haiz or nifaas ke dauran Talaq di jaye to talaq sahi nahin hogi. 2-Talaq zabani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai or talaq nahin kehlaaye gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye, lihaza urdu me 3 dafa talaq kehna se talaq sahi nahin hogi. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon or wajib kamon par amal karte hon or haram kamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaye, lihaza agar do aadil gawahon ki ger maujoodgi talaq di jaye to talaq sahi nahin hogi. 5-Zaroori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majboor kiya jaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2475). [Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]