Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Zeenat ( 151 Questions)


Id: 14432
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: پاخانہے کے آس پاس کی جگہ پر سے بال اتارنے چاہیے یا نہیں

Answer: 1: Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k (mard) zair e naaf baalon ko 40 din se ziyada katne ko terk nah karay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baalon ki tu buhat sari riwayaat main in baalon ke kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay biwi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay. 2: Dubur(anus) ke baal katna Jaiz hain. (Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). (Note: Riwayat men zair e naaf baalon or baghal k baalon ke kaatne ki takeed e mustahab aae hay laikin dubur(anus) k baalon ki takeed e mustahab nahin aae.. lekin riwayat men is se mana bhi nahin kiya gaya to lehaza dubur(anus)katna jaiz hain ). [Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14808
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Or ek or sawal meri ek dost lerki pak hony k lye raiser use kerti to kya yeh haram hai gunnah hai

Answer: Aurat(women) apni body say baal(hair) remove kernay k liay razor istemaal ker sakti hai is men koi haraj nahin hai. (Ref: email Rcvd from Ayatullah Sistani(d.b), dated 15-07-2010). [Updated on 13-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14860
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KY chotey bachey ko gold pehna saktey hy ?

Answer: Mard k liay sona pehenna haram hai lekin na balig bachay ke liye haram nahin hai, Han albatta jab ye bacha balig ho jaye ga to is ke liye bhi sona pehenna haram hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42 ,maslah #820). [Updated on 16-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14918
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Tuesday Kay din hair ya bear setting kerwana jaiz hay sahe hay ya nhii...

Answer: Jee Jaiz hai. (Ref: Tehzeeb e aal e Muhammad(s.a.w.w), Allama majlisi(r.a), pg #153,154,155). [Updated on 13-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15252
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mard k lye chandi pehnany ki miqdar Kia ha?

Answer: Chandi pehnne main koe ishkaal nahin hai chahe jitni miqdar me ho, lekin mard k liay sona pehnna haram hay or us k sath namaz batil hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42 ,maslah #820). [Updated on 17-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15477
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Sheer Khuwar Bachy / Na baligh bachy pa b Sona Haram hai ?

Answer: Mard ke liye sona ( gold) pehenna haram hai lekin na balig bachay ke liye haram nahin hai, Han albatta jab ye bacha balig ho jaye ga to is ke liye bhi sona pehenna haram hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), edition #1443, part #1, maslah #1083, and part #2, maslah #500). [Updated on 11-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15527
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: baal kitnay lambay kr sakty hai or unko bandhna kesa hai mardon k leay please explain completely

Answer: Mardon ke liye dono baaten masnoon hain chahen to sab baal mundwaain chehen to barhaain albatta mundwana afzal hai, lekin Rasool e khuda(s.a.w.w) se manqool hai ke jo bhi apne sar ke baal bare rakhna chahe to use laazim hai ke un ki khabar geeri (dekh bhaal) kare warna mundwa de. (Ref: Tehzeeb e Aale Muhammad, Allama Baqir majlisi, pg #153,154). [Updated on 06-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15562
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamunalekum. In which finger we are allowed to wear a ring(silver)? Please reply as soon as possible

Answer: Aima Masoomeen(a.s) ki seerat me ye milta hai ke wo Daain(right) hath(hand) me angothi(ring) pehna karte the aur Daain(right) hath(hand) me bhi Angothe(thumb) or darmiyani ungli(middle finger) ke alawa baqi fingers me angothi (ring) pehenni chahiye Q ke Imam Jafar Sadiq(a.s) se manqool hai ke Rasool e khuda(s.a.w.w) ne Angothe(thumb) or darmiyani ungli(middle finger) me angothi(ring) pehenne se mana farmaya hai. (Ref: Tehzeeb e Aale Muhammad, Allama Baqir Malisi, page #47,48). [Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15798
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aurat apne Baal saaf Karne k liye razors istemal krskti h ya Haram h?

Answer: Jee han, Aurat(women) apni body say baal(hair) remove kernay ke liye razor istemaal kar sakti hai is men koi haraj nahin hai. (Ref: email Rcvd from Ayatullah Sistani(d.b), dated 15-07-2010). + https://www.sistani.org/arabic/qa/02084/#25584 ). [Updated on 01-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15915
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia awrat blade ka istemal kr sakti hai? Tafseel se wazay krain pls. Shukriya

Answer: Jee han, Aurat lohay (ke blade) sai apnay jism ke baal kat sakti hai. (Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/ ). [Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!