Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9243
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: wazu k bad kisi non musllim or hindu se hath milne se kiya wazu tot jata hai?

Answer: Is se wuzu nahi toot,ta. (Ref: http://www.aviny.com/Ahkam/ResalehBahjat/bahjat1002.aspx ,Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 19-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9457
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr buray khayalat ki wja se jism k neche k hisay me sakhti feel ho to wazu tot jata ha??

Answer: Is se wuzu nahi toot,ta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Mihajus saliheen, part#1,maslah #55 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9511
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: wazu kay dauran salam ka jawab daysakta kay

Answer: salam ka jawab daina wajib hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #322 ). Update on dated 14-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9682
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia mazi sy jism na pak ho jata hey ya sirf wazu toot jata hey qoitrat\"

Answer:

Id: 9708
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum mera sawal hy k Kiya sheesha dekhny sy wuzu toot jata hy

Answer: Was Salam. Nahi,sheeshay ko dekhna mubtilaat e wuzu mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 322). Update on dated 14-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9831
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar wazu kia ho or 5min k lye aankh lag jaye to wazu toot jaye ga kya??

Answer: Agar aisi neend hai jis ki wajah sai aankhen dekh na sakey or kaan sun na sakey tou wuzu baatil ho jata hai lekin agar aankhen nah dekh rahi ho magar kaan sun rahay ho tu wuzu baatil nahi hota. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 322). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9958
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz me wazoo tootna k shaq se kia namaz batil hojati hai?

Answer: Agar wuzu tootne ka shaq ho tu is shaq se wuzu batil nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #299). Update on dated 23-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10380
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum mera sawal ye hy k jisy peshab k katrat aty hon wo namaz kesy parhy or agr namaz me nikal jay to kya krna chahiye?

Answer: Agar paishaab k qatre aanay ki bimaari ho tu agar osay ye yaqeen ho k namaz k awwal waqt say lay ker aakiri waqt tak osay itna waqfa(time) mil jaay ga keh wuzu ker k namaz perh sakay tu zarori hay k is waqfay k doraan namaz perh lay or agar ossay sirif itni muhlat milay jo namaz k waajibaat ada kernay k liay kaafi ho tu is doraan sirif namaz k waajibaat injaam day or zarori hay k mustahab kaam maslan azaan,iqamat or qunoot ko chorh day.laikin zarori hay k namaz say pehlay apnay kaprhay, badan ko paak ker lay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#306).jis ko ya bimari ho to namaz kay doran lazim nahi hay ky pishab hony ki waja say dobara wazu karay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#307) [Updated on 12-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10466
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roze me agr seprm cl jye. To kya hoga.

Answer: Bay ikhtiyaar agar mani kharij ho jaey tu roza baail nahi hoga lekin agar ikhtiyaar sai kharij ki jaey tu us ka roza baatil hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1569,1570) [Updated on 13-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10616
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia vomit krne se wazu toot jata he ????

Answer: Jee nahi, ye mubtilaat e wuzu mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322) [Updated on 16-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!