Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Taharat/Nijasat ( 307 Questions)


Id: 15782
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera ap se ye sawal tha ke bhare peshab ke baad pakhane ko kya kisi bhi hath se saaf kiya ja skta hai aur aghr saara peshaab kharij na ho kuch na nikly to kya jism pak hota hai?

Answer: Jee han, kisi bhi hath se pak kiya ja sakta hai. or pak karne ke baad jism ka zaahir pak ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b),edition #42, Maslah #61,62). [Updated on 28-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15796
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا مجنب کا پسینہ پاک ہے؟ اگر ایسا شخص کے جس پر غسل جنابت واجب ہو اُسکا پسینہ کسی کپڑے پر گر جائے تو کیا وہ کپڑا پاک ہوگا ؟

Answer: Jee han, Jab kisi par ghusl e janabat wajib hota hai tou us ka jism najis nahi hota, lehaza mujnib ko jo pasina aata hai wo paak hai or us ka jism bhi paak hai aur kisi libaas wagera ko najis bhi nahin kare ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #114). [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15858
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr mani farsh pr gir jae to phr kya krein agr wo farsh dhoya na ja sakta ho to?

Answer: 1: Waise to use pak karna zaroori nahin hai lekin agar wahan gheele paaon wagera ke sath chalen ge to paaon wagera najis ho jaye ga aur phir use karna parega, lihaaza is cheez se bachne ke liye use pak karen taake koi gheeli cheez us se touch ho jaye to baar baar use pak na karna pare. 2: Agar koi cheez peshab ke alawa kisi najasat se najis ho jaye to agar najasat door karne ke baad aik dafa qaleel pani us par dala jaye aur us se juda ho jaye to woh cheez paak ho jati hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #119,156). [Updated on 18-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15859
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa mera sawal yh hy k ab hmara wshrm sehn k sth hy aksr sb wshrom wly jutou k sath hi sehn mn phir rhy hoty toh kia sehn mn nmaz prh skty?

Answer: Jee han, sehen me namaz parh sakte hain. aur agar kisi bhi wajah se sehen najis ho gaya ho tab bhi aik surat me wahan namaz parhi jaa sakti hai aur wo surat ye hai ke agar namaz parhne ki jagah najis ho aur nijasat aisi ho jo namaz ko batil kar daine wali ho to (agar wo nijasat) itni martoob(gheeli) na ho ke us ki rutubat namaz parhne wale ke badan ya libaas tak puhnche (to is surat men bhi namaz parhi jaa sakti hai). Laikin agar sajde main peshaani rakhne ki jagah najis ho to chahe wo khushk bhi ho namaz baatil hai aur Ahtiyat-e-mustahb (yani behtar) hai ke namaz ki jagah bilkul najis na ho. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, After Maslah #873). [Updated on 14-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15869
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye hai kai agr apki inner wear geli hojati ho normally or pta na chalay Kai ye peshab hi hai tu is bary mai kia hukm hai?

Answer: 1: Agar shak ho ke najis ho gaei hai ya nahin to wo pak hi rahe gi. Aur tehqeeq karna bhi zaroori nahin hai. Han agar Yaqeen ho ke wo najis ho gayei hai is tarah se ke maslan wo jis se gheeli hui hai wo peshab hi hai to wo najis ho jaye gi, aur use pak karna hoga. 2: Kisi bhi cheez ki Nijaasat 3 tareeqon se sabit hoti hai: un me se aik ye hain hai ke Khud Insaan ko yaqeen ya aqlee tareeqe se itmenaan ho jaaye keh falan cheez najis hai. Agar kisi cheez ke mutaliq mahaz gumaan ho keh najis hai to is se parhez karna laazim nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #117,115). [Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16068
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bistar pe baccha peshab kar de bar bar to kya bistar napak ho gya h to gadda kaise Pak kare

Answer: Jee han, peshaab nijasaat me se aik hai lihaza agar peshaab kisi cheez ko mas(touch) kare to wo cheez najis ho jaye gi. Agar cheez peshab se najis ho jaye to (pehle us nijasat ko door kiya jaye ga) aur najasat door karne ke baad do dafa qaleel pani us par dala jaye aur use juda ho jaye to woh cheez paak ho jati hai albattah libaas aur is se milti julti cheezon jese qaleen or dari waghaira ko nichorna zaroori hai takeh in ka dhowan nikal jaye. Molty Foam aur gadda wagera un cheezoon main se hai jin ko nichora ja sakta hay. ya ise daba ke is ke ander se pani nikala jasakta hai. lekin agar najis cheez ko jaari paani ya kur pani (jo 36 cubic Balisht {aik Balisht taqreeban 22 centimetre} ke bartan ko pur kar day jo ke taqreeban 384 litre hota hai) se paak kiya jaye ke pani is kay tamam najis maqamaat tak pohunch jaye to wo cheez paak ho jaye gi or nichoor ke pani nikaalne ki bhi zarorat nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #115,119,153,154). [Updated on 12-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16135
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر الماری میں چوہا گھس جائے تو کیا الماری میں موجود سبھی چیزیں نا پاک ہو جا ئیں گی یا صرف وہ اشیاء نا پاک ہوں گی جن پر مینگنیی موجود ہے؟ ر

Answer: Faqat wo ashiya najis hongi jin par choohe ki mengni gilahat ke sath lagi hai. lekin jis ashiya par mengni lagi hi nahin ya lagi to hai lekin gilahat ke bager to wo ashiya pak hi rahengi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #115,119,153,154). [Updated on 29-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16180
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam. Kya zarurat k wakt washroom mai bartan dhoo sakte he.

Answer: Jee dho sakte hain, balke zaroorat aur majboori na bhi ho tab bhi washroom me bartan dho sakte hain. (Ref: Mafhoom e Email rcvd from Ayatullah Sistani d.b). [Updated on 11-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16211
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir Mera Sawal Y Hy K Agr Kisi Time Peshab K Shat Kuch White Sand NIkal Gaye Or Ghusal Karny K JAGA Na Ho Tu Wozo Kya Ja Sakta Hy

Answer: 1: Peshab ke bad istibra karna: Istibra aik mustahab amal hai jo mard pishaab karne ke baad is liye anjaam daite hain ke itminaan hasil ho jaaye ke ab paishab, naali main baqi nahin raha hai aur wo ratoobat jo baaz awqat peshaab ke baad nikalti hai use "wadi" kehte hain agar is se peshaab mila hua na ho to ye paak hai, aur jab kise shaks ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad ratubat kharij ho jis ke baare me shak ho ke wo peshaab hai ya koi aur rutoobat to wo paak hai. 2: Faqat wuzu hi kiya jaye ga, ghusl nahin karna hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.), edition #42, maslah #69,70). [Updated on 19-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16300
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kis cheezon ko Jo najis hojy fori pak kerna zaroori hy

Answer: Jin cheezon ko fauran paak karna wajib hai in me se maslan ma Masjid (chahe masjid e haram, masjid e nabawi, masjid e koofa ya aam masjid ho), ya jo cheezen masjid ka juz shumaar hon, Quran, ya har wo cheez jis ka ihteraam karna wajib hai jese wo kagaz jis par Allah tala, Nabi(s.a.w.w), ya Masoomeen(a.s) me se aik ka naam, ya un ke alaqaabat ya kuniyaten, likhi hui hon, najis ho jayen to in ka pak karna wajib e fauri hai. Is tarah Masoomeen(a.s) ke harm najis ho jayen aur in ka najis rehna agar tauheen shumar hoti ho to pak karna wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #1, Edition #1443, Maslah #409,421,1148,1149,1155). [Updated on 20-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!