Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Taharat/Nijasat ( 307 Questions)


Id: 15357
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr ghusal kye baghair naye kapry pehn lyn to kya wo kapry napak ho jaty hn?

Answer: Badan par jis makam par nijasat lagi hoi ho agar wo tar(wet) ho aur pak libas us se mas ho jaye to pak libas napak ho jaye ga warna nahin napak nahin hoga. Aur Insaan par namaz or is jaisi dosere ibadat k liye ghusl e janabat wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119,356). [Updated on 22-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15529
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar do najasat ek sath ho or dono pe gusl wajib ho toh dono najasaton ko dur kaise karenge?

Answer: Agar aap kisi aik nijasat ko hata kar pak karen gi to dosri nijasat se khud ba khud pak ho jayen gi aur dono ghulon ki niyat kar ke aik kar len to kafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #387). [Updated on 18-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15536
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamun Alaikum, Agar belt leather ki bani ho, made in china yani non muslim country hai, lekin sure nhi hoon k kia wo janwar halal tareeqy sy zibah howa ya nhi to kia is surat me us belt ko pehan k namaz parhi ja sakti hai?

Answer: agar leather ke asli hone ke bare me shak ho ( yane ye leather asli bhe hay ke nahe) tu ( ye ) paak hay or taqeeq karna zarore nahe hay .or agar asli hone ke baare me yaqeen ho tu agar ahtemaal ( chance ) bhe na ho ke ye musalmaan mulk se hay ya halaal tareqe se jaanwar ko zibha kia hay ,tu aise khaal najis ke hukum me hay or is ko namaz me istemaal nahe karsakte or is ke ilawa surat me paak hay or is me namaaz bhe jaaiz hay (ref: sistani.org, urdu,topic : cahmra,sawaal no :1) Jab tak un ke najis hone ka ilam na ho use pak samjha jaye ga aur namaz bhi parhi ja sakti hai. Agar ziyada ehtemal (chance) ye ho ke in chamron ka zibah sharaei nahin hua sirf halka sa ehtemal (chance) maslan 2(%) feesab diya jaye to is par nijasat ke ahkam jaari hon ge, aur agar is baat ka ehtemal (chance) qawi ( ziyada ) ho ke un ka zibah sharaei hua hoga to unhen pak samjha jaye ga aur un men namaz bhi parhi ja sake gi. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #65). (jis jaanwar se jild haasil ki gahe hay or us se leather belt banaae ghae hay ) agar ( us ke ) zibha sharhe ( hone ka ) ka ahtemaal (chance) na ho balke hame yaqeen ho ke ise ( yani leather belt ko ) aise hewaan ki jild (skin) se banaya gaya hay jis ka zibha sharhe nahe hoa hay tu wo najis ( na paak ) hay or batur ehteyaat belt wagaira me bhi namaz na perhe jaay or agar is ke zibha sharhe hone ka zaeeef ( bhut kamzoor) sa ehtemaal (chance) ho masalan 2(%) ho jise aqalmand louq khaatir me nahe laate phie bhe is me namaz jaiz nahe hay.(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #197) [Updated on 18-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15642
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1 Adar khapde me pishab kare he toh taharat thoot jati hai 2 pisahb ki huwi jaga par baithne se taharat thoot jati hai ya nahi 3

Answer: 1: Agar aap ka sawal wuzu ke hawale se ho to Jee han peshaab karne se wuzu ki taharat toot jati hai or kapron me jahan peshab laga ho to wo jagah bhi napak ho jati hai. 2: Agar wuzu kiya hua ho or peshaab wali jagah par betha jaye to wo jagah ya badan dono ya in me koi aik gheela ho to badan ka wo hissa napak ho jaye ga jo us jagah ke sath touch hua ho lekin is se wuzu ki taharat nahin toote gi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #81,119,322). [Updated on 17-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15656
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Mera sawal he ke agar napaki ki halat me libas pehn lya to wo libas pak hoga ya nahi?

Answer: Agar najis jagah ya libaas me se dono ya in me se koi aik is qadar gheela ho ke aik ki tari dosri tak punhch jaye to libaas najis hoga warna pak hoga. Q ke agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag jay aur dono ya un me se aik is qadar tar ho k aik ki tari dosray tak punhch jaye to pak cheez najis ho jay gi (albatta agar tari (ghilahat) itni kam ho k dosri cheez ko na lage to paak cheez najis nahin ho gi). (Ref: Tauzeeh ul masal, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #119) [Updated on 27-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15675
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum, mera ye sawal hai k main pregnant hun or is doran aksar mjhy pishaab control karny main masla horaha hai ya kabhi kabhi ik do qatray nikal jatay hain pishab k, to ase main mujhy namaz prhnay k lie taharat ya ghusal karna chahye?

Answer: 1: wo peshaab ke qatray najis shumaar honge lehaaza badan ya libaas me jahan jahan qatre lagay hain wo jagah najis hogi aur use paak karna hoga. Agar kabhi kabhi qatray nikalte hain to wo jagah pak karne ke baad faqat wuzu kar ke namaz parhen.(or badan or lebaas agar peshaab se najis ho tu us ko 2 dafa Pani se Paak karna zarori hay) 2: Agar peshaab ke qatray aanay ki bimaari ho tu agar ye yaqeen ho ke namaz ke awwal waqt say lay ker aakiri waqt tak itna waqfa (time) mil jaay ga keh sirf wuzu kar ke namaz parh sakti hain to zaroori hay ke is waqfay ke doraan namaz parh lain or agar sirf itni muhlat milay jo namaz ke waajibaat ada karnay ke liye kaafi ho to is doraan sirf namaz ke wajibaat anjaam dain or zaroori hay ke mustahab kaam maslan azaan, iqamat or qunoot ko chorh dain. lekin zaroori hay ke namaz say pehlay apnay kaprhay, badan ko paak kar lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #306). [Updated on 02-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15714
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ma ny kuch kapry apny washing machine ma dhoey. Dhoney k baad maalum huwa k meri underwear najis hi rahi (mani ka nishaan) reh gya. Kia mery baaqi kapry bhi najis hi rahy aur kia usey dobara dhona zaruri ha? Buhat Shukria.

Answer: 1: Agar koi chiz peshab k alawa kisi najasat se najis ho jaye to agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye aur us se juda ho jaye to woh chiz paak ho jati hai, albatta libas aur is se milti julti chizon ko nichorna zaroori hai takeh in ka dhowan nikal jaye. agar kapron ko aik sath machine me dhoya ho aur us ke pani me surf ya koi aisi chiz milayi ho jis se woh pani muzaf ho jaye, to woh pani bhi najis ho jayega aur jitne kapron par woh najis pani lage ga us ko bhi najis kar dega. lehaza machine me dhone ke baad in ko machine se nikaal kar alag se paak karna hoga. or machine ke andorooni hisse ko bhi paak karna hoga. 2: Jab tak ain-nijasat (nijasat ka maaddah) kisi najis cheez se alag na ho wo pak nahin hogi lekin agar nijasat ki boo(smell) ya rang(colour) us me baqi reh jai to koi haraj nahin. lihaza agar Mani libas par se hata diya jaye aur libas dho kar paak karlia jaye aur mani ka srif rang(colour) reh jaye to libas pak hoga. aur unhi kapron men namaz bhi sahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #156,164). [Updated on 09-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15752
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr nijast Wala kapra jis pr Gol daira bn Jata Hai vo kapra Kisi cheez Jaise mobile or Pak Kapro pr lag jai toh vo bhe napak ho jai gee cheezay

Answer: Agar kapre ki najis jagah ya moblie me se dono ya in me se koi aik is qadar gheela ho ke aik ki tari dosri tak punhch jaye to mobile najis hoga warna pak hoga. Q ke agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag jaye aur dono ya un me se aik is qadar tar ho k aik ki tari dosray tak punhch jaye to pak cheez najis ho jay gi. albatta agar kapre ki najis jagah khushk ho gayei ho ya gheeli ho lekin ghilahat itni kam ho k dosri cheez ko na lage to in dono surton paak cheez najis nahin ho gi. Jab tak ain-najasat (najasat ka maaddah) kisi najis cheez se alag na ho wo pak nahin hogi lekin agar najasat ki boo (smell) ya rang (colour) us me baqi reh jaye to koi haraj nahin. lihaza agar khoon libas par se hata diya jaye aur libas dho kar paak kar liya jaye aur khoon ka rang (colour) reh jaye to libas pak hoga. aur doorsi cheez ko bhi najis nahin karega. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119,164) [Updated on 20-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15756
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is the stool of home lizard impure(najas)?

Answer: Jee nahin, khud chapkali ya us ki pakhana najis nahin hain laikin haraam ghost Haiwaan keh jo uchhalne wala khoon na rakhta ho, Ehteyat e laazim ki bina par is ke peshaab se parhez karna zaroori hai. Q ke Insaan aur har us Haiwaan ka jis ka ghost haraam hai aur jis ka khoon jahindah hai (yani agar us ki rag kaati jaaye to khoon uchhal kar nikalta hai) peshaab aur pakhana najis hai. Haan! Un Haiwaanon ka pakhana paak hai jin ka ghost haraam hai magar in ka khoon uchhal kar nahin nikalta maslan woh machhli jis ka ghost haraam hai aur isi tarah ghost na rakhne waale chhote Haiwaanon maslan makhi, khatmal aur pissu ka fuzlah ya aalaish bhi paak hai laikin haraam ghost Haiwaan keh jo uchhalne wala Haiwaan na rakhta ho, Ehteyat e laazim ki bina par is ke peshaab se parhez karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #80,81). [Updated on 22-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15765
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr him Mani hata ke khusl karle aur namaz parhlein Lekin baad mein pata chale ke khushk Mani abhi bhi Halka sa Laga was hai to kia hum najis honge aur kia Hume namaz wapis parni parhe ghi?

Answer: Jab tak ain-najasat (najasat ka maaddah) kisi najis cheez se alag na ho wo pak nahin hogi lekin agar najasat ki boo (smell) ya rang (colour) us me baqi reh jaye to koi haraj nahin. lihaza agar khoon libas par se hata diya jaye aur libas dho kar paak kar liya jaye aur khoon ka rang (colour) reh jaye to libas pak hoga. aur doorsi cheez ko bhi najis nahin karega. Agar mani ko hata ke us jagah ko pak kar liya tha aur phir ghusl kiya tha ya ghusl ke dauran hi wo jagah pak ho gayei thi aur baad me mani ki boo (smell) ya rang (colour) us me baqi reh jaye to is me koi haraj nahin hain, wohi ghusl or namaz kaafi hai aur dobara ghusl karne ya dobara namaz parhne ki zaroorat nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119,164) [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!