Question: Asslamu Alaikum Mere husband ny 2nd tlak de to m ny khaa k mujy 3eno akhti tlak dy dn . Husband ny khaa k ly lo meri jaan choro. Kya mujy 3eno e tlaak ho gyee hn ya ni. Ap ke nwazish ho ge..
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq talaq ke sahi hone ki chand sharaait hain, ke Talaq dete waqt jin ki pabandi karna zaroori hoti hai warna talaq sahi shumaar nahin hoti. aur jab tak saari sharaait ke sath talaq na di jaye talaq sahi nahin hogi aur dono apas me miyan aur biwi hi rahen gay. aur jab saari sharaait ke sath talaq di jaye to chahe aik sath teen talaq di jayen tab bhi aik hi talaq shumaar hogi. 2: Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq de kar us ki taraf ruju kar lay ya use 2 dafa talaq de kar us se nikah kar lay ya aik talaq ke baad ruju kar lay aur aik talaq ke baad nikah kar lay to teesri talaq ke baad wo aurat is mard par Haram ho jaye gi. laikin agar chauthi bar bhi nikah karna chahay to halala karna parta hai. aur halala ki 5 shartain hain jin ki pabandi karna zaroori hai. 3: Talaq ki sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard ne jima (intercourse) nah kiya ho, lihaza agar haiz or nifaas ke dauran Talaq di jaye to talaq sahi nahin hogi. 2-Talaq zabani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai or talaq nahin kehlaaye gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye, lihaza urdu me 3 dafa talaq kehna se talaq sahi nahin hogi. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon or wajib kamon par amal karte hon or haram kamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaye, lihaza agar do aadil gawahon ki ger maujoodgi talaq di jaye to talaq sahi nahin hogi. 5-Zaroori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majboor kiya jaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2475,2491). [Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shohar talaq dete ha or unki 1 month ma hi death hojati ha to ye talaq hui ya nh or idaat konsi hogi talaq ki ya Marne wale ki
Answer: 1: Agar talaq apni tamam sharaait ke sath di gayei thi to talaq sahi shumar hogi aur is ke baad talaq ki iddat bhi rakhe gi. aur agar talaq apni tamam sharaait ke sath nahin di gayei thi to talaq bhi sahi shumar nahin hogi, aur jab talaq sahi shumar nah ho to wo iddat bhi nahin rakhe gi. Dusri baat ye ke talaq ki 2 aqsaam hain: 1. Talaq e baain (بائن). Talaq e baain woh talaaq hai ke jis ke baad mard apni aurat ki taraf ruju karne ka haq nahin rakhta yani ye ke bager nikah ke dobara use apni biwi nahin bana sakta aur is talaq ki 6 aqsaam hain: (1) Us aurat ko di gayei talaq jis ki umr abhi 9 saal na hui ho. (2) Us aurat ko di gayei talaq jo yaaisa (یائسہ) ho. (3) Us aurat ko di gayei talaq jis ke shohar ne nikah ke baad us se jima na kiya ho. (4) Wo aurat jis ko pehle 2 mukammal talaq gayei hon aur is ke baad Teesri talaq di gayei ho. (5) W aurat jis ko Khula aur mubaaraat ki talaq di gayei ho. (6) Haakim shara ka us aurat ko talaq dena jis ka shohar na us ke akhraajaat bardasht karta ho aur na hi use talaq deta ho. 2. Talaq e rijee (رجعی). Upar bayan ki gayei talaq ki aqsaam ke alawa jo talaaqein hain woh rijee hain jis ka matlab ye hai ke jab tak aurat iddat mein ho us ka shohar us se nikah kiye bager us se ruju kar sakta hai (yani shohar talaq e rijee ki iddat ke dauran us se nikah kiye bager us ko apni biwi bana sakt hai). 2: Agar shohar, biwi ko talaq e rijee de de to aurat ke liye zaroori tha ke wo iddat rakhe ab agar shohar talaq e rijee ki iddat ke douran faut ho jaye, to us ki talaq e rijee ki iddat baatil aur be asar ho jaye gi aur zaroori hai ke "wafaat ki iddat" guzaray; lekin agar shohar, biwi ko talaq e baain de de tak bhi aurat ke liye zaroori hai ke wo iddat rakhe ab agar talaq e baain ki iddat ke dauran us ka shohar faut ho jaye, to zaroori hai ke aurat usi talaq e baain ki iddat mukammal kare aur wafaat ki iddat guzarna lazim nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376. + Tauzeeh ul Masail Jaame, Part #2, Edition #1443, Maslah #629). [Updated on 10-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa mere husband ne larai mein 3 bar talaaq talaaq talaaq kaha koi complete sentence ni bola just taalaaq kaha, toh kya aisy b talaaq ho jati hai? Na woh chorna chahty hain or na he mein. Toh hum kya kren?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq is tarah 3 bar talaq kehne se Talaq nahin hoti. balke talaq ke sahi hone ki chand aur sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti. 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas se paak ho or is paaki ke dauraan mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabaani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai aur talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon aur wajib kamon par amal karte hon aur haram kamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaaye. 5-Zaroori hai ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majaboor kiya jaaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 15-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا غسے کی حالت میں لکھ کر دی جانے والی طلاق۔ ہو جاتی ہے جب کہ زبان سے نہ کہاہو
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq mard talaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaq sahi nahin hogi. isi tarah talaq zabaani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai aur talaq nahin kehlaay gi. is ke alawa talaq ke sahi hone ki chand aur sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti. 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas se paak ho or is paaki ke dauraan mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye. 3-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon aur wajib kamon par amal karte hon aur haram kamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaaye. 4-Zaroori hai ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majaboor kiya jaaye to talaq baatil hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا غسے کی حالت میں لکھ کر دی جانے والی طلاق۔ ہو جاتی ہے جب کہ زبان سے نہ کہاہو
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bv agar bol de k may Tum pe talaq hn talaq hn talaq hn to kia aese talaq ho jaygi??aur dobara agar bv bole k mujh se gham gharaz mat rakhna warna may Tum pe talaq hn to kia talaq waqya ho jaygi??aur iska kaffara Karna hoga kia??
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq is tarah talaq kehne se Talaq nahin hoti aur is ka koi kaffara nahin hai. Aur fiqh e jafferiya ke mutabiq talaq ke sahi hone ki chand aur sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti. 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas se paak ho or is paaki ke dauraan mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabaani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai aur talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon aur wajib kamon par amal karte hon aur haram kamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaaye. 5-Zaroori hai ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majaboor kiya jaaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 21-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalamoalikom bahi molvi KO gali dene se biwi talaq hojate he iska dalil kis hadees ya ayat me HD
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq molvi ya koi aur kisi ko bhi gaali dena haram aur gunah e kabeera hai lekin is se talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #394. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 03-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: khula se pehle 5 months ki separation hogaye hai aur larki apni amma kay ghr par thi shohar say taluq ya rabta nhe tha aur khula dair say hui hai qanoni karwaye ki wajah say kya iddat mai bethna parega is condition mai
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiuq Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaye to talaq sahi nahin hoti. 1: Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main zaroori hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day. 2: Dosri baat ye ke shia mazhab ke mutabiq court se talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khula main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (ya shohar kisi dosre ko talaq ya khula dene ke lie wakeel banaye yani shohar use apni taraf se talaq ya khula ke seeghe jaari karne ki ijazat day). Agar bayan kiye gaye masail ko madde nazar rakhte hue talaq jaari ki jaye to talaq sahi shumar hogi, warna nahin. 3: Agar nikah ke baad shohar ne jima karne se pehle talaq dedi ho to is surat me koi iddat nahin hogi yani talaq ke fauran baad dosra nikah kar sakti hai. Lekin agar shohar ne jima (chahe agli sharamghah me ya pichli sharamghah me) kiya ho ya kisi tarah se shohar ki mani aurat ki sharamghaah me daakhil huei ho to is surat me zaroori hai keh wo aurat iddat rakhe. chahe jitna arsa alag rahe hon. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2492). [Updated on 13-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum, mery husband ny taalaq niyat sy di thi lkn seeghay nh parhay thay, or mjhy ab b yaqen nh m wo mery Sath kia karay ga please bta den Niyat sy talaaq waqeha hoti hai kia
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya ke mutabiq ye talaq sahi nahin hai, balke talaq ke sahi hone ki chand sharaait hain ke talaq ke waqt jin ki pabandi ki jaye tab talaq sahi shumar hogi lakin agar is sharaait ki pabanadi na ki jaye to Talaq sahi nahin hoti, aur jab talaq sahi nah ho dono shohar aur biwi hi rahen gay. 2: Talaq ki sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas se paak ho or is paaki ke dauraan mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabaani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai aur talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha parha jaye aur ye bhi zaroori hai sahi arabi main seegha parha jaye. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon aur wajib kamon par amal karte hon aur haram kamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaaye. 5-Zaroori hai ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majaboor kiya jaaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2422,2462). [Updated on 18-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Me apny hasbnd sy talak laina chahti ho or hamary 3 bchy bhi h kia me talak k bad dosri shadi krskti ho
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya ke mutabiq Islaam se Talaq dene haq shohar ke pass hai aur islaam me koi bhi (chahe biwi ho ya koi aur) shohar ko majboor nahin kar sakta ke wo apni biwi ko talaq day. lihaaza jab tak shohar khud apne irada or ikhtiyar se aur deegar sharaait ke sath aap ko talaq na de tab tak talaq nahin hogi. aur jab tak talaq na ho aap kisi aur se shadi nahin kar saktien. Han agar shohar khud apne irada or ikhtiyar se aur deegar sharaait ke sath aap ko talaq de de to phir talaq ke baad iddat guzarna wajib hai aur iddat ke baad kisi aur se shadi kar sakti. 2: Talaq ke sahi hone ki chand sharaait hain, Talaq ke waqt jin ki pabandi ki jaye tab talaq sahi shumar hogi lakin agar is sharaait ki pabanadi na ki jaye to Talaq sahi nahin hoti, aur jab talaq sahi nah ho dono shohar aur biwi hi rahen gay. 3: Fiqh e jafferiya ke mutabiq Talaq ki sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas se paak ho or is paaki ke dauraan mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabaani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai aur talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha parha jaye aur ye bhi zaroori hai ke seegha sahi arabi main parha jaye. 4-Talaq do aadil gawahon (jo zaahiran gunahgaar nah hon aur wajib kamon par amal karte hon aur haram kamon se bachte hon) ki maujoodgi main di jaaye. 5-Zaroori hai ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majaboor kiya jaaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462,2472). [Updated on 01-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]