Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11155
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz padhne ki jagah par roshni ka hona kitna zaroori hai

Answer: Namaz parhne ke liay roshni ka hona ya na hona koi zaroori nahi hai , (khulasa Masla) (Tauzeeh ul masail,Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Masla No 854-886). [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11169
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: My ne zohr ki namaz ba jamad ada ki puri. Bhul kar my utkhada hogaye aur 1 rakat ziada padli Kia masla hai

Answer: namaz ke wajibat me se baad us ke rukun hai yani agar insan unhe baja na laye to khuwah aisa karna amdan ho ya ghalti se ho namaz batil ho jati hai aur baaz wajibat rukun nahi hai yani agar woh ghalti se choot se jaye to namaz bati nahi hoti . NOTE : apne puri rakat me iazafa kar diya to apki namaz batil ho gayi hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul Masail, Masla no #929). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11314
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalwalenkum, ruku m hmari nzr kaha honi chahiye turba p ya pairo ki trg

Answer: halat e qiyaam main apni nazar sajdagaah par or, halat e ruku main dono qadamo k dermiyaan or jab baithnay ki halat main apne daman par nigaah rakain tu ye cheezain namaz main tawajjah paida karne ka sabab banti hai .(Ref:A.Sistani(d.b),Mujtahid se pochay gaye sawalaat,part#3, sawaal#76 ) [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11509
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alaikum Maine puchna tha k namaz k doran Mai aksar aesa lagta hai jaese Maine ek br sjda Kia hai to aese Mai kya krna chaye

Answer: agar apko shak hai keh apne do sajday kiye ya nahi aur ap kharay ho chukay hai agly rakaat ke liay ya agla rukun baja lar rahe hai ya la chukay hain to is shak ki parwah nahi karni chahiye. ( Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No # 1154 ). [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11743
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran ki taleem Dene ki ujrat /fees lena jaiz Hai ya nhi?

Answer: wajibat( masalan wajib namaz me perhe jane wale quran ki sureh ) sikhanay ki ujrat layna ahtiyat ki bina per haram hay magar mustahbat (ya quran ki wo sureh seekhana jo namaz me perhna wajib nahe hay us )ki ujrat layna jaiz hay. (Ref : toziul masahil Aga Sistani db edi # 2019 masla #986) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11771
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Mere chacha ko urine bag luga Hua he kia wo namaz Ada ker saqty hen?

Answer: Jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui (cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 311) (Note: parh sakte hain.) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11812
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shia namaz mein teesri aur cothi rakat mein alhamd parhnay ka kis mujtahid ki taqleed hai, aur Alhamd k baad surah toheed parhay ki kis ki taqleed hai?

Answer: Aihtiyaat ki bina par mard aur aurat dono par wajib hay kay namaz ki teesri aur chothi rakat main chahain to sirf sura-e-alhamd ya sirf tasbeehaat-e-arbaa parhain. (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala # 994). Albatta in do rakatoo main Tasbeehaate Arbaa parhna ziada behtar hay.aur Aihtiyaat-e-Mustahab ye hay kay 3 martaba Tasbeehaate Arbaa parhi jaey. (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala # 992). [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11818
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam u alaikum office ma imam sab ny zohar ki namaz ma qirat kr di. is k bary ma agah kijiay iski tlafi kesy o

Answer: Agar koi shakhs jis namaz ko buland awaz say parhna zaroori hay usay jaan boojh kar aahista parhay ya jo namaz aahista parhni zaroori hay usay jaan boojh kar buland aawaz say parhay to aihtiyat e lazim ki bina par uski namaz batil hay.laikin agar bhool janay ki wajah say ya masala na jannay ki wajah say aisa karay to sahih hay. neez al-hamd aur soora parhnay kay doraan bhi agar wo mutawajjeh ho jaey kay is say ghalati hoi hay to zaroori nahi hay kay namaz ka jo hissa parh chuka ho usay dobara parhay..Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala # 982,Pg.161.) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11910
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualikum! Kia hum apni ahsani k liye koi bi namaz apny hisaab sy parh sahkte hai ???jese fajar ki namaz jb hum aram sy uth sahky tuluu e aftab sy 10 15 min pehly Tb parh sahkty hai???

Answer: Parh to sakte hain lekin munasib nahi he k namaz me takheer ki jaay. Aur is qadar takheer karna jaiz nahi he k namaz qaza ho jaay. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 191 , pg # 88). [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12030
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar namaz me sajday k doran zehan me gali ajae ar asa mehsus hu k wo zuban sa bhi ada ki h tu kia hamay namax dubara prhni hugi ? Kindly reply

Answer: Agar koi shakhs bhole se aisa kalima kahe jis ke huroof aik ya is se ziyada hon to chahe wo kalima mana bhi rakhta ho us shakhs ki namaz batil nahin hoti lekin ehtiyat ki bina par us ke liye zaroori hai ke namaz ke bad sajdaye sahw baja laye. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoie maslah no 456). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!