Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4800
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Dear Sir, mujy app say yh poochna hy k fraz nimaz mn muqtadi doran-rukhu or Sajood tasbeehat ki miqdar kitni muqarir hy. ya un limited hy. is baat ka jwab mukamal detail ky saath dy . ap kee Mherbaani ho gi.

Answer: Zikr e ruku mai mustahab hai k isay 3 ya 5 ya 7 dafa bal k is sai bhi ziada parha jae. Behtr hai ikhtiar ki halat mai ruku mai 3 dafa “ ﺴﺑﺤﺎﻦﺍﷲ ” ya 1 dafa “ ﺴﺑﺤﺎﻦﺮﺑﻰﺍﻠﻌﻆﻴﻡﻮﺑﺤﻤﺪﻩ ” kahay laikin ehtiyat-e-wajib ki bina par zaroori hai itni hi miqdar mai ho laikin waqt ki tangi aur majboori ki halat mai 1 dafa “ﺴﺑﺤﺎﻦﺍﷲ ” kehna kafi hai. isi terah zikr e sajdah ka bhi ye masla hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1016)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4802
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa...qayam me Al-hamd or surah k bad durood parh sakte he?

Answer: Namaz me quran parhnay aur dua karne me koi haraj nahi. Yani durood parh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1122 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4877
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo alaikum Can we do prayer in front of miror Aur kya ye ahadees sach hai ki black shoes pahenne se bachche nahi honge

Answer: Every such act which disturbs attention and humility is Makrooh in namaz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1144)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4887
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya jute pahen ke namaz padh sakte hai

Answer: Agar jutay najis na hon to jutay pehan kar namaz parh sakta hai aur namaz e miyyat mai mustahab hai k namaz nangay poun parhi jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 601)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4895
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz k doran peron men kiyne fasla hona chiye

Answer: Namaz k durain mustahab hai k mard apnau donoo pairon k darmian 3 pheli hui ungliyo se le kar 1 balish tak ka fasla rakhain aur aurat apnay donoo pairon ko mila kar rakhy. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 964 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5082
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sarri or johri namaz m kia farq hai ?

Answer: Mard kay liye ehtiyat ki bina par wajib hai k Fajr,Maghrib aur Isha ki Namaz main Al-Hamd aur Sura Buland awaz say parhay aur mard aur aurat donoo par ehtiyat ki bina par wajib hai k namaz e zohar aur asr mai al-hamd aur surah aahista parhay. Aur is ka Mayaar URF hay(yani society k naik loog) aur isi tarah aahista parhnay ka mayaar bhi URF hay,ye Wajibaat-e-Ghair-e-Rukni main say hay.aur Agar jaan boojh kar jahan buland awaz say parhna hay aahista parhay aur jahan aahista awaz main parhna hay wahan buland awaz say parhay to uski Namaz Batil hay,haan agar bhool jaey ya masala na janta ho to is soorat main Namaz sahih hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 979) (Ref:Urwatul Wusqa A.Sistani Part-2 Masala No.22-26)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5125
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can we pray namaz in dark? or kamray ki light off karkey? please suggest.

Answer: Andharay(dark) mai namaz parhna jaiz hai laikin agar is sai namaz ka khashu aur khazoo khatam ho raha ho to makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1144)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5191
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaj padhne ke liye kitna time laga ta hai

Answer: Jo shakhs namaz ko mamooli aur gair ahm samjhay wo is shakhs ki manind hai jo namaz na parhta ho. Aik din rasool e khuda s.a.w.w. masjid mai tashreef farma thay k aik shakhs masjid mai dakhil hua aur namaz mai mashgool ho gya laikin ruku aur sujood mukammal tor par na bja laya. Is pr aap s.a.w.w. nai farmaya: “agar ye shakhs is halat mai mar jae jb k is k namaz parhnay ka ye tareeqa hai to ye hamaray deen pr nahi maray ga”. is lie insan ko chaheay k namaz jaldi jaldi na parhay aur namaz ki halat mai khuda ki yad mai rahay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg # 121-22) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5279
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jab ham apni family k sath park wagira mai jatay hai to waha par namaz ka waqt ho jata hai to kia hum wahi par namaz parh saktay hain ya is k lie ijazat hasil krna zaroori hai?

Answer: Namaz parhna jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 77,pg # 43)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5461
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mein aksar namaz parh te huway aayat paraha hota hun aur mein kabhi ghalat alfaaz hjata ha aayat k doran toh mjhe kia phir se shurruh karni chaiye aayat ?

Answer: Agar koi ayat ya lafz galat ada ho jae to wohi ayat ya jumla dubara sahi tareeqay sai parh lain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1003)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!