Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 946
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: new born bache ka nam rakhne ki kiya sharait hai islam mai

Answer: Bachay ka achcha naam bachay ka haq hay apne walid par. Ahadees k mutabiq ambiya, Masomeen (a.s) waghaira k naam per bache ka naam rakhna mustahab hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1053
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Kya adoption jayez hai?kya me apne jethji ki beti ko adopt krsakti hu?uski ma nahi

Answer: Jee adoption(Gaud lene) men koi harj nahi albatta agar bachay ki adoption ki jaay to is baat ka khayaal rakha jay k bachay k shajra e nasab or is ki family say is ka ta’al’luq mehfooz rahe. (Ref :Mafhoom e E-mail Recv from A.Sistani(d.b), 24-12-2010).Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1828
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawaal hai meri wife mujse khula chati hai mera 3 saal ka bacha hai agar mein khula dedu to mera bachhe par haaq hoga ya nahi khula ke bad bachhe se milsakta hoon plz si maslai mein meri maddat kare

Answer: Jee haan aap apne bachay se bilkul mulaqaat ker sakte hain. wo aap ki aulad hay. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 574,pg # 287, Eidition# 5). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3033
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr beta paida ker k 2 saal bad goud dey dia.ab kia betay ke salary sey is paida karnay wali maa ka kuch haq banta hai??

Answer: Je haan Bete per Peda kerne wale Man Baap ka haq to banta hai is liay k Jis ne aulad ko paida kia ho wohi haqiqi waldain shumaar hote hain or agar wo ghareeb hoon tu on k akhrajaat aulad per wajib hain. Paalne se wo good lene wale waaldain haqiqi waaldain nahi bante yahan tak k lerke k liay uski paalne wali maan tak na-mehram hoti hai.(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #584 , Pg #289 , Eidition# 5). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3135
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Son got not circumcised proprly and foreskin a little back here Dr advised for again circumcision is that good.fore skin cover his half head even errection,pl advise

Answer: As long as the glans hole "urethral opening" and a part of the glans is exposed then that is sufficient (Email rcvd from A.Sistani(d.b), dated: 17.01.2012). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3502
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya islam may baccha goud lena jayez hai kya.

Answer: Jaiz hay. (Ref: Mafhoom e E-mail Rcvd From Ayatullah sistani(d.b), dated:24-12-2010). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4360
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri ek beti5 saal ki ha mujhe yeh puchna ha k tallaq k bad mera sabiq shohar kis surat me muj se beti le sakta ha

Answer: Aap k sabiqa shohar k liay aap se aulaad juda ker k apne paas rakna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #24). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4372
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya hum baccho ka naam ruhul amin rakha sakte hai ya nahi. aur agar rakha sakte hai to is naam ka matlab bhi bataye. aur baccho ka naam taha aur yasin rakha sakte hai ki nahi kuran aur hadis ki roshni mai is ka jawab de.

Answer: Je haan Bache k ye naam rakhna jaiz hain . (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4819
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Apny Bachay Ka Naam Muhammad Rakh Saktay hain, Muhammad Bin Saeed , Ya Sirf Muhammad

Answer: Je haan Bache k ye naam rakhna jaiz hain balkeh Muhammad rakhna mustahab bhi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5277
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera aik chota beta hai kia meray upper wajib hai k mai osay shr’iat k ahkam ki taleem doun?

Answer: Aulad ki achi or islami tarbiyat walden per aulad k huqooq main se hai .Albatta ap per wajib hai k jin cheezo ki osay fil-haal zarorat hai, un chizon ki taleem den.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 201,pg # 91). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!