Question: Kya nanga jism dekhne se wuz hu toothjata hai
Answer: jee nahi ye mubtilaat e wuzu mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoie maslah no 329). [Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalamualikum... Mera sawal yeh hai ki hamara wazu apnay bachay ki potty wash karnay say toot ya kharab ho jata hai...please reply
Answer: Is kaam se wuzu nahi tootta . (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoie maslah no 329). [Updated on 09-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya peshab rokne se wazzu toot jata he
Answer: Peshab rokna makrooh hai aur agar badan k liye mukammal tour per muzir ho to haram hay. Lekin is se wuzu batil nahin hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #78,322). [Updated on 26-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa! Sir kiya hawa kharij hone se sirf wuzu dobara karna hota hai ya istinja bhi zaroori ? Kindly answer me immediately..
Answer: Maq,ad se hawa kharij hone sy wuzu baatil hota hai istinja ki zaroorat nahi hoti faqat wuzu karna kafi hoga .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322). [Updated on 26-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya bina awaz or badboo ki hawa kharij hone se wuzoo tut jata hai
Answer: Riyaah(hawa) chahe awaz ke sath kharij ya bagair awaz ke is ke kharij honay say wuzu toot jata hay or bas wuzu karna hota hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #322). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya sharamgah ko hath lagane se wazu toot jata hai Jaise k shalwar badalty hue agr apni sharamgah ko hath lagayen to dobara wazu karna paray ga?
Answer: jee nahi sharamgah ko haath laganay sai husal baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322). [Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr hm namaz prh rhy hon or hawa kharij hjae toh usk liye dobaraa wuzu krny me taharat b laazim?
Answer: Taharat laazim nahi wuzu kar k doobara namaz parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322). [Updated on 10-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia wazu kerne ke baad alcoholic sanitizer istamaal kerne se wazu toot jata hai?
Answer: Tamaam aqsaam ke alcohol paak hain. Aur Is se wuzu batil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition 42, maslah #109,322). [Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera wazu, doran e namaz, halki c gas kharij hony ki wajha sy toot jata h, ye ikhtiyaari ni h, ba mushkil aik ya do rakat hi parh pati hun. Kiya hukum h
Answer: Agar kisi ko riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu os ka aik wuzu chand namazon k liay bhi kaafi hay. siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabiee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahin hay. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #308,314). (Note: 1: Aap ko mashwara hay k aap kisi achay doctor se ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karen. 2: Namaz parhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia karen, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rokne se bhi riyah(gas) ki beemari hojati hay. 3: Khana khoob chaba ker khaya karen. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or riyah(gas) ka maslah nah ho). [Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Biwi k satar dikh jane se wazu toot jata hai..?
Answer: Jee nahin, ye mubtilaat e wuzu mai sai nahin hai lehaaza is sai wuzu baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322). [Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]