Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9076
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Baap zindagi main betion k naam jaidaad lagwa sakta hai k nahin.aur ager woh yani baap marr jaye aur uss ki sirf betian hon to kia sari jaidad uss ki betion aur biwi main takseem ho gi.

Answer: Baap apnay maal ko apni zindagi main apni baitiyo k naam ker sakta hay or agar zindagi main naam nah kare tu bhi merne k baad bivi or baitiyo ko meraas k taur per milay gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2694). Update on dated 20-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9263
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aik shaks k 2 bahe hn. Maa baap hn. Aur aik bv ha. Olaad nahe ha. Sawal ya ha k aus shaks k marnay k baad aus ki jaidaad ki taqseem kesay ho ge?

Answer: Meraas main sub se pehle merhoom ki biwi ko aulad nah hone ki sorat main 1/4th hissa diya jaayega, lekin is men bhi kuch sharten hen k biwi ko zameen nahi mile gi balkeh zameen per bani hue imrat ki qeemat ka 1/4th mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2700-2728). Merhoom k 2 bhaio ko tu meras nahi mile gi laikin on k hone ki wajah se merhoom ki maan ko 1/3 hissay k bajaey 1/6 hissa ile ga or baaqi maal merhoom k walid ko milay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2696). Update on dated 07-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9499
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aurat ki death k bad uski property usk husband, 2 sons and 1 daughter mn kis trah taqseem hogi??

Answer: Agar merhooma k maan baap hayaat nah hoon tu phir meras ki taqseem is tarah hogi k husband k liay property ka choutha hissa ( ¼ ) or baqi property k 5 hissay karen or do do( 2) har larky ko diay jain or aik larki ko diya jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2727,2694). Update on dated 02-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9507
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar kisi ka qarz dena ho aur qarz leney wale ki death ho gai ho to kya us admi ki taraf se sadqa diya ja sakta hy?

Answer: Agar koe waris ho to usay den warna mujtahid ya us k waqeel ki janib rujoo karain. (Ref: Minhajus saliheen, jld#3, masala#1081) Update on dated 15-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9661
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam -o -alikum , mera sawal yeh hai agar walid ka intiqal hojye or unki ek biwi or 4 betiyaa ho , 4 bhai or 3 behnay hai , tu unki warasat kesy taqseem hogy ? bhai behan ka koi haq hoga unki jaydat per biwi or betiyo ky honay kay bawajood ya nhi ?

Answer: Bhai Bhehno ko kuch bhi hissa nahi milay ga, or biwi ko zameen ya pilot men say kuch bhi hissa nahi milay ga. Sab say pehlay biwi ko 1/8 ( aathwan ) hissa dia jaey or baqi jitni miraas bach jaey wo betion men brabar taqseem ki jaey, yani char hissy kiay jaen or har beti ko aik hissa dia jaey. (Ref: Minhajus saliheen, jild#3, masla#999). Update on dated 04-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9662
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar Marnay wali ki Aik sister aur aik Mother ho aur Chacha phopi ho tu jaidad ki taqseem kia ho gi?

Answer: Agar marne wali aurat ka shohar or aulad nah ho tu saari miras maan(mother) ko milay gi or sister, chacha , phopi ko kuch bhi hissa nahi milay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2727 ). Update on dated 03-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9747
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ek shakhs ka inteqal ho gaya hai aur uski 2 biwi hai, ek biwi se 2 beti hai aur dusri biwi se bachche ni hai. Uske 3 bhai aur 3 behen hai to uski zameen aur uska ghar kisko milega?

Answer: 3 bhayon or 3 behno ka koi hissa nahi hoga or zameen mai biwion ka bhi koi hissa nahi hoga faqat betiyaan haqdaar hoongi or jahan tak ghar ka ta,alluq hai tou ghar ki zameen mai bhi biwi ka koi hissa nahi hoga lekin fizaa main jo imaarat qaaim hai us ki qeemat main sai aathwa ( 8th ) hissa biwi ko miley ga or baqi jo kuch bachay ga wo faqat betiyon mai taqseem hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2728). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9813
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alekum Meri marhooma walda ne tarke mn jo zewar chora ha usko kaise taqseem kia jai??hm 5 behne or 4 bhai hn.

Answer: Agar marhooma k walidain or shohar hayaat nah hoon tu zewar k 13 hissay kie jain gay or har behen ko aik hissa dia jaey ga or har bhai ko 2 hissay diay jain gay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2694). Update on dated 13-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10130
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bivi k marny k bad uska nam k ghar ka haqdar kon hoga olad na honay ki surat ma shohar ya marhoma k behn bhai, or agar shohar k ilawa koi na ho to. mian bv ki olad na honay ki surat ma virasat kisko milegi

Answer: Agar bivi ki aoulad or waliden nah ho to us ki miras us k behn bhaion men taqseem hogi or shohar bhi un kay sath shareek hoga, shohar ko us ki poori jaedad men sy half (1/2) mily ga. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2703/2727) [Updated on 11-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10153
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Janab aslam alaikum . Ager koi adhmi apnay baap ky marnay se pehly Mar Jaye our marnay wala ky bachy yani oulaad hu tu Dada Jan ka ju miras yani jaidaad hu jo marhoom ko milna ta wu marhoom ki oulaad ko shariat kioon nahi deta.

Answer: Q k fiqhi maslah ye hay k jab kisi ka inteqal ho or oski aulad bhi maujood or aulad ki aulad bhi maujood ho tu meras aulad main taqseem hogi or meras aulad ki aulad main taqseem nahi hogi. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus saliheen, jild#3, Mafhoom e Maslah # 2694). [Updated on 05-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!