Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10287
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam u alaikum hum 2 bhai or 1 behn hai walida b hayat hain walid sahib ki wirasat wali property mei kitna kitna hisa hai misal k tor pr 100 rupe mei kitna kitna hisa hai

Answer: wsalam.aap ki walida ko 8th hissa milay ga us k baad jo bachay ga wo bachon mai is tarah taqseem hoga k baiton k baition sai dughna miley ga.e.g agar marnay wala 400 rupar chor kar gaya hai tou us ki biwi yaanay aap ki walida ko 50 rupay milay gay or baaki 350 mai sai 70 aap ki behen k or 140, 140 dono bhayon ko milain gay. ye bhi wazeh rahe k agar meraas main ghar bhi chora ho tu marhoom ki bivi ko ghar ki zameen se koe hissa nahi milay ga balkeh zameen k oper maujood makan se hissa milay ga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2694). [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10714
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera Sawal hai... Agr ak shakhs ki maut hoti hai or uski 3 biwian Hain ak biwi mein se ak beti hai to Kya Baki biwian Jin ki koi aulaad nhi unka koi hissa hoga ya nhi?

Answer: Agar muta,addid biviyaan hoon tu farzand hone ki sorat main aathwaan hissa or farzand nah hone ki sorat main maal ka chotha hissa on k darmiyaan barabar taqseem kia jaey ga. (Ref: Ayatullah Khumeni(r.a), Tehrirul wasila, part#4 Pg #67). Update on dated 04-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10770
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Humari walida ka inteqal hogaya hai aur walida ki do shadian thi pehli shadi se 1 beti hai dusri shadi se hum 2 bhai hain ab humari walida k pass jo maal hai woh humare walid se mila tha to kia humari soteli behn ka hisa hoga

Answer: Walida k inteqal k baad walida ki meras teno behen or bhaiyo main taqseem hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2694). Update on dated 11-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10811
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o Aliqum ek shaks wafat pa gea us ki 5 baytean hy or bayta koi ni hy or bivi abhi tk zinda hy to us ki warast kasy taqseem ho ge kea us ki warast main us shaks k bhaion ka bhi koi hisa ho ga?

Answer: Agar marhoom ki wafaat se pehle marhoom k walidain ka inteqal ho gaya ho, tu bivi ko aathwaan hissa mile ga laikin zameen se koe hissa nahi mile ga, or baqi meras marhoom ki 5 baitiyoon main braber taqseem kar di jaey gi. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#991). Update on dated 22-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 11129
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera ek he Bhai that Jo ghairshadi shuda that uski death hogye he me unki ek he behn Hoon Mera unki property me kitna hisa hoga?

Answer: Agar aap k bhai k inteqal k waqt on k walid ya walida zinda hoon tu phir aap ko meras main se kuch bhi hissa nahi mile ga. Q keh jab tak marhoom k pehle giroh(group) se aik shaks bhi maujoo ho tu 2nd giroh tak meras nahi pohanchti, 1st giroh main walid, walida or aulad shamil hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2691). Update on dated 27-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 11172
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Walida zinda hon to bety ki wirasat me aulad aur bivi ki maujodgi me hissa 1/6th taqseem se pehly ho ga???

Answer: Marhoom ki bivi ko meras main se 1/8 hissa milay ga haan zameen ki qemat se is ko hissa nahi milay, or marhoom ki walida ko meras se 1/6 hissa mila ga ga or is k baad jo hissa baqi ga wo aulad mmai taqseem ho, larkay ko larhki se duugna milay ga.(Ref: minhajus saliheen, jild#3, maslah#996, https://www.sistani.org/arabic/book/16/936/) [Updated on 19-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11534
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere koi aulad nhi he mene kisi kka beti goad li he meri jayedaad par uska haq hoga ya mere bahi bhatijo ka ya meri biwi ka

Answer: Sagi aulad ko meras milti hay, goad li hoe aulad ko meras nahi milti.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#988-1005,eidition 1439 ). [Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11606
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam.o.alaikum Kia mayyat ny apnay jo kapray phen k mar gaya un kapro ka kia karna chahiye

Answer: Jo kaprhe mayyit chorh k jata un per barhe bete ka haq hay baqi phir wo jo karna chay us ki marzi .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 2019 maslah#2737). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11607
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalmoalykum .agar kisi admi ne apni wafat se phle apni jaidad bevi aur beto k nam kardi ....to kia us ki wafat k bad betio ko hissa mile ga ya nhe?

Answer: Agar marhoom ne zindagi main hi apna tamaam maal bivi or baito ki milkiyat main day diya tha tu phir meras main kisi ko kuch nahi mile ga. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#2, Maslah#1331,eidition 1439 ). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11656
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri maa ki death ho chuki ha ...le unka iklota baita hun ... mry soutaily abu unki jaidad me sy hissa mang rahy hyn kya shariyat k aitbaar sy unka hissa ha agar ha tu kitna

Answer: Agar aurat bay aulad mar ajey tu os k saare maal ka nisf(Half) hissa shohar ko aur baqi maandah doosre warasaa ko milta hay. or agar aurat ki osi shohar se ya kisi or shohar se aulad ho tu saare maal ka chothae(1/4) hissa shohar ko or baaqi maandah doosre warasaa ko milta hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2727). [Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!