Question: Mere shohar ne ek saath 3bar tallaq de di mujhko wo Jadu ke asar mein thy to kya meri talaq hogyi
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya ke mutabiq Talaq ke sahi hone ki chand sharaait hain, ke Talaq ke waqt jin ki pabandi ki jaye tab talaq sahi shumar hogi lakin agar is sharaait ki pabanadi na ki jaye to Talaq sahi nahin hoti, aur jab talaq sahi nah ho dono shohar aur biwi hi rahen gay. 2: Fiqh e jafferiya ke mutabiq Talaq ki sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas se paak ho or is paaki ke dauraan mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabaani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai aur talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha parha jaye aur ye bhi zaroori hai ke seegha sahi arabi main parha jaye. 4-Talaq do aadil gawahon (jo zaahiran gunahgaar nah hon aur wajib kamon par amal karte hon aur haram kamon se bachte hon) ki maujoodgi main di jaaye. 5-Zaroori hai ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majaboor kiya jaaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahin hogi. (Note: agar aap ke shohar ne in tamam sharaait ke sath aap ko talaq di thi to talaq sahi hogi lekin agar in sharaait me se saari ki saari ya koi aik shart bhi talaq ke waqt maujood nahin thi to talaq sahi nahin hogi, aur dono miyan aur biwi hi rahen gay). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462,2472). [Updated on 12-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu Alaikum Meri Biwi Se Mera Khula ho chuka hai aur usmein yah likha hai Puri Tarah Se Azad hai to kya Ham Wapas nikal kar sakte hain
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Agar shohar (yani aap) ne talaq mukammal sharaei sharaait ke sath di thi to ye talaq sahi shumar hogi aur aurat (yani aap ki biwi) ko iddat rakhna zaroori hai aur iddat guzaarne ke bad aap dono dobara nikah kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462,2472,2475,2486). [Updated on 13-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar koe mard yeh kahe k han sub khatam ghusse mai akar .. aur uski biwi zabrsti kahe sign kro paper per wo kr bhi de akar sign pressure hkr toh talaq hojaegi? yeh usko lafz zaban sai blna zarori ha agar wo sign na karna chahay.
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq is tarah ghusse ki halat me ya paper ke zariye talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462,2472,2475,2486). [Updated on 18-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager larka larki ko tlaq Deta hai to Kya USA monthly kharcha Dena para gya jab ka UN ki koi olad b nai hai
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq Talaq ki kuch sharaait hain, ke jin pe amal karna zaroori hai, aur agar in par amal na kiya jaye to talaq sahi shumaar nahin hoti. Aur jab tak Talaq sahi nahin hogi, biwi ka naan o nafaqa (yani kharcha) shohar par hi wajib rahe ga balke agar saari sharaait ki maujodgi me agar talaq e rijei de di jaye tab bhi talaq e rijei ki iddat ke dauraan shohar par wajib hai biwi ka kharcha ada kare, lekin talaq e rijei ki iddat mukammal hone ke baad shohar par us ka kharcha dena wajib nahin hai. Aur agar saari sharaait ki maujodgi me talaq e baain de di jaye to kisi surat me bhi shohar par us ka kharcha dena wajib nahin hai. 2: Talaq ki mazeed sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai or talaq nahin kehlaaye gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon) gawahon ki maujoodgi main di jaye. 5-Zaroori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day or agar use apni biwi ko talaq daine par majoboor kiya jaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2462 to 2472,2487). [Updated on 20-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa moka par 3 talaq dy di jaey phr iddat k doran bivi sy rugu Kar sakty hain
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya ke mutabiq agar tamam sharaait ki maujoodgi me aik sath 3 talaq di jain to bhi aik talaq shumaar hogi. aur is talaq main ruju bhi kiya jaa sakta hai. 2: Rajaei talaaq me mard do tareeqon se aurat ki taraf ruju kar sakta hai: 1. Aisi baatein kare jin se pata chale ke us ne use dobara apni biwi bana liya hai. 2. Koi kaam kare aur us kaam se ruju ka qasd kare aur jima (humbistri) karne se ruju saabit ho jata hai chahe us ka qasd ruju karne ka na bhi ho. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #475,511. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2488) [Updated on 24-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اگر کوئی شخص کسی عورت کو سہارا دینے کے لئے اور جسمانی خواہش پوری کرنے کے لئے نکاح کرے اور پہلے ہی بتا دیں کہ حاجات پوری ہونے کے بعد طلاق دے دو گا تو کیا گناہ ہوگا
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aisa karna jaiz hai, aur koi ghunah nahin hai Q ke Islaam me nikah karne ke bad Talaq dene haq bhi shohar ke pass hi hai. lehaza agar shohar khud apne irada or ikhtiyar se aur deegar sharaait ke sath apni biwi ko talaq day day, to talaq sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462,2472). [Updated on 09-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya divorci bleach ka use kr skti hy
Answer: Talaq (divorce) ho jane ke bad jo iddat rakhi jati hai is iddat ka matlab ye hai ke is dauraniye (time period) me aurat nikah na kare Q ke talaq ki iddat ke dauraan nikah karna Haram hai, lekin baaqi tamam kaam kiye jaa sakte hain jo roz mara ki zindagi me anjam diye jaate hain. lihaza talaq yafta aurat bleach use kar sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2365,2475). [Updated on 10-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Mera dist ha 2 month pehly uski shadi hui or wo apni bv say nakhush ha k wo us say umer me bari ha or choti moti baty jis ki wja say us ny divorce paper par 3 signn ak bar hi kr diye. Kya yeh talaq thk ha? Or muh say alfaZ ki adaigi ni ki
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, is tarah talaq waqay nahin hoti, balke talaq me kaafi saari sharaait hoti hain ke jin ki pabandi karna zaroori aur lazim hai warna talaq waqay nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462,2472). [Updated on 13-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalmualikum sir …Mara question ye hy k agar koi nikkah ka form kese shop se le le awr usko fill krly awr us mein larki k razamandi bhi shamil ho tu is se nikkah ho jata hy?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq is tarah se nikah nahin hota. balke nikah me kaafi saari sharaait hoti hain ke jin ki pabandi karna zaroori hoti hai warna nikah nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2328,2335,2341). [Updated on 24-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assala muaalaikum aik friend ka swal hainmay ne dil may apne biwi ko talaq d hain k agar may ne ye kam kiya to talaq biwi ko kuch pata nahain our ab waho kam karna but zarori hain plz rehnumai farmaye
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, is tarah talaq waaqay nahin hoti, balke talaq me kaafi saari sharaait hoti hain ke jin ki pabandi karna zaroori aur lazim hai warna talaq waaqay nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462,2472,2475). [Updated on 07-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]