Question: Kia wazoo ki halat mai wife k jism ko choona or boosa karna jaiz he?
Answer: Jee haan jaiz he or is se wuzu nahi tot ta . 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koi bhi cheez ho jay wazu batil ho jata ha.1)peshab 2) pakhana 3)reah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zail ho jay 6)aurat ka istahaza 7)janabat bulke ethiat e mustahib ki bina per har wok am jis se ghusl karna wajib ho jay (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 322) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aslamualikum mera swal yh hai k kia qahqha lga k hnsnay say wazuu pay koi farq prta hai mtlb toot jata hi ya nhi
Answer: Is se wuzu batil nahi hota he. Sirif 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istahaza 7)janabat balkeh ethiat e mustahab ki bina per har wo kam jis se ghusl karna wajib ho jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar koi shohar apni biwi ko wuzu ke bad barhana dekh lay ya kisi bachay ko to kia uska wuzu toot jaiga.
Answer: Jee nahi is se wuzu batil nahi hota. saath chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koe bhi cheez ho jaay wazu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istahaza 7)janabat balkeh ethiat e mustahab ki bina per har wo kam jis se ghusl karna wajib ho jay.In 7 cheezoon k alawa wazu batil nahi hota he (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia kahkaha laga k hasnay say wazu tot ta hay??
Answer: 1) Is se wazoo batil nahi hota he. 2) 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koe bhi cheez ho jaay wazu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istahaza 7)janabat balkeh ethiat e mustahab ki bina per har wo kam jis se ghusl karna wajib ho jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya bacche ko doodh pilane se wazuu toothta hai...
Answer: Gee nahi doodh pilane se wazu nahi toot`ta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)
Question: muje ye pochna hea,ke agar hawa kharig ho gheay ye awaz wali hawa nikil jahey to kia wazzo toth jata hea .plz tafseel mea jawab anayat farmahey
Answer: Jee haan, 7 cheezain wuzu ko batil ker daiti hain jin main se aik ye bhi k: meday{Stomach} or aanto{Intestines} ki hawa jo maq,ad{Anus} se kharij hoti hay, os se wuzu batil hojata hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 322). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Maira qustn ye hai keh gas khaarij karnay k baad jb namaz parhne hai to uskay liye wuzu sy pehlay taharat karna lazmi hai??
Answer: Riyah ya gas(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay or namaz or is jaisi doosri ibdaat ki Adaigi k liay wuzu kerna zarori hojata hay. Laikin wuzu se pehlay ya baad main maq,ad(anus) k maqaam ko dhona zarori nahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 315,322) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASSALAM O ALYKUM janab mera sawal ya ha k kiya hum esha ki namaz k wazu sa fajar ki namaz par sakty ha jasy hum eash ki namaz parkar sojae aur fajar ma uthy
Answer: 1- Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakaintu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah#322 ). 2- Mustahab hay k agar insane bawuzu ho tab bhi har namaz k liay dobara wuzu kia jay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 321). Note: agar aap isha ki namaz perh ker jaagtay rahain yaanh tak k fajr ki namaz ka waqt ajaay or koe aisi cheez bhi ap se nah hoe ho jis se wuzu batil {toota} hota ho, tu aap osi wuzu se namaz perh saktay hain laikin agar aap sojain tu aap ko fajr k liay wuzu kerna hoga.
Question: kya pessab ke baad mani ke katre aane se wazoo tootta ha ya nahi
Answer: Note : Is website per fiqh e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)Wo ratubat jo baaz awqat peshab k baad nikalti he usi wadi kaha jata hay(wo mani nahi hoti hay) aur agar peshab os se mila hua na ho to wo pak he. Mazeed ye k jab kisi shakhs ne peshab k baad istebra kia ho aur os k baad koi ratubat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he ya koi aur ratooobat to wo pak he. Aur wazoo bhi batil nahi hota. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 70 2)Agar Peshan k baad mani kharij ho to wazoo batil ho jata hay. Aur Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 322 , 356 Note : Is website per fiqh e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)Wo ratubat jo baaz awqat peshab k baad nikalti he usi wadi kaha jata hay(wo mani nahi hoti hay) aur agar peshab os se mila hua na ho to wo pak he. Mazeed ye k jab kisi shakhs ne peshab k baad istebra kia ho aur os k baad koi ratubat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he ya koi aur ratooobat to wo pak he. Aur wazoo bhi batil nahi hota. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 70 2)Agar Peshan k baad mani kharij ho to wazoo batil ho jata hay. Aur Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 322 , 356 3)Mani niklnay k baad Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: pehle ek baar sawal kia tha wazu ka reply nahi aya k dil o dimag main koi galat baat ajaye to kia waju tut jata hai email hi kar dien
Answer: Is se wuzu batil nahi hota he. Sirif 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab aur jo mashkooq ratubat peshab k baad aur istibra se phele nikalti he wo pheshab ka hakum rakte hai 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakaintu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)