Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 40
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SALAAM, AGAR WAZOO KE DORAN YA BAD MAI GAS KHARIJ HOTI HAI TO IS SE WAZOO TUT JATA HAI YA NAHI AUR AGAR GUSL-E-JANABAT KE DORAN GAS KHARIJ HO TO KYA GUSL WAPAS KARNA PARTA HAI.

Answer: Salam un Alaikum, Gas kharij hone sey wuzoo toot jata hay. Gusl-e-janabat key doran agar gas kharij hojye to gusl ko tark kar key naye siray sey gusl karna zaroori nahi hay balkeh gusl mukammal karney key baad aihtiyat-e-wajib kee bina par wuzoo karna zaroor hay. Ref: Tawzeeh ul Mazail Aqai Seestani Probe No. 329 & 392 Khuda Hafiz

Id: 43
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia gas kharij hone se wazoo toot jata hai aur agar gusl-e-janabat ke doran gas kharij ho to kia hukum hai.

Answer: Salam un Alaikum, Gas kharij hone sey wuzoo toot jata hay. Gusl-e-janabat key doran agar gas kharij hojye to gusl ko tark kar key naye siray sey gusl karna zaroori nahi hay balkeh gusl mukammal karney key baad aihtiyat-e-wajib kee bina par wuzoo karna zaroor hay. Ref: Tawzeeh ul Mazail Aqai Seestani Probe No. 329 & 392 Khuda Hafiz

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1238
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikmum mera question hai k wazu kin cheezaun se toot ta hai

Answer: 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koe bhi cheez ho jaay wazu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istahaza 7)janabat balkeh ethiat e mustahab ki bina per har wo kam jis se ghusl karna wajib ho jay (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 322). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1246
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Cigarate pine se hasne se wadoo makru ho jata hai??

Answer: In kamo say wuzu per koe asar nahi perhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 235 - 343). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1412
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar kisi zakhm waghaira say khoon kharij hona shuroo ho jai to wuzu batil ho jata hai?

Answer: wuzu k baad khoon nikalnay say wozo baatil nahi hota albattah namaz k liay khoon ko pak karna ho ga. (ref : Tauzee hul masayl ayat ullaha khoe (d.b.) masla # 329).

Id: 1732
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam u elykam. Kya namaz k dooran reekh/hawa ko rokne se wuzu aur namaz tuut jati hai?

Answer: Agar riyaah(gas) kharij ho to wazu batil ho ga aur agar kharij na ho to wazu batil nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322).

Id: 1773
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA kiya smoking karney say wazoo batil ho jata hay?

Answer: Smoking karnay se wazu batil nahi hota. Balke 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koi bhi cheez ho jay wazu batil ho jata ha.1)peshab 2) pakhana 3)reah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zail ho jay 6)aurat ka istahaza 7)janabat bulke ethiat e mustahib ki bina per har wok am jis se ghusl karna wajib ho jay (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 322)

Id: 1822
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam mera sawal ye he k jab bhi me wazoo karta hoo namaz parhne k lye woh zyada dair qaim nhi rehta wazoo toot jata he khaas kar jab me namaz me hota hoo me dubara wazoo karta hoo or woh phir toot jata he mere lye kya hukum he?

Answer: agar kise shaks ko ye aarza lahaq ho kay riha(gas) roknay per qadir na ho to zarore hai k un logo kay mutabiq amal kare jo pheshab aur phakhana rokhnay per qadir na ho. agar kisi ko peshab ya phakhana bar bar you ata ho kay isay wazo karkay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhall na ho to us ka 1 wazo chand namazo ke liye bhi kafi hai albatta behar ye hai ke har namaz ke liye 1 baar wazo karay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 308-314 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1836
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa..... ager peshab k qatray mehsos hon,peshab karnay k bad,or app hallat-e-namaz mn hon,to namaz tot gai???or istibra ka tareeka in detail plz????

Answer: Ager us shaks ko pata nahi ke wo qatre pishab ke hen to Jis shakhs ne peshab k baad istibra kiya ho or is k bad koi ratoobat kharij ho jis k bare men wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. Aur agar kisi shakhs nai istebra na kiya ho or peshab krne k bad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi or is se wazu bhi batil na ho ga.Or agr mashkuk ratubat pishaab ke baad or itibraa se pehle kharij ho to wo pishab ka hokum rakti hai or pishaab mubtilaat e wazoo main se hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70, 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Agr us shakhs ko pata ho ke pishaab ke qatre hen to ager ye un logon men se hai jo is marz men mubtala hain to zaruri hai ke in logon ke ahkaam per amal kare,or agr is ko ye marz nahi hai or pata ho ke pishaab ke qatre hen to us ke namaaz batil hai (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 306 to 314, 1113) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Istebra ek mustahab amal hai jo mard hazrat peshab k bad is wajah se anjam dete hen take ye itminan ho jaye k pishab ki nali men peshab baki nahi raha, Is ka tareeqa ye hai k peshab se farigh hone k bad baaen haath(left hand) ki darmiyani ungli(middle finger)ha usko pakhane k maqam se peshab ki nali ki jarh tak sonten(wipe) kren or is k bad angothe ko peshab ki nali k uper or or anguthe k sath wali ungli ko peshab ki nali k neche rakhen or daba kar khatna k maqam tak le aen phir 3 dafa jatkein. Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 1929
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: janab plz mujay guide kary k, kia wadu ki haalat may BIVI ko touch kia ja sakta hai, kia us say wadu to nai tootay ga.

Answer: 1) Biwi ko choonay se wuzu batil nahi hota magar ye k mani kharij ho jaay. 2) 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koe bhi cheez ho jaay wazu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istahaza 7)janabat balkeh ethiat e mustahab ki bina per har wo kam jis se ghusl karna wajib ho jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!