Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10023
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Fajar parhne ka sahi waqt bta den? Kuch kehte he k asmaan pe roshni hojaye sirf to namaz qaza hojati he kuch kehte he sooraj jab tak nhi nikalta tab tak time hota he, plz thora explain krden

Answer: Subh ki azaan ke kareeb masshriq ki taraf se ek safedi opar uthti hai jise fajr-e-awwal kaha jaata hai –jab yehh safedi phail jaay to fajr-e-duwwum aur subh ki namaaz ka awwal waqt aur subh ki namaaz ka aakhri waqt suraj nikalne tak hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 729) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 29-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10042
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar namaz ke darmiyan maazi nikali toh namaz tut jaati hau

Answer: Jee haan namaz sahi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #1113 ) [Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10162
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz ki hala hum agar pisab ki bond pant per lagay ki gir gaya hai tu kiya nazar tarak kar de ager namaz ada kar leya tu iska kiya kafaza aada karna hoga????

Answer: Kaffara to nahi hoga bass us namaz ko dobara perhna hogi. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 782) [Updated on 14-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10185
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mene aaj isha 12 rakat padhi aur so gayi ki tahajjud ke baad witr aur nifal padhungi, per aaj uth nahi saki to isha kaza me 4 farz aur witr dono padhu?

Answer: is web par fiqh e jafferia k mutaabik jawab diye jaatay hai. [Updated on 07-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10264
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaaz k beach agar koi aya to nimaaz toot jate hai kya

Answer: Jee nahi agar koi aap k saamne sai guzar jaaye tou namaaz baatil nahi hoti. (Ref:Tauzeeh ul masial ayatullah seestani edition 41 maslah no 1113). [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11024
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Isha ki nmaz ki dosri rakat main Imam Surah fatiha Ki pehli ayat onchi parhna bhol gea Jab k Monh me parhi ho to os k baad onchi awaz se hi sari Nmaz parhi to kea namaz ho jai gi or sajda Sao kea Wajib Howa?

Answer: Namaz sahi hogi, aur sajda e sahaw ki koi zaroorat nahi hai. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla no 982 ).(mafhoom e masla) [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11030
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamwalaekum mera sawal ye hai ki kya auratein juma k namaz se pehle ghr pe zohar k namaz padh skti h?

Answer: insan namaz mein us waqt mashgul ho sakta hai jab usay yaqeen ho jaye keh waqt dakhil ho gaya hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla # 730). [Updated on 30-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11041
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ma lambay safar per ja raha ho or mujhy pata hy ky abhi fajar ki azaan ho ny ma 10 min hy lekin mujhy abhi nikal zarrori hy tu kiya ma namaz path sakta ho 10 min pehly?

Answer: Jee nahi, Namaz usi soorat mein parh sakte hain jab apko yaqeen ho keh namaz ka waqt dakhil ho gaya hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Maslah no # 730). [Updated on 30-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11056
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya magrib ki namaz waqt se 5 min pehle start kar sakte hai kya

Answer: Jee nahi, Namaz parhne ke liay namaz ke waqt ka dakhil hona zaroori hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Masla # 730 mafhoom e masla). [Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11061
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: سر جی میرا سوال یہ ہے کہ اگر جسم پاک ہو اور کپڑا بھی اور کپڑے کے اوپر کوئی سوئیٹر وغیرہ ناپاک پہنین تو کیا سوئیٹر کو نکالنے سے نماز ہو سکتی ہے یا اس پر پھر سے غسل واجب ہو جا تا ہے ۔شکریہ

Answer: Najis sweater nikal kar namaz parh saktain hain, is se ghusal wajib nahi hota. (Wajib Ghusal) ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 787). [Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!