Question: Khaak e shifa khana kaisa hai?
Answer: Bagher kisi majboori ke khana ehtiyat e lazim ki bina par Haram hai. Albatta Husool e Shifa ki gharz se syed-us-shuhada Imam Hussain(a.s) ke mazaar mubarak ki matti (yani khaak e Shifa) ki thori si miqdaar aik chuney ke barabar khana jaiz hai. agar is khaak e Shifa ko mazaar mubarak ya atraaf se khud nah uthaya ho to agarchay is par khaak e Shifa kehna saadiq aaye to ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke is ki kuch miqdaar paani mein ya is jaisi kisi cheez mein hal kar li jaye taakay woh (hal ho kar) khatam ho jaye aur baad mein is pani ko pee liya jaye. isi tarah ehtiyat ki bina par aisi matti ke baray mein bhi yahi riayat rakhi jaye jis ke baray mein yaqeen nah ho ke usay turbat e aqdas se uthaya gaya hai aur is par koi gawah bhi nah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #44, maslah #2590). [Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nutfa ko peena jaiz hy ? Islam main kia hawala hy is bary main ?
Answer: Insaan ki Mani najis hai aur nijasaat khana, peena jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #81,84). [Updated on 28-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalam walaikum mera sawal yeh hai k ghat mei tootay hue sheeshe k istemal se ghar mei be barkati nahusat ati haai kia ?
Answer: Aisa nahin hai. Han! albata tootay hue bartan ke istemaal (is mein paani waghera peena) Makrooh( acha nahe ) shumaar kiya gaya hai.laikin jaiz hay. Not: Sirf paani peena makrooh shumar kiya gaya hai, aur wo bhi tooti huei jagah se, lekin jo jagah tooti huei nahin hai wahan se paani pee sakte hain aur makrooh bhi nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2602. + Minhaj ul Saliheen, part #3, maslah #952). [Updated on 20-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya mentrual cup ka istemal jaiz hai
Answer: Jee Jaiz hai. (Ref: Istiftaat). [Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mealworms hilal hain ya haram?
Answer: Har qisim ke keerhe makorhe khana Haram hain. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #1359,1360,1361). [Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o Alikum to Members, I hope you all are going great, Mera ye sawal ha " Kiya cigarette pi sakty hain or ager koi apny gher walon say chup kar piye to kiya pi sakty hain or wo chorna na parha ho is addat ko" ?
Answer: Aisay shakhs ke liye cigrette peena jis ne cigrette peenay ki ibteda ki ho agar ahem aur qabil e tawajah zarrar aur nuqsaan ka baais ho jaisay kisi uzoo ka naaqis hona agarchay aindah ho to haraam hai khuwa woh zarar maloom aur yakeeni ho ya zarar ka gumaan rakhta ho ya zarar ka ehtimal is had tak paaya jata ho ke Aaqil afraad is ki salamti se khauf zada hon, lekin agar mutmaen hon ke aisa zarar paish nahin aaye ga agarchay ye is jehet se ho ke kam cigrette piye to haraam nahin hai. lekin jis shakhs ne cigrette peenay ki aadat daali hai agar musalsal peetay rehna is ke liye ahem zarar rakhta ho to lazim hai ke tark kre magar yeh ke tark karna is se ziyada zarar aur nuqsaan ka baais ho ya ye ke cigrette ka chorna is ke liye bohat ziyada sakht ho jo mamolan qabil e bardasht nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #506,507). [Updated on 18-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walekum jii mera sawal kya hukkah islam me haram hai??
Answer: Aisay shakhs ke liye cigarette, hukkah, pipe peena jis ne use peenay ki ibteda ki ho agar ahem aur qabil e tawajah zaraar aur nuqsaan ka baais ho jaisay kisi uzoo ka naaqis hona agarchay aindah ho to Haraam hai khuwa woh zarar maloom aur yakeeni ho ya zarar ka gumaan rakhta ho ya zarar ka ehtimal is had tak paaya jata ho ke Aaqil afraad is ki salamti se khauf zada hon, lekin agar mutmaen hon ke aisa zarar paish nahin aaye ga agarchay ye is jehet se ho ke kam cigrette piye to Haraam nahin hai. lekin jis shakhs ne cigarette, hukkah, pipe peenay ki aadat daali hai agar musalsal peetay rehna is ke liye ahem zarar rakhta ho to lazim hai ke tark kare magar yeh ke tark karna is se ziyada zarar aur nuqsaan ka baais ho ya ye ke cigarette, hukkah, pipe chorna is ke liye bohat ziyada sakht ho jo mamolan qabil e bardasht nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #506,507). [Updated on 03-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar kisi ne hindu ke hath ka bana hua khana kah lia hai ar usko pata h usko ye jo khana banaya h isme gile hath lage hai ar usne kah lia toh uske lie kia huqum hai?
Answer: NULL
Question: Kia Christian k hath ka banna howa Khanna kha saktay hain
Answer: (aytullah sistani ke mutabiq christan (isaai) pak hain,koosht ke ilawa ) un ke hath ka bana hua khana kha sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani{d.b}, web Address: https://www.sistani.org/urdu/qa/01738/ ). [Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Khare ho ker kuch khana or Pina kaise hai? Sahi hai ya nahi?
Answer: NULL