Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 4031
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: i wrote a messag on my cell phone to my wife "talaq talaq talaq".now i want to is talaq true.

Answer: Aap ko di gae talaq batil thi or ap ka nikah baaqi hay.Q k 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “ØÇáÞ” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . 2- Jis shaks ne apni aurat ko talaq e raj,e di ho os aurat ko os k ghar se bahar nikaal daina jis main wo talaaq k waqt rehti thi, haram hay. Or iddat k doran k akhrajaat shohar per wajib hain. 3- Agar shohar talaq ki tamaam shara,it ki pabandi kertay hoay talaq day tu jis aurat ko talaq di gae ho agar wo 9 saal ya os se ziayada ki ho , ya,isa nah ho, (jis aurat ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki ummeed bhi nah ho os ko ya,isa kehtay hain),nikah k baad shohar ne jima(hambistari) kia ho, aurat ko teesri talaq(jis ki tafseel masla#2491 main maujood hay) na di gae ho, ye talaq talaq e khula or mubaraat na ho or ye talaq hakim e shara ki taraf se di hoe talaq nah ho tu aisi talaq ko talaq e raj,e kehtay hain, or is talaq main shohar k liay jaiz hay k wo aurat ko oski iddat k doraan os se baghair nikah k ruju ker lay. Or agar shohar iddat k doraan ruju nah karay or iddat guzarne k baad ruju kerna chahay tu wo nikah k baghair os aurat se ruju nahi ker sakta. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2412, 2486,2487,2491). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4078
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia aisi talaq nafiz ho gi jo 2 aadil gawahoo ki gair moujoodgi mai shrie tour par talaq k sighay k bagair di gae ho?

Answer: Talaq osi waqt nafiz ho gi jab sighay, gawahoo aur baqi shariet k sath ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 151, pg # 76) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4108
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar sas bahoo k ikhtilafaat ki wajah sai maa apnay betay ko biwi ko talaq denay ka hokum dai to kia maa ki ataet wajib hai? Aur agar maa betay sai khay agar tum nai biwi ko talaq na di to tum meri taraf sai eaq ho gay to is ka kia hokum ho ga?

Answer: Is kaam mai maa ki ataet wajib nhi aur na eaq krnay sai mutaliq is ki dhamki ka koi asr ho ga. Albetta betay k lie zaroori hai k wo apnay qoul aur fail k zarie maa sai be-adabi sai ijtenab kray. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 348, pg # 213) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4180
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia aisay 2 mardoo k samnay talaq dena sahi hai jis k baray mai, mai kuch nhi janta?

Answer: Ye kafi nhi jab tak k chahae zahiri tour par ba-kirdar honay ki wajah sai hi, in ki adalat zahir ho jae. Yani meashray mai in donoo ka kirdar aisa ho k wo kisi kaam ko anjam denay ya trk karnay mai shriet ki pabindi kartay hoon. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 152, pg # 76-77) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4189
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia aurat ke talaq kahne se talaq ho jate hai?

Answer: Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4200
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia SMS k Zarey Talak ho jati hain agar koi shaks ghusy main apny BV ko SMS kar dy k main tummy talak daita hon tu ho jay ge teen bar aik sath

Answer: Talaq sms k zarie nahi hoti hai aur na hi ghusy mein hoti hai q k talaq ki shriat hain: 1)Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4202
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera nam shahwar meri ami ka nam sobia hy.mery mian se mery talukat thek nei hein.nobat talak tak aa gay hy.mey talak lena to nehi chahti magr halat esy hein.kia mera talak lena thek ho ga.mery husband ka nam kamran hy un ki ami ka nam tasleem kousar hy.

Answer: Rawayat men hai k talaq sharee`at k shadeed makroohat men se ek makrooh amal hai lehaza jis qadr mumkin ho is se bacha jaye, lehaza ap koshish kren k ayse kamon ko anjam den jis dubara ap k ap shohar k drmiyan taluqat behtr hojaen. Miyan biwi ki ek dusray se mohabbat o ulfat k liye har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karen. Is se donon me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi.(Ref : kitab Naway-e- salaheen, pg # 404)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4308
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia ak he bar 3 bar 3 tlakyn dyny se 3 talaqyn ho jate hyn?

Answer: Talaaq ki chand shartain hain 1) talaaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho 2) Talaaq ka seegha sahi arabi main lafz e

Id: 4315
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mainy apni wife ko nashay ki halat main talaq de lakin us nay talaq sunay say phelay he fone rakhdia tu kia talaq hoage

Answer: Talaaq sahi nai hai is ki kuch sharait hain jin ki pabandi nah ki jaye to talaaq sahi nai hoti 1) Talaaq ka seegha sahi arabi main lafz e

Id: 4366
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: i had been in saperation from about 17 months and now i got divorce fromthe court procedings(khula). what about my iddat. pl reply me soon

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1)talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.in sharait ki raushni main court say talaq lain sahi nahi or aisi talaq ghalat or batil hay. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). 2)Agar bivi apnay shohar se itni bayzaar ho jay keh bil-akhir apnay shohar k hoqooq ada kernay per qudrat nah rakh sakay or is baat per bhi raazi ho jay k apnay shohor ko khuch maal waghaira baksh day takeh wo osay talaq day ker azaad ker day laikin shohar is paishkash ko thukra raha ho or aurat ko talaaq nah day raha ho tab bhi haakim e shara(mujtahid) tak k liay talaq daina jaiz nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), mujtahid say pochay gay sawalaat part#2, Maslah#148 ) Note: jab aisi halat main haakim e shara(mujtahid) k liay talaq daina jaiz nahi hay tu adalat k liay talaq daina kaisay jaiz hoga. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!