Question: Haiz ki halat me nyaz fateha ka khana bna skte hai
Answer: Jee han, jaiz hai, bana sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 10-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar Haram paisa se niyaz Diya he Kya os ka Khana sahi he
Answer: Agar is baat ka ehtimaal ho ke jis raqam se niyaz banai gayi hai us me Halal raqam bhi shamil hain to khana jaiz hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Mafhoom e Maslah #30, Edition #1443 hij). [Updated on 14-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam ya Ali a.s madad... Machli kin mahino me khana jaiz h???
Answer: Machli (fish) ke Halal ya Haram hone men mahine ki koi qaid nahin hai ke kis mahine men Halal hai aur kis mahine men Haram hai, bas agar machli chilkay(scales) wali hai to Halal hai or agar bagair chilkay(scales) wali hai to Haram hai. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #877). [Updated on 21-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: eating pigeon is halal or haram?
Answer: Jee han Kabooter khana jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2587). [Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA. kia Bed yani bistar per beth kar Khana khana jaiz hay?
Answer: Jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2599). [Updated on 21-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia sharab (brandy) as a medicine pena jaiz h??
Answer: Aisi shadeed beemari jo aam taur par bardasht nah ki jati ho, us ka ilaaj un dawaon ke khane ya peene ke zariye karna jaiz hai ke jin ka khana ya peena halat e ikhtiyari me Haram hai, chahe sharab, ya koi nasah awar cheez ho ya koi aur haram cheez ho, albatta shart ye hai us beemari ka ilaaj sirf usi haram cheez ke istemal par munhsir ho is tarah se ke doctor ne sirf isi cheez ka kaha ho. lekin agar halal cheez ke zariye ilaaj karna mumkin ho to phir halal cheez vke zariye hi ilaaj karna zaroori hoga. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Edition #1443, Maslah #948). [Updated on 04-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia sharab (brandy) as a medicine pena jaiz h??
Answer: Aisi shadeed beemari jo aam taur par bardasht nah ki jati ho, us ka ilaaj un dawaon ke khane ya peene ke zariye karna jaiz hai ke jin ka khana ya peena halat e ikhtiyari me Haram hai, chahe sharab, ya koi nasah awar cheez ho ya koi aur haram cheez ho, albatta shart ye hai us beemari ka ilaaj sirf usi haram cheez ke istemal par munhsir ho is tarah se ke doctor ne sirf isi cheez ka kaha ho. lekin agar halal cheez ke zariye ilaaj karna mumkin ho to phir halal cheez vke zariye hi ilaaj karna zaroori hoga. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Edition #1443, Maslah #948). [Updated on 04-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya salan ko roti per dal Kar khana gunnah hai
Answer: Jee nahin, is me koi ghunah nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2599,2600). [Updated on 02-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Muslim gayr Muslim ka deya hwa Khana kha sakta ha?
Answer: Musalman ke liye ye jaiz hai ke wo ahl e kitab ke alawa dusre kafiroon ke haath se bana hua khana khaa lay, is shart ke sath ke musalman ko is baat ka yaqeen aur itminaan na ho ke kaafir ne use geele haath lagaye hain. Aur is baat ka bhi yaqeen aur itminaan nah ho ke is khaane me aisi koi cheez shaamil hain jis ka khana haram hai, Lekin Ahle kitab paak hain or un ke hath ka khana chahe geela hath hi Q nah lag jaye halaal hai, siwaye ye ke wo is men aisi cheez dakhil kare jis ka khana haram ho, Albatta ghosht, charbi aur in se bani huei cheez na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail, Mafhoom e maslah #154,155, pg #120, Edition #5). [Updated on 15-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Kya hum hindu ke ghar ka plate mei unhi ka khana kha skte hai jiss plate mei unhone kabhi haram ki sabji khaya jo ,ya uss ghr ka khana khana jayaj hai jiss ghr ke bartan mei kabhi haram bna ho
Answer: Musalman ke liye ye jaiz hai ke wo ahl e kitab ke alawa dusre kafiroon ke haath se bana hua khana khaa lay, is shart ke sath ke musalman ko is baat ka yaqeen aur itminaan na ho ke kaafir ne use geele haath lagaye hain (yahi hukum bartan aur plate ka bhi hoga). Aur is baat ka bhi yaqeen aur itminaan nah ho ke is khaane me aisi koi cheez shaamil hain jis ka khana haram hai, Lekin Ahle kitab paak hain or un ke hath ka khana chahe geela hath hi Q nah lag jaye halaal hai, siwaye ye ke wo is men aisi cheez dakhil kare jis ka khana haram ho, Albatta ghosht, charbi aur in se bani huei cheez na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masail, Mafhoom e maslah #154,155, pg #120, Edition #5). [Updated on 18-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]