Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya najasat e haiz ki halat main shohar kisi bhi qism ka rabta rakhna sahih hay?

Answer: Najasat e Haiz ki haalat main Aurat say Jima(Sexual Intercourse) kay Ilawa har qism ka rabta rakh saktey hain. Ref:Masala No.459 Pg.No.102.(Urdu Tauzeeh-ul-Masail)

Id: 74
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: if a woman gets tahir after midnight (blood of haizz stops after midnight) is it wajib for her to perform ghusl and pray magrib /ishaa or only namaz e fajr is wajib on her ? 2.how will be midnight calculated according to ayatullah khoir.a?

Answer: 1:Kisi uzr ki wajah say maghrib ya isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to aihtiyaat-e-wajib ki bina par usay chahiye kay subah ki azan say pehlay pehlay ada aur qaza ki niyyat kay baghair namaz parhay (lihaza aap ghusl kar kay (aur behtar ye hay kay ghusl say pehlay wuzu karay) namaz-e-maghrib o isha baghair ada aur qaza kay anjaam dain)...2:Adhi raat ka hisaab awwal-e-ghuroob-e-aaftab say ibtida-e-tuloo-e-aaftab tak karna chahiye.(is bina par maghrib o isha ki namaz ka aakhiri waqt zohar-e-sharee kay 12 ghantay baad tak hay)masalan agar zohar ka waqt 12:30 bajay din main hota hay to maghrib o isha ka waqt raat 12:30 tak rahay ga.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.472,748.Minhaajus Saaliheen Masala No.134.

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 163
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: halat_e_haiz main nazer dili chize kahasakti hai

Answer: Jee haan JAIZ hay.Ref: Isftiftaat A.Khaminae K-34.

Id: 187
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: How can a woman pray during menses, if she wants to at the time of azan / namzaz?

Answer: In makhsoos ayam main Namaz aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum kay saath ada karna zaroori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon,JAIZ NAHI hay.laikin in ibadatoon kay ada karnay main koi haraj nahi hay jin kay liye wuzu,ghusl ya tayammum karna zaroori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat waghaira.Haaiza kay liye mustahib hay kay Namaz kay waqt apnay aap ko khoon say paak karay aur Rooi(Cotton) ka tukra badlay aur wuzu karay aur agar wuzu na kar sakay to tayammum karay aur Namaz ki jaga par ro-baqibla ho kar itni dair tak baithay jitni dair usay Namaz parhnay main lagti hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.76,78,Masala No.448,466.and I-21.

Id: 375
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I would like the have the answer to Q ID#134 under Seestani rulings.

Answer: bismehi taala, Wuzu should be done for Namaz-e-Asr again (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.392-293)

Id: 412
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya haiz ki halat mein aurat se humbistari jaiz hai?

Answer: bismehi taala, sharmgah me jemaa jaiz nahi (ref: tawzihul masail Aytullah Khumeni (r.a.) masaala no.450)

Id: 447
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: after periods ghusal kerna zaroori hae or us ka tariqa kia hae...plz reply soon

Answer: bismehi taala, gusale haiz wajib he, tatibi gusal me ahteyate lazim ki bina par gusal ki niyyat se pahle pura sar or gardan or bad me badan dhona zaroori he or bahetar he k badan ko pahle daeen tarf se or bad me baeen tarf se dhoya jae. (tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 367)

Id: 575
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ek aurat yan larki ko haiz ki halat main namaz ki ejazat hay?

Answer: bismehi taala, In makhsoos ayam main Namaz aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum kay saath ada karna zaroori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon,JAIZ NAHI hay.laikin in ibadatoon kay ada karnay main koi haraj nahi hay jin kay liye wuzu,ghusl ya tayammum karna zaroori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat waghaira.Haaiza kay liye mustahib hay kay Namaz kay waqt apnay aap ko khoon say paak karay aur Rooi(Cotton) ka tukra badlay aur wuzu karay aur agar wuzu na kar sakay to tayammum karay aur Namaz ki jaga par ro-baqibla ho kar itni dair tak baithay jitni dair usay Namaz parhnay main lagti hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.76,78,Masala No.448,466.and I-21.

Id: 886
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is there any kind of ristriction in offering namaaz when agirl\women having periods

Answer: Acts which are Haraam for a woman who is in the state of Hayz: • Prayers and other similar acts of worship for which Wudhu or tayammum or Ghusl is necessary. However, there is no harm in her performing those acts of worship for which Wudhu, tayammum or Ghusl are not obligatory (e.g. Namaz-e-Mayyit). • All those acts which are forbidden to a junub (see rule no. 361). Having sexual intercourse; it is Haraam for man as well as for woman even if only the penis glans may penetrate, and even if semen may not be discharged. In fact, the obligatory precaution is that the male should refrain from insertion even to an extent lesser than the point of circumcision. (Ref : website of Ayatullah sistani(d.b) http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=2&bid=59&pid=2903 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 900
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam-o-elikum mujh yai pouchna hai k HAIZ ki halat main mard bv ko sahramgaa say chow sakta hai k nai or kya mard bv ki safai ker sakta hai haiz ki halat main sharamga ki

Answer: Haa’iz(jo aurat haiz ki halat main ho) say jima k alawa dosri lutf andoziyoon maslan boos o kinaar (kissing) ki mumani’at(rukawat) nahi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), tauzeehul masa’il,maslah#451). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!