Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14508
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe gas ki problem hai .Chand rakaat k liye bhi wazu nhi rehti. Kya Mai farz namaz k baad wohi tooti hui wazu me shukrani ki namaz ya astagfar ki namaz padh sakti hu kya?

Answer: Agar kisi ko riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu os ka aik wuzu chand namazon k liay bhi kaafi hay. siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabiee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahin hay. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #308,314). (Note: 1: Aap ko mashwara hay k aap kisi achay doctor se ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karen. 2: Namaz parhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia karen, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rokne se bhi riyah(gas) ki beemari hojati hay. 3: Khana khoob chaba ker khaya karen. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or riyah(gas) ka maslah nah ho). Aap Masood homeopathy company ki mother tincture HR-35 ko istemaal karain, insha allah aap is beemari se nijat paa jain gi. (https://masoodstore.com.pk/product/hr-35-gastronex/) [Updated on 30-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15335
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam. Mera sawal hai mjhe aksr gas issue rehta hai to during namaz fart hojata hai hai jo sound nai krta. Kbi kni sound b krta hai.kya namaz batil hojati hai or dubaara prhni prti hai?or fart ho to namaz tor deni chhaye ? Plz reply me

Answer: 7 chezain wuzu ko batil karti hain. in men aik Riyaah(gas) (yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil ho jata hay, lihaza jab wuzu batil ho jaye to is wuzu ke batil hone ki wajah se namaz bhi batil ho jati hai aur dobara parhni hoti hai. Lekin is ka sharaei hal ke hai ke Agar kisi ko riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa parhne ki bhi muhlat nah milti ho tu os ka aik wuzu chand namazon k liay bhi kaafi hay. siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabiee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahin hay.Agar kisi shakhs ko shak ho kay us ka wuzu batil hoa hay ya nahi to usay ye samajhna chahiye kay us ka wuzu baqi hay.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322,308,314,299). (Note: 1. Aap ko mashwara hay k aap kisi achay doctor se ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karen. 2. Namaz parhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia karen, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rokne se bhi riyah(gas) ki beemari ho jati hay. 3. Khana khoob chaba kar khaya karen. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or riyah(gas) ka maslah nah ho). Aap Masood homeopathy company ki mother tincture HR-35 ko istemaal karain, Inshallah aap is beemari se nijat paa jain gay.(https://masoodstore.com.pk/product/hr-35-gastronex/) [Updated on 01-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15688
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mustarbate karne se taharat tutti hai ya nahi

Answer: Jee han, taharat toot jati hai balke masturbation ki wajah se se ghusl karna parhta hai. (Note: Aap ko aik, do or masle ki taraf mutawajjuh karate hain keh jis ki aap ko zaroorat hai) aur wo ye hain: 1: Istimna or khud lazzati(hand practice/masturbation) haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai chahay hath se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. 2: Jo koi bhi shadi na karne ki wajah sai haram fel e haram(masturbation) mai mubtila hota ho tu us par wajib hai k shaadi kar lay. 3: Is gunah ke liye tauba karna lazim hai. aur zaroori hai ke apne aap ko is gunah se bachaen. sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gi, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan rahi hain or Allah ki na-fermani ker rahi hain. Aap koshish karain ke khud ko khuch mufeed kamon main masroof ker lain jaisay sport, parhai ghar ke kaam kaj waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar kare. Agar aap khud par qabo nah paa sakti hon to roza rakhain Q ke roza ghunahon k muqabilay main dhaal ka kaam karta hai. (Ref: Tauzeeh ul masael Jaame, Edition #1435, Maslah #2296. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322,344,2407. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 05-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15802
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr apny wazu krny k baad k kpry change kiye aor kusi dosry bndy ki nazr apky satar py par gai to apka wazu toot gya k ni

Answer: Jee nahin, Is se wuzu baatil nahin hota. Q ke wuzu ko baatil karne wali cheezen saat (7) hain aur in me se sharamgah par nazar parh jana nahin hai: 1) Peshaab or jo masshkook ratoobat peshaab ke bad aur istebraa se pehle insaan se khaarij hoti hai woh bhi peshaab ka hukum rakhti hai. 2) Pakhana. 3) Riyah yani made aur aanton ki hawaa jo maqad (peeche ki sharamghah) se khaarij hoti hai. 4) Neend jiski wajah se naa ankhein dekh saken aur na kaam sun saken, lekin agar ankhein naa dekh rahi hon magar kan sun rahe hon to wuzu baatil nahin hota. 5) Aisi halat jin mein aqal zaail ho jaati ho maslan diwaangi, massti ya behoshi. 6) Auraton ka Istehaaza. 7) Janaabat balkeh Ehtiyaat-e-mustahab ki bina par har woh ka jis ke liye ghusl karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322). [Updated on 01-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15834
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ankh lag janay se wazu toot jata hai? Agar safar mein ankh lag jye namaz ka waqt jaraha ho, wazu ka muqam ni khwateen k liye tu kya kren?

Answer: 1: Wuzu ko baatil karne wali cheezen saat (7) hain in me se aik Neend hai. aur is se muraad aisi neend jis ki wajah se naa ankhein dekh saken aur na kaam sun saken, lekin agar ankhein naa dekh rahi hon magar kan sun rahe hon to wuzu baatil nahin hota. 2: Jab namaz ka waqt itna tang ho ke agar koi wuzu gusl kare to saari namaz ya namaz ka kuch hissa waqt ke baad parha jasake to zaroori hai ke tayammum kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322,668) [Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16344
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr farz prhne ke bad sunaton me wuzu toot jae to kia dobara wuzu krke phr se farz prhne pre ge ?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafaria main wajib aur farz dono ka matlab aik hi hai yani wajib aur farz har wo amal hota hay jis ka anjaam daina shariyat/islam ki nigah me zaroori aur laazimi ho. aur isi tarah sunnat aur nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhi ko mustahab namaz bhi kaha jata hai. 2: Agar wajib ya farz namaz ada ka li ho aur is ke baad wuzu baatil ho gaya ho to agar sunnat ya nafil namaz parhna chahen to jab dobara wuzu karen gi to wajib ya farz namaz dobara nahin parhni balke sirf sunnat ya nafil namaz hi parhnen. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #315,752. + link: https://article.tebyan.net/265836/%D9%85%D8%B9%D9%86%D8%A7%DB%8C-%D9%81%D8%B1%D8%B6-%D9%88-%D9%88%D8%A7%D8%AC%D8%A8-%DA%86%DB%8C%D8%B3%D8%AA- ). [Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16412
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can we talk at performing wuzu

Answer: Wuzu karte waqt batain kar sakte hain, lekin behtar hai ke wuzu karte waqt un duaon ko parha jaye jin ke parhne ko mustahab shumar kiya gaya hai. un duaon ko dekhne ke liye diye gaye link ko visit karen. https://www.sistani.org/persian/book/26575/5633/ (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #1, Edition #1443, Maslah #347). [Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17075
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Smoking sy wudu krna zarrori toh nhi naa? Sirf mouth wash krlain its ok?

Answer: Wuzu ko baatil karne (yani torne) wali cheezen saat (7) hain in me se cigarette noshi (Smoking) nahin hai, lehaza Smoking se wuzu baatil nahin hota aur monh (mouth) dhona bhi zaroori nahin hai. Han! agar koi aisi cheez khayei ya pee jaye jis ki boo(small) logon naagawar guzre to is halat me masjid jana makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #322,902). [Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17307
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam alaikum sir aghr wazo k bd namehram aurat k baal dkh ly tu ussa aurat ka wazo toot jta ha kia ?

Answer: Is se kisi ka wuzu nahin tootata. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322). [Updated on 03-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17409
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: what if i watch naked by mistalkly too roza kabol hogaa???

Answer: Roza sahi hai Q ke kisi ko naked halat me dekhne se roza baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!