Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Zeenat ( 151 Questions)


Id: 11107
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: مرد اپنی چھاتی کے بال کاٹ سکتا ھے کیا اسلام کے مطابق؟

Answer: Seenay k baal katwana jaiz hain. ( Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani ,Web Address https://www.sistani.org/arabic/qa/0504/) [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11142
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia darhi rkhne k baad choti ya barhi krwa skte hain? or naiz agr darhi rakhne k baad khat rakhna or phir darhi rakhne me koi gunah to nhi ?

Answer: darhi itni miqdar me rakhna wajib hai keh hadh e aqal thori aur gaal par darhi sadiq aye. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Web Address: https://www.sistani.org/urdu/qa/search/92898/ ). [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11161
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o Alaikum! Mera sawal he hai ke aj ka mard apne kan me bali (ring) pehnte hain or kuch shia mard bhi pehnte hain kya mard ka kan me bali pehnna jaiz hai?

Answer: W.Salam, Kaan me baali pehenna ahtiyat e wajib ki bina par haram hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Web Address : https://www.sistani.org/english/qa/01276/). [Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11428
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya marad ko apne back side baal saaf karne chhaiye? I shall be very thankful to you if you will reply fast. Jazak ALLAH

Answer: 1)Riwayat k mutabiq puray badan par noora(Badan k baal katna) lagana mustahabb hai. 2)Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12184
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa. Agr koi ghr mn akela ho tu wo baghar libas ky phr sakta hai ?

Answer: Mard k liye zaroori hai chahay usay koi na bhi daikh raha ho namaaz ki haalat mai apni sharam gaah ko daanphay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 776) (Note: Mard k liay namaz main sirif sharamgaah chupana zarori hay) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12233
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamun alaikum. Agar sharmgah or bagal k baal 2-3 mahine se na saaf kiye ho to kya namaz or digar ibadaat kr sktey?? Plz reply soon.

Answer: G han ibadaat ko anjam diya ja sakta hai. Riwayat k mutabiq puray badan k baal saf karna (hatta k sharamgah k bhi mustahabb hai. 2)Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karay yani baal karay. (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12750
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam un alaykum Islam mai ladies ky leay razor ka istimal jaiz hai ya nahi? jaisy eyebrows ky leay razor. please jaldi itila dejeay ga. Shukriaya

Answer: Jee haan. auratain(women) apni body say baal(hair) remove kernay k liay razor istemaal kersakti hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), email Rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) dated 15-07-2010). Auratoo k lye eyebrows banwana jaiz hai. (Ref : deen k ahkaam pg # 242 ques # 760) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) [Updated on 24-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12977
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aqeeq pehina behter h ya Neelam?

Answer: Har pathar (stone) ki apni apni fazitat hai to ye kehna mushkil he konsi anguthi pehenna behtar hai aur konsi behtar nahin. Albatta Mujtihideen ne namaz perhne wale k lie aqeeq ki anghuthi (ring) perhne ko mustahab qaraar dia hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #852). aur Rasool allah (s.a.w.w) ne Hazrat Ali (a.s) se farmaaya :Laal (red) aqeeq ki anghuthi (ring) pehno Q k is ne khuda ki wahdaaniyat (unity) aur meri nabuwat aur Hazrat Ali(a.s) aur un k aulaad ki imamat ka iqraar kiya. Allah ne farmaya jis haath me aqeeq ki anguthi (ring) hogi me aatish e jahanum me us haath ko azaab nah karo ga . Imam Ali Raza ( a.s) ne farmaya yaqoot ki anghuthi( ring) phenne se pareshani zael hoti hay. (Ref: Tehzeebul Islam, Allama baaqir majlisi, pg#32,36,38,39). [Updated on 09-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13364
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: مرد اور عورت جسم کے فالتو بھال کتنے دن میں صاف کرنا ضروری ہے۔ کیا مرد بھی کریم استعمال کر سکتے ہیں۔ اور داڑھی ولے مشین سے صاف کرنا جائز ہیں۔؟

Answer: 1: Jee haan, mard ke liye cream aur loha (machine) istemal karna jaiz hay.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Istifta from https://www.sistani.org/arabic/qa/21357/). 2: Riwayat k mutabiq puray badan par noora lagana (yani Badan k baal katna) mustahabb hai. Aur Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tak aur aurat 20 din tak noora karey yani badan ke baal katay.(Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) 3: Dharhi ka mondna ya machine se is ka banana agar mondne ki tarah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per jaiz nahi hay. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail jaame, part#1, maslah #2246). [Updated on 04-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14084
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اسلام و علیکم، کیا عورت ک لیے آنکھوں میں لینس لگانا جائز ہے؟ اور اسکی کوی شرعئ احتیات یا احکام ہیں تو وہ بھی بتا دیں

Answer: Aurat ke liye lens lagana jaiz hai. lekin agar color lens zeenat main shumaar hota ho tu os ko na-mehram k saamne zahir kerna jaiz nahin hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), jadeed fiqhi masail, maslah #532). [Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!