Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3860
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asa mard ki satar doosray mard k samnay Khul janay ki soorat main wadu toot jata hay ??

Answer: 1) Is se wuzu batil nahi hota he. Sirif 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq’ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakain tu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat. 2)Balig musalman ki sharamgah dekhna haram hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322, 2400) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3923
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam o alaikum,agar child ka pamper change karna ho aur toilet karana ho toe kia wazoo toot gata hein

Answer: Wazoo k mubtilaat mai sai hai k khud peshab ya pakhana karna na k doosro ko karana is lie agar aap nai bachay ko toilet karanay sai pehlay wazoo kia hua ho to aap ka wazoo batil nhi ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3951
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agher gas again and again kharij horahi ho tu banda kitni martaba wazu keray ga aur kitni martaba namaz ko tark ker kay wapsi perhay. kyon kay mujay again and again gas kharij hoti hai. ab mien kya kerun?

Answer: Agar kisi shaks ko paishab ya pakhana ya riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu oska aik wuzu chand namazo k liay bhi kaafi hay.siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabi,ee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 308,314) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: 1-Aap ko mashwara hay k aap kisi achay doctor se apna ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karain. 2-Aap namaz perhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia karain, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rookne se bhi gas ki beemari hojati hay. 3- Aap khana khoob chaba ker khaya karain. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or aap ko gas ka maslah nah ho.

Id: 4041
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera q yeh ha k wuzu ka bad agr koi shaks ksi ko gali data ha to us ka wuzu toot jata ha ya nae

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Gali deny se wazu nahi toot jata. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #322 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4272
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam-o-alaykum!! Sir, kiya jhoot bolnay se wazu toot jata hai???

Answer: Jhoot bolna kabeera gunahoo mai sai hai laikin is sai wazoo batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4680
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-u-alaikum.. plz tell me ke wazu kin kin tariko se toot-ta.. Plz give me all the detail thank you..

Answer: saat chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq’ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakain tu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322, 2400) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4682
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: According to some reference , i got the information that if we touch our satar then our wazu breaks.. Plz forward me the details of the reference where it is mentioned about it

Answer: Wazoo only becomes void on account of the following seven things: 1. Passing of urine. 2. Excretion. 3. Passing wind from the rear. 4. A sleep, deep enough to restrict sight and hearing. However, if the eyes do not see anything, but the ears can hear, Wudhu does not become void. 5. Things on account of which a person loses his sensibility, like insanity, intoxication or unconsciousness. 6. Istihaza – which will be dealt with later. 7. Janabat, and, as a recommended precaution, every state which requires Ghusl. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4777
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia istanja k bagair wuzu ho jata hai? Aur shaadi ki pehli raat ko tareeka

Answer: 1)Jee han agar aza e wazoo pak hon to wazoo ho sahi ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 275-278) 2)Biwi k sath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab biwi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makrooh hain un main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) 3)Hambistari ki dua: Mustahab hay k hambistari say pehlay apna haath bivi ki paishani k baal (hair of forehead) par rakhay or ye dua perhay: (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) Tarjuma: “Yaa Allah main nay tairi kitaab k mutabiq is say nikah kia or tairi amanat mian is ko liya hay or tairay kalimaat k zariye say is ki sharam gaah ko halaal kia, pas agar tu nay is k rehem me mairay liay koe cheez ka faisla kiya hay tu is ko muslam or kaamil qarar de or is main shaitaanki ki sharkat na qarar de.” (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, maslah # 4) Note : Hambistri knay ka tareeqa maloom krnay k lie aap kitab islam aur jinsiaat mai sai parh saktay hain.

Id: 4865
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal hai ke mere penis se rozz ek drop white chez nikalte hai kya iss se wazzu toth jata hai....plzz reply

Answer: Agr ksi shaks k maqam-e-peshab sy koe liquid niklay aur wo ye na janta ho k wo mani hai,peshab hai ya koi aur cheez tu agar wo liquid sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust hogaya ho tou wo mani hai lihaza wuzu toot jaega aur gusal-e-janabat bhi krna hoga,lakin agar ye alamaat na hoon tou wo mani nahi hai,lihaza agar wo peshab hai tou wuzu toot jaega magar gusal nahi krna parega.is k ilawa agr wo liquid jo kbhi kbhi sehwat ubharnay par merd k penis sy nikalta,nikla hai tou usay mazee kehtay hain aur wo paak hoti hai aur us sy wuzu bhi nahi tootta aur gusal bhi nahi krna hota. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5012
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam u alikum mara sawal hain ki mery sar kay baal choti umar main hi gir gya jis ki waja say mujay nadamat ka samna karna padta ab main chata hoon ki may wig pehno kya wig kay oper mussa karsakta hoon pls jwab jaldi dana

Answer: Wig pehanna to jaiz hai magar os par masa nahi ho ga aur masah karnay lie wig ko utarna paray ga. (Ref : Tehreerul Wasila pg # 37-39)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!