Question: Kya women ko sharamgaa par trimmer chalana jayez hai
Answer: Jee han, Aurat ke liye aisa karna jaiz hai. (Rel: email Rcvd from dated 15-07-2010. + http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/ ). [Updated on 07-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal ye hai k jaha sy ham pahaanna karty h wha k Baal saaf Karna zaruri h after periods?
Answer: 1: Periods ke baad Dubur(anus) baal saaf karna zaroori(wajib) nahin hai. Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aayei hay ke mard zair e naaf baalon ko 40 din se ziyada katne ko tark nah karay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko tark nah karay. Or rahi baat baghal ke baalon ki to buhat sari riwayaat main in baalon ke kaatne ke liay baghair mudaat e muayyana ki qaid ke hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar ke liye biwi se lazzat or faida hasil karne ki raah mian nafrat ka sabab banain to aurat ke liye in baalon ka kaatna wajib hay. 2: Dubur(anus) ke baal katna Jaiz hai, lekin zaroori(wajib) nahin hai. (Note: Riwayat men zair e naaf baalon or baghal ke baalon ke kaatne ki takeed e mustahab aayei hay laikin dubur(anus) ke baalon ke kaatne ki takeed e mustahab nahin aayei..). (Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). (Ref: website, Ayatullah Sistani(d.b), http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2) [Updated on 31-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Agha Sahab Mera sawal ye hai k Mai bodybuilding krta hn Gym jata hn kia mai jism k full hairs remove kr sakta hn ya haraam hai pllllzzzzz
Answer: Jee han, kar sakte hain Q ke jism ke poore baal saaf karna Haram nahin hain, balke Riwayat ke mutabiq poore badan par noora (Badan ke baal katna) lagana mustahabb hai. Aur Riwayat me takeed hai ke mard 40 din tak aur aurat 20 din tak noora kare yani badan ke baal kaate. (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23). [Updated on 20-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar baal 40 din ke baad saaf kren to ky namaz hogi kyunki mujhse galti hogyi h mere 60 din hogye h
Answer: 40 din ke baad, baal saaf karne se namaz me koi asar nahin parega Q ke baalon ka namaz se koi tulaq nahin hai. Albatta baaz riwayaat main takeed(mustahab) aayei hai ke mard zair e naaf baalon ko 40 din se ziyada katne ko tark nah karay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko tark nah karay. Or rahi baat baghal ke baalon ki to buhat saari riwayaat main in baalon ke kaatne ke liay baghair mudaat e muayyana ki qaid ke hukum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar ke liye biwi se lazzat or faida hasil karne ki raah mian nafrat ka sabab banain to aurat ke liye in baalon ka kaatna wajib hai. (Ref: website Ayatullah Sistani(d.b), link; http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/ ). [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia mard night cream use kr skty hein
Answer: Jee use kar sakte hain. (Ref:Email received from sistani ) [Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is it allowed to cut hair and nails on Tuesday? There's a saying associated with Imam Ali A.S that one should not cut their hairs on Tuesday but I'm not sure if it is authentic or not
Answer: Mangal ke din nakhun kaatna riwayaat main mana nahin aaya balkeh jumeraat or jume ke din nakhun kaatne ko behtar kaha gaya hai. Nakhon katne ke baad unko zameen main dafan kar dena riwayaat main behtar shumaar kiya gaya hai. Isi tarah mangal ke din baal kaatna riwayaat main mana nahin aaya. (Ref: Tehzeeb ul Islam, Allama baaqir majlisi(r.h), pg #185-188). [Updated on 05-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aurat par lazmi ha k wo zeere naaf bal kata ya ni
Answer: Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aayei hai ke (mard) zair e naaf baalon ko 40 din se ziyada arse tak katne ko tark nah karay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko tark nah karay. lekin agar baal shohar ke liye biwi se lazzat or faida hasil karne ki raah mian nafrat ka sabab banain to aurat ke liye in baalon ka kaatna wajib hai. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0504/#8632). [Updated on 28-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ak shadi shuda aurat parlour jakar dosri aurat se apne private parts ki wax krwaskti ha ? Ya haram hoga pls bata dein
Answer: NULL
Question: Salam mera sawal ye hai k mjhy bra pheny sy rashes ho jaty hain jiski waja sy ghr mai bra ni phnti Is waja sy mery nipples kameez mai sy saaf pta lg rhy hoty or mjhy lgta hai jesy mery bachy b dekh rhy hoty hain is bary mai kya hukam hai
Answer: NULL
Question: Kya pakhany sy bal katna gunah hy ya nahe
Answer: