Question: salmun alykum sir jis ne talaq ghusyyy men di or 3no talaqeen aik hi sath de den to kya talaq waqe ho jae gi?? regards...
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Ye talaq sahi nahi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agr aurat gussey main teen baar talaaq keh de jab ke koi witness ya gawah na ho to kya tallaaq ho jati hai?
Answer: Talaq ki shriat hain k talaq mard apnay ikhtiar sai talaq deta hai na k aurat, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: talaq ki addit main aurt pe kia kia pabandian hoti hain kia woh gahir se bahir nikal sakti ha
Answer: Talaq ki iddat k doran aurat k liay dosri shadi kerna jaiz nahi hay.or talaq e raj,e k doran aurat k liay ye bhi haram hay k aurat ghair zarori kamo k liay shohar ki ijzat k baghair os k ghar se bahar jaay. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2487). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: divorce dene ke baad kia dubara koi aisi surat hay ke usi larki se shadi ki ja sake, or dalaaq ke baad rujoo ka kia matlab hay
Answer: 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . 2- Jis shaks ne apni aurat ko talaq e raj,e di ho os aurat ko os k ghar se bahar nikaal daina jis main wo talaaq k waqt rehti thi, haram hay. Or iddat k doran k akhrajaat shohar per wajib hain. 3- Agar shohar talaq ki tamaam shara,it ki pabandi kertay hoay talaq day tu jis aurat ko talaq di gae ho agar wo 9 saal ya os se ziayada ki ho , ya,isa nah ho, (jis aurat ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki ummeed bhi nah ho os ko ya,isa kehtay hain),nikah k baad shohar ne jima(hambistari) kia ho, aurat ko teesri talaq(jis ki tafseel masla#2491 main maujood hay) na di gae ho, ye talaq talaq e khula or mubaraat na ho or ye talaq hakim e shara ki taraf se di hoe talaq nah ho tu aisi talaq ko talaq e raj,e kehtay hain, or is talaq main shohar k liay jaiz hay k wo aurat ko oski iddat k doraan os se baghair nikah k ruju ker lay. Or agar shohar iddat k doraan ruju nah karay or iddat guzarne k baad ruju kerna chahay tu wo nikah k baghair os aurat se ruju nahi ker sakta. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2412, 2486,2487,2491). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar mard ek he din ek saat 3 talqain de de ta kia talaq waiqa ho jati ha ya ye ek talaq kehlay gi.es bare main qrqn kia kehta ha zara tafseel se batao
Answer: 1)Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “ØÇáÞ” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. 2)Agar talaq sahi di jay to jis aurat ko 3 bar talaq di jay k in talaqoo k darmian 2 bar ruju ya aqad(nikah) hua ho to wo sohar par haram ho jati hai. Han agar in srait k sath jin ka zikr talaq k ahkam mai kia gya hai wo aurat doosray mard say shadi karay to doosray sohar ki mout ya os sai talaq ho janay k baad aur iddat ghuzr janay k baad is ka pehla sohar dubara os k sath nikah kar sakta hai. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460, 2375) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia mard ek he din main 3 talaqen de de to kia woh ek talaq shumar ki jay gi ga talaq waqia ho jy gi hmera islam kia kehta ha plz urgent ha plz reply krna zurur
Answer: Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani di jaay. yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbaic zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: meray shohar nay 3 bar talaq likh kr di aur us k do teen din k bad hamari sulah ho gai hum dono sath soo gaye i mean intercourse ho gya kya hamara nikkah qaim hai ya talaq ho gai plz reply soon
Answer: Aap ko di gae talaq batil thi or ap ka nikah baaqi hay.Q k 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . 2- Jis shaks ne apni aurat ko talaq e raj,e di ho os aurat ko os k ghar se bahar nikaal daina jis main wo talaaq k waqt rehti thi, haram hay. Or iddat k doran k akhrajaat shohar per wajib hain. 3- Agar shohar talaq ki tamaam shara,it ki pabandi kertay hoay talaq day tu jis aurat ko talaq di gae ho agar wo 9 saal ya os se ziayada ki ho , ya,isa nah ho, (jis aurat ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki ummeed bhi nah ho os ko ya,isa kehtay hain),nikah k baad shohar ne jima(hambistari) kia ho, aurat ko teesri talaq(jis ki tafseel masla#2491 main maujood hay) na di gae ho, ye talaq talaq e khula or mubaraat na ho or ye talaq hakim e shara ki taraf se di hoe talaq nah ho tu aisi talaq ko talaq e raj,e kehtay hain, or is talaq main shohar k liay jaiz hay k wo aurat ko oski iddat k doraan os se baghair nikah k ruju ker lay. Or agar shohar iddat k doraan ruju nah karay or iddat guzarne k baad ruju kerna chahay tu wo nikah k baghair os aurat se ruju nahi ker sakta. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2412, 2486,2487,2491). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera swal ha k me is waqt 4 mah ki pregnant hun or mere khawind ne message pe likhne k doran mamoli jhagre pe mujhe message me 3 bar talaq ka likha hoa message send kr diya hai, kaya talaq ho gye ha ya nahi. Regards
Answer: Aap ko di gae talaq batil thi or ap ka nikah baaqi hay. Q k 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “ØÇáÞ” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aurat apne husband ko talak keyo nahi de sakti
Answer: Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya Auarat apny shohar ko 3 dafa talaq keh kar talaq lay saktee hay. Yani Bevi shohar ko kahy, talaq, talaq, talaq. Tu kya Talaq ho jaeyga, agar gupshup me hoo too.
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Talaq ka haq faqat shohar ka hota hai aurat talaq nahi de sakti. (Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part # , masla # 502-3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)