Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1045
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere humsae hain un k bacha nai howa 11 sal ho gae hain wo larki thek hai wo mujh se bach chahti hai ye jaez ho sakta hai

Answer: Agar bacha kisi k hawalay karain tu is baat ka khiyaal rakha jay k bachay k shajra e nasab or is ki family say is ta’al’luq mehfooz rahay.or agar bacha 2 saal say kam hu tu bacha wusool kerna wali khatoon dhoodh pila ker is ko mehram bhi bana jasakteen hain laikin agar bacha 2 saal say ziyada ka ho tu phir osko mehram banay ka koe raasta nahi hay. (Ref :E-mail Recv from A.Sistani(d.b), 24-12-2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2743
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: do saal say ziada maa ka dodh pilana wajib h ya nhi agar nahi to Q????

Answer: Bache ko 21 mahine doodh pilana mustahab or 2 saal se ziyada pilana munasib nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2906
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aurat apney shahor ke sath humbestar honey ke bahad apney bachey ko dodh (milk) pila sakti hai ya pehlay ghusal karna lazmi hai?

Answer: Jee haan baghair gusal k doodh pilana jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354,355). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3191
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya badi bhabhi apne chote devar ko apna doodh pe la sakte hai ya nahi

Answer: Jee haan bhabhi apne daivar ko apna dhoodh pila saktai hay agar wo chota bacha ho, nah k baligh lerka ho. Or aurat ko chahiay k ehtiyaat e lazin ki bina per wo apna badan os bachay se chupaey jo jis k bare main ehtimaal ho k o ski jinsi khahish baidaar ho jaey gi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #905, Eidition 1417 hij). Update on dated 22-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 3198
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya chota devar ko badi bhabhi apna doodh pe la sakti hai ya nahi.

Answer: Jee haan bhabhi apne daivar ko apna dhoodh pila saktai hay agar wo chota bacha ho, nah k baligh lerka ho. Or aurat ko chahiay k ehtiyaat e lazin ki bina per wo apna badan os bachay se chupaey jo jis k bare main ehtimaal ho k o ski jinsi khahish baidaar ho jaey gi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #905, Eidition 1417 hij). Update on dated 22-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 3646
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is it necessary for a pregnant mother to breastfeed her first baby(of one year)?

Answer: It is recommended(Mustahab), if possible, that a child is suckled for full 21 months. And it is not preferred that it be suckled for more than two years. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 22-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3763
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: me puchna chahti hoon k mera 10 mah ka baita hai aur me usey doodh pilati hun kya muj per roza farz hy?

Answer: Ager bache ka doodh pena maan k uper munhasir(depend on) hai or doodh kam ho to ager roza rakhna kud maa k liye ye bache k liye muzir ho to ap per roza rakhna wajib nahi hai or zarori hai k her din k badle 1 mud khana sharai faqeer ko dain aor baad main roze ki qaza karain Ager orat ramzaan ke roze haiz ya nifaas ki waja se na rakhe to ramzaan ke baad is ko us rozoo ki qaza karni ho gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1700,1673). Update on dated 22-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 4126
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: islam mein aurat ko doodh pilana farz hai ya apni marzi se nai b pila sakti ager wo seht mand b hai to??plz ans me

Answer: Aurat par doodh pilana wajib nahi chahay wo sehatmand bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2451). Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5373
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: BACHE KO KITNI UMAR TAK DOODH PILA SAKTE HAUN?

Answer: Mustahab hay k kisi bachay ko poray 21 mahinay doodh pilaya jaay or 2 saal se ziyada doodh pilana munasib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 22-08-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5624
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: May nay kuch saal phlay ek bachy goud ly thy,,,,ab mjhay meri apny aulad honay wally hn,kya may goad ly hue bachy ko apna dooeh pilla kr mehraam bna skty hn

Answer: Jee nahi, Q k dhood pila ker mehram banana ki 8 sharait hain on main aik shart ye bhi hay k bachay ki umar 2 saal(chand k layhaaz) se ziyada nah ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2428). Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!