Question: Asalamualikum, 1:agar koe na mehram ap k balon ko dekh laita hai to wozu totta hai? 2:agar namehram ap se haath milata hai to wozu totta hai? Thanks.
Answer: ye kaam haram hain laikin is kaam se wuzu nahi toota. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 322 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya bina wazu kiye kuraan shareef ko mobile par pad sakte hain
Answer: Gee haan, Baghair wuzu k Quran perh saktay hain.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 2014 , maslah # 321 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar wazo karne k bad peshab ke katra a je to wazo toot gta ha ya nahi
Answer: Ager pishaab k baad istibra kiya ho or phir esa qatra aay jis k bare main shak ho k ye pishaab hai ke nahi to is se wuzo nahi toota, han ager yaqeen ho k pishaab ka qatra hai to wuzo toot jata hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 70 , 322 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Assalam-o-Alikum wr wb ... Jii Mera Sawal Hai Key .. Kya Aaina Dekhney Sey Wazu Toot Jata Hai ? ..
Answer: wssalam o alykum, nahi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 322 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: mera sawal ye ha ke agar hawa kharij hone ko aye lekin kharij na ho or wapis chali jaye to wazu tot jata ha ke nhi
Answer: Riyah (gas) (yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq’ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hai (lekin agr kharij na balke sirf aysa mehsoos ho k kharij hone wali hai ya pet men hi gardish kr rahi ho to ho to wazu batil nahi hoga).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia muh sy khoon nikalny sy wozo toot jata hai....? mery dantoo(tooth) sy na chaty hoye aksar khoon ata hai jes ke waja sy mujy wozo dubaa karna parta hai...
Answer: Is se wuzu batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Keya shisha dakhny sy wazo tot jata hai?
Answer: Jee nahi shesha daikhne se wuzu nahi tootta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Sallam sir kia ek mother wazo ker ley or us ka bacha poti ker dey or wo poti doodh dey tu kia mother ko phir sey waju kerna pary gs ya wazu ni tooty ga
Answer: Wssalam o alykum, dobara wazo nahi karna. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 322 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae)
Question: Assalamualaikum wa rehmatullahi wa barakaatuhu ...... Mein ne kuch logo se suna hai ki peshab se takharat nahi toot ti . Kya yeh baat sahi hai please jaldi jawaab de!
Answer: Wssalam o alykum, G nahi peshab se taharat toot jati hai. or agr koi aysi ibadat krna ho jis k liye wazu zaruri hai to peshab k bad wazu krna hoga.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 322 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Jb mai pishab kr k uthta hun tou meray qatray nikal jatay hn , aur meri manni bhi patli ho rhi hai kbi kbi asa feel hota hai k ik dum say qatrat niklnay walay hn mgr asa ngi hota ap btaien k ab mai kya karun please replay fast
Answer: Ager shaks ko pata nahi ke wo qatre pishab ke hen to Jis shakhs ne peshab k baad istibra kiya ho or is k bad koi ratoobat kharij ho jis k bare men wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. Aur agar kisi shakhs nai istebra na kiya ho or peshab krne k bad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi or is se wazu bhi batil na ho ga.Or agr mashkuk ratubat pishaab ke baad or itibraa se pehle kharij ho to wo pishab ka hokum rakti hai or pishaab mubtilaat e wazoo main se hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70, 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Agr us shakhs ko pata ho ke pishaab ke qatre hen to ager ye un logon men se hai jo is marz men mubtala hain to zaruri hai ke in logon ke ahkaam per amal kare,or agr is ko ye marz nahi hai or pata ho ke pishaab ke qatre hen to us ke namaaz batil hai (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 306 to 314, 1113) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Istebra ek mustahab amal hai jo mard hazrat peshab k bad is wajah se anjam dete hen take ye itminan ho jaye k pishab ki nali men peshab baki nahi raha, Is ka tareeqa ye hai k peshab se farigh hone k bad baaen haath(left hand) ki darmiyani ungli(middle finger)ha usko pakhane k maqam se peshab ki nali ki jarh tak sonten(wipe) kren or is k bad angothe ko peshab ki nali k uper or or anguthe k sath wali ungli ko peshab ki nali k neche rakhen or daba kar khatna k maqam tak le aen phir 3 dafa jatkein. Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).