Question: Hum namaz me salam parhany k bad sajda shukar karty hen mera sawal ye hay k sajda shukar me hum dayn(left),bayn(right) mun kyun karty hen?
Answer: 1)Har namaz k bad taqeebat sai farig ho kar sajda e shukr baja lana mustahab hai. aur itna kafi hai k shukr ki niyat sai peshani zameen par rakhay laikin behtr ye hai 100 dafa ya 3 martaba ya aik dafa ﺸﻜﺮﺍﷲ ya ﻋﻔﻭﺍ kahay. Is ka alawa 10 martaba ﺍﻠﻌﻔﻭﺍﻠﻌﻔﻭ kahay phir right rukhsar sajdigah par rakh kar 3 martaba ﻴﺎﺍﷲﻴﺎﺮﺒﺎﻩﻴﺎﺳﻴﺪﺍﻩ kahay aur phir left rukhsar sajdigah par rakh kar 3 martaba ﻴﺎﺍﷲﻴﺎﺮﺒﺎﻩﻴﺎﺳﻴﺪﺍﻩ kahay phir dubara peshani sajdigah par rakh kar 100 martaba ya 3 martaba kahay ﺸﻜﺮﺍﷲ . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1110) 2)Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Sir muje namaz ka tareeka pata nhi he farj me kya padna chahiye johr me aaap pls muje batae
Answer: Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawabat diye jatay hain.
Question: salam...my question is that..........kay table chair per namaz perhne k kiya sharaiyet hai...........??
Answer: 1)Jab tak insan kharay ho kar namaz parh sakta ho zaroori hai k wo beth kar namaz na parhay maslan khara honay ki halat mai kisi ka badn harkat karta ho yaw o kisi cheez par taik laganay par ya badan ko thora sa terha karnay par majboor ho to zaroori hai k jaisay bhi ho sakay khara ho kar namaz parhay laikin agar wo kisi terah bhi khara na ho sakta ho to zaroori hai k seedha beth jae aur beth kar namaz parhay. 2)Jo shakhs beth kar namaz parh raha ho agar wo alhamd aur surah parhnay k baad khara ho sakay aur ruku khara ho kar kar sakay to zaroori hai k khara ho jae aur qayam ki halat mai ruku mai jae aur agar aisa na kar sakay to zaroori hai k ruku bhu beth kar anjam dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 957-59)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A/s kya farmate h ulMadeen rafaden ke bare me baraye karam Quran our hadesh ke hawale se bataye
Answer: Mustahab hay k namaz ki pehli takbeer or namaz ki dermiyaan digar takbain kehtay waqt haatho ko kano k baraber tak lay jain(yani rafa yadain karain).(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 942 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam-0-Alekum mera sawal ye hai k mujhe peshab ki problem hai mere katre behte hai or mujhe namaz ki bohot problem hoti hai or mai bar bar changr tw kar nhi sakta kappry tw mere liye kya hoqum hai plz mere sawal ka jawab jaldi diya sukriya :)
Answer: 1.Agar kisi shakhs ko ye merz ho k paishab k qatray girtay rehtay hoon, agar osay Yaqeen ho k Namaz k Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak itna waqfa mil jaey ga k wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay k waqfay k doraan namaz parh lain aur agar osay sirf itni muhlat milay jo namaz k wajibaat ada karnay k liay kaafi ho to is doraan sirf namaz k wajibaat anjaam day aur zaroori hay k Mustahab Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2.Agar os ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz k dooran aik martaba ya chand martaba paishab k qatray kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat k dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz k doraan Lazim nahi hay k paishab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.. 3.Agar os ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aik wuzu chand namazoon k liay bhi kafi hay siwaey ye k koe doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay k har Namaz k liay aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat k liay doosra wuzu zaroori nahi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#306-308 ). Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen, pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya Rafa dayan karna sahi hai ya galat
Answer: Mustahab hay k namaz ki pehli takbeer or namaz ki dermiyan digar takbeerain kehtay waqt haatho ko kano k baraber tak lay jain(yani rafa yadain karain).(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 942 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASALA-0-ALEKUM MERA SAWAL YE HAIN KAI MAI NAMAZ PARHTE WAQAT APNE AKHE KAHAN RAKHON OR MERI AKHE EDHAR UDHAR DEKHE TW KOE HARJH TW NAHI PAR MERA MU QIBLA PAR HI HOTA HAI PLZ SIR MUJHE BATA DE MAI KAHA GALTI KAR RAHA HON PLZZ JALDI REPLLY
Answer: Namaz mai makrooh hai k koi shakhs namaz ki halat mai apni ankho ko left ya right tarf phairay jab k mustahab hai k namaz mai apni nigah sajdah ki jigha par rakhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 964,1144)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Ajj kal Masjido me Mirror(Sheeshy ) ka istaml zayada ho rha hai , buht dafa apna aks us me ne nazar aata hai or tamam log us aks k samny namaz ada krty hain kya is se koi masla hota hai ya nhi?
Answer: Aainay(Mirror) k saamnay namaz perhna makhroh hay. (Ref : email rcvd from A.sistani(d.b),dated Mar 19, 2010) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aurat namaz Beth k parhy ya uth k ??
Answer: 1)Jab tak insan kharay ho kar namaz parh sakta ho zaroori hai k wo beth kar namaz na parhay maslan khara honay ki halat mai kisi ka badn harkat karta ho yaw o kisi cheez par taik laganay par ya badan ko thora sa terha karnay par majboor ho to zaroori hai k jaisay bhi ho sakay khara ho kar namaz parhay laikin agar wo kisi terah bhi khara na ho sakta ho to zaroori hai k seedha beth jae aur beth kar namaz parhay. 2)Jo shakhs beth kar namaz parh raha ho agar wo alhamd aur surah parhnay k baad khara ho sakay aur ruku khara ho kar kar sakay to zaroori hai k khara ho jae aur qayam ki halat mai ruku mai jae aur agar aisa na kar sakay to zaroori hai k ruku bhu beth kar anjam dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 957-59)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mje buht derr bad pata chala k jub maine namaz parhi ti tb mei pak nai ti lakin ub mje namazain yad nai k kitni ti k mai repeat kr lu...r mje yakeen h k mai tb pak nai ti to ub mai kiu kru? kiu k napaki mei to namaz nai hoti
Answer: G han dubara parhni parengi, namaaz ke kam se kam adad ke mutabiq parhen, jese ager shak ho ke qaza namazain 5 thi ya 7 to 5 pharna zarori hai, or behter hai ke 7 pharain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #1364 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).