Question: salam ,how much kafara of qasam
Answer: Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karay ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar koi biwi apne shohar ko quraan uthwa ker kasam dilwai or koi kaam kerne se mana kare tu os kasam ko wapis kaise le sakti hai take oska shohar os kasam se azad ho jaye.
Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mere ek dost ne khuda ki kasam khali gussay me hamein ky akarna chahiye
Answer: Agr apne jazbat men aakr bila-irada ya be-ikhtiyar qasam khai thi to ye qasam sahi shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: main ne dekha hai kay kisi ko manat puri karni hoti hay to who hazrat fatima {R.Z ki kahani sunti hain our isay bibi ki kahani kahtay hain kya yea jaiez hay Quran ki rooh say bataien .
Answer: Jee nahi ye Mannat nahi hai (albatta apni duaon k qabool hone k liye Janab Hazrat Fatima sa k zikr se tawasul krne men koi harj nahi hai). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2603-4). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslam o alaikum mujhe ye pochna tha k meine apni dua ki kaboliyat liye kuch manaten mangi haen kia manat mangna allowed hae islam mein?
Answer: Jee han Allowed hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2603-04). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kasam ki basic deffination kiya ha? aur iski kitni iqsam ha. plz tell me. thanku
Answer: Qasam ki 2 qismen hen. 1) Jab koi shakhs qasam khaye k falan kam anjam dega ya tark karay ga maslan qasam khaye k roza rakhe gay a tambakoo istemal nahi karay ga, Is Qasam ki shariat : Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye, jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho, Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho 4: qasam k alfaz zaban per laye, Or us qasam per amal karna bhi mumkin ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-2634) 2) - Agr koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to ye qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638) Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: muje aik shaks ne kaha k mai quran pa hath rakh k kaho k mai shadi kro gi to bs us se kro gi.mai ne asa kia.bt us waqt b mare dil mai ya tha k mai ne es se shadi ni karni,us ki umer 45 year hai.mai abi 25 ki hu.es ka kia kufarra hai.
Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mere shoher ne muj se quran pak per hat rakh ker kasam khilwi k tm kis se phon per bat na kerti or mere mana ker ne k bawjood unho ne muje qasak khilwi or me ne khali k me kis se phon per bat nh krti per me kerti ho ab btaty me kia kro plz reply e mail
Answer: Agar koi shakhs qasam khay k me jo kah reha hoon wo sach keh reha hoon to agar wo jhoot bool reha he to haram he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638) Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: I WANT TO ASK ABOUT MUJAZA OR KIA YA MANAT MANI JA SAKTI HA KY MERI DUA KABOOL HO TO MAN AIMA TAHREEN MA SE KISI IMAM KA MUJAZA PAROON GA OR NAYAZ DON GA
Answer: Jee han is men koi harj nahi hai.(mojza zikr masoomen hai or ye sawab hasil krne ka mojib hai)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2603-04). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar koi kisi ko zabardasti Quan e pak pakra k qasam khilaey k wo ye kaam nai kare ga or wo qasam utha b le to kyawo qasam ho jae gi or aga us ne wo kaam kerna ho to us k liye kya kerna hoga
Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).