Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8055
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam o alaikum,,mera question yeh hai k kia na mehram ko dekhny se wazzu toot jata hai ya nahi

Answer: Wssalam o alykum, G nahi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 322 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8235
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslamoalikum sir mera swal yh hy k wazoo k ly taharat zarori hy jab reh jab khari...j hojay ..ya mamool m b jab tak pakhna sath na nikly tab tak wazoo k ly zaroori hy taharat.

Answer: Agar faqat riyah(gas) kharij ho tu maqad ko paak kerna wajib nahi faqat wuzu kerna kafi hota hay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 322 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8253
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mubtilat e wudhu

Answer: Sirif 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakain tu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa,il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322, (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8293
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Lakoria sy wazu toota ha ky nhe AGR wazu kiya or lakoria nikla to wazu ho ga ya nhe

Answer: Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8328
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A O A my question is that is it important for a girl/women to wazoou again and again in every paryer/Namaaz and if suppoes she removes her scaraf or dupata is it important to do wazoou again? plz kindly answer me

Answer: Wudhu becomes void on account of the following seven things: 1. Wudhu becomes void on account of the following seven things: Passing of urine. Excretion. Passing wind from the rear. A sleep, deep enough to restrict sight and hearing. However, if the eyes do not see anything, but the ears can hear, Wudhu does not become void. Things on account of which a person loses his sensibility, like insanity, intoxication or unconsciousness. Istihaza which will be dealt with later. Janabat, and, as a recommended precaution, every state which requires Ghusl.(Ref: http://www.sistani.org/english/book/48/2159/ ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8427
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya begar sir pe duptta namehram dekhly tw wazoo toot jata hai ??

Answer: is se wuzu nahi toot ta. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 322 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8668
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia cigrat peena sa wazu toot jata ha

Answer: Nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #322). Update on dated 18-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8876
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam. mubtilaat e wuzu?

Answer: salam.

Id: 9146
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam-0-alaikum ....ap say puchna tha kay jb hava kharij ho jay to vazoo toot jata haii ....lakin is ka bad bathroom ja kay sharm gah ko dhoona chaye ya vasa he dubara vazoo kar lana chaye...

Answer: Gas kharij hone se wuzu toot jata hai. laikin sharamgha ko dhona zarori nahi srif wuzu kar lena zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #322,80,315). Update on dated 14-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9195
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main shaadi shuda ho.main jab bhi wazu karti ho.tab zehan mai gande khiyalat ate hai.private part aur sex k.kya iss se mere wazu toot jayega

Answer: Wuzu nahi toota . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322) , Waswasae k lye ( la hula wala quwata illa billah) perhe.(mafati jinah pg# 208). Update on dated 23-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!