Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10817
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mei apny bachy ku feed krwati hun tu kia apny jism pe nazar parny se wuzu toot jata hei?? R gusal k bad kapry pehnty huy khud pe nazar parny se wuzu toot jata hei?? Plzz answer

Answer: ye dono cheezein mubtilaat e wuzu mai sai nahi hai lehaaza wuzu baatil nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322). mubtilaat e wuzu ki fehrish k liay is link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3630/ per click karain or maslah#329 perh lain. [Updated on 26-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10925
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia galati se tv mein ya mobile mein naked girl ya boy ko dekhlene se wuzu toot ta hai? Aur kia jaan boojh k dekhne se toot ta hai?

Answer: jee nahi is se apka wazu nahi tootta, kyun keh yeh mubtilat e wazu me se nahi hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 322 ). [Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11047
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal yeh hai k agar kissi ko lips pe kiss karain toh kia wuzu toot jata hai. main female hoon toh female k hawale se hi btaiyega

Answer: jee nahi, kisi ko kiss karna wazu tootne ka sabab nahi banta.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzeeh Ul Masail, Maslah No : 322). [Updated on 29-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11133
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Baghair taik lagae sonay sy wuzu tut'ta hy

Answer: Aisi neend jis mai aankh dekh na sakay or kaan sun na sakay tou wuzu baatil hojaata hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 322) [Updated on 30-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11405
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wuzu k bad agr finger ki bejaan skin glti s toot jay to kya wuzu toot jayga

Answer: jee nahi apka wazu sahi hai , kyun ke yeh mubtilat e wazu me se nahi hain. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Maslah No 322 ). [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11542
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aurat ke jisam ka koi hissa nazar aane se wazu toot jata hai?

Answer: is say wazu batil nahi hota (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael Edition# 2019,Mafhoom e Maslah #344). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11543
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: what are mubtilat e wazu , pl metion all

Answer: 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakain tu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa,il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12524
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam o aliekum ! mera sawal yeh hay kay " Agar insaan namaz parthtay waqt usey zehan mein booray khayal ajayey to kiya uss ka wuzu tooth jata hay" ? kiya ussay doobara wuzu karna chahiyey ?

Answer: Jee nahi ye mubtilaate wuzu mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoie maslah no 329). [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13468
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar wazo k bad thori si hawa nikal jay to kia pura wazo dobara krna prhta hai ?

Answer: Jee han, dubara wuzu kiya jaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestrani edition 41 maslah no 322). [Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13630
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya dantoon (teeth) sa hoon ay to Kiya wozu toot jatta ha..hoon agr Thora sa ho to???

Answer: Jee nahi, ye wuzu ko batil karne wali zheezon men se nahin hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322) [Updated on 10-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!