Question: Assalamoalikum hafiz Sahab Kia gas agar agay ke taraf say kharg ho to wazu tot jata hay kio k ya masla to Bari umar may Hota hy kuch kahty han wazu karna lazim hy plz rehnumai farmain
Answer: Wazoo ﺮﻴﺎﺡ yani maiday aur antoo ki hawa jo pakhana k maqam sai kharij ho os sai wazoo batil hota hai. Note : hawa ka pakhana k maqam sai kharij hona zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kiya wazu ki halat me zer e naaf haat lagane se wazu tut jaata hai?
Answer: Jee nahi zair e naaf hath laganay sai wazoo batil nahi hota hai, q k mubtilaat e wazoo 7 hain jin mai sai zair e naaf hath lagana nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: slam.mera sawal yeh hy kay aksar hamary pait men awaz peda hoti hy kia is sy wazu tot jata hy? ya nimaz ky doran pait mein awaz ay tu nimaz toot jati hy?
Answer: Ji nahi pait k ander awaz aanay sai wazoo ya namaz batil nahi hoti hai bal k ﺮﻴﺎﺡ yani maiday aur antoo ki hawa jo pakhana k maqam sai kharij ho os sai wazoo batil hota hai. Note : hawa ka pakhana k maqam sai kharij hona zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia tv dekhnay ya song sunnay say wazu tooth jata hai???
Answer: Gee nahi is trha wuzu nahi tootta. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #322). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya wazu without clothes me bhi kar sakte hai? aur kya nage ho jane par wazu tute jata he?
Answer: Kapray utar kar wazu karnay sai koi faraq nahi parta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: molana sahib kea ount ka goshat khanay say wazoo toot gata hay
Answer: Jje nahi is se wuzu nahi toota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #322 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: during nawaz agr wazu toot jai too kya krna chaiye
Answer: Dobara wuzu kar k namaz perhna ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1113 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: doping in namaz r asking prayersks by weees ablution bre. \[kya dua mangtay huee rone se wuzu toot jata ha]
Answer: Ge nahi wuzu nahi tot
Question: A.o.a mere yeah sawal ke agar insaan waze kare aur uske baad usko shak ha ke mera wazoo toot gaya kya wazu nhe banana ha
Answer: Agar koe shakhs shak kare k us ka wazu batil hoa hai ya nahe to ise ye samajna chai k os ka wazu baqi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #299 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: gair mehram ko daikhny se wazo toot jata hay k nahi?
Answer: Nahi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 322 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).