Question: Namaz main khushu o khuzu k lye kia zruri hai ?
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Khushu o khuzu, aajzi or inkisari k izhaar ko kehtay hain. Is k liay insan ko chahiay k wo ye khiyaal rakhay k kis hasti se kalam ker raha hay or apnay aap ko khuda wand e alam ki azmat or buzurgi k muqaablay main haqeer or naa cheez samjhay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # before 717). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Aap khushu o khuzu k behtareen tariqay hasil kernay k liay ayatollah dastaghaib sheerazi ki kitaab khasheen ki namaz ko perhain.
Question: Asalamu alaikum...I just want to ask that is it neccessary to recite sana in every rakat or just in the first rakat.And if it in a zohr nimaz do i have to start every 4 rakat or 2 rakat with sana or it is just once in the first rakat of the whole nimaz
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.
Question: AOA kia namaz-e-shab ko chalty/phirty huway bagher Qibla ruk k ada ki jasakti hia jissay nafala namaz ada ki jasakti hia
Answer: 1)Mustahab namaz (is me namaz –e- shab bhi shamil hai) raasta chalte hoay aur sawari ki halat me perhe ja sakti hai aur agar insaan in donoo halato me mustahab namaz perhe to zaroori nahe hai k is ka mou qiblay ki taraf ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 769,753) 2) lakin agar insaan in donoo halato(raasta chalte hoay aur sawari ki halat me) k ilawa mustahab namaz perhe to ehitiyate wajib ki bina per qibla ruke hona zaroori hai.(ref. Urwa tul wusqa part no :2 Ayat Ullaha Sistani (d.b.)masla #after 1245) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: bachon ko kis had tk namaz aur dusre shareeat e islam k ahkamat prr amal krne ka kha jai agr vo un prrr amal na krte hon to...?maan baap ko..!
Answer: Mustahabb hai k samajhdar bachay ko (yani os bachay ko jo buray bhalay ki samajh rakhta ho)namaz parhnay aur dusri abadaat bajalanay ki aadat dali jae balke mustahabb hai k osay qaza namazain parhnay par bhi aa’mada kia jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1370)
Question: Baith k namaz ada krny ka full tareeka btayiye?
Answer: Jub tak insan khary hokar namaz parh sakta ho zarori hai k namaz mai na bethy maslan agr khra honay ki halat mai kisi ka badn harkat krta ho ya wo kisi cheez pr taik lagany ya badn ko terha krny par majbor ho tou zarori hai k jaise bhi hosakay khara ho kr namaz parhay lakin agr kisi bhi surat khara na ho skta ho tou zarori hai k seedha baith jae or beth kr namaz parhay or jo shaks alhmd aur surah k baad khara hoskta ho aur ruku kharay ho kr bja la sakta ho tou zarori hai k khara ho jae aur qayam ki halat mai ruku mai jae aur agar aisa na kar sakay tou zarori hai k ruku bhi beth kr bja laey aur ruku main es qadar jokhna zarori hai k us ka chera us k gutnon k bilmoqabil ja ponchy. Isi terah sajday mai chala jae. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #957,959, 1014 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Nimaz ki duraan ghalti se sajde min raku aur raku min sajde ka ziker parhne se nimaz batil ho jati hai ya nahin
Answer: Is sai namaz batil nhi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1015)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamo alaikum janab namaz main bar bar hathon ko hilana ya kharish karnay kay baray main kia hum hay
Answer: Hathoo sai khailna aur har wo kaam krna jo namaz ka khoshu o khozu khatm kar day namaz mai makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1144)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Main aap sy ye pochna chahta ho k kia namaz k bad hum sajdy mian ja kar dua mang sakty hain k nai
Answer: Insan k lie mustahabb hai k namaz k baad sajdah e shukr baja laye aur itna kafi hai k shukr ki niyat sai peshani zameen par rakhay laikin behtr ye hai k 100 dafa ya 3 dafa ya 1 dafa “ﷲ ﺸﻜﺮﺍ ” ya “ ﻋﻔﻮﺍ ” kahay. Aur dua mang saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1110) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aslam-o-alikum main nay asar ki namaz k bad sajda kar k dua ki to mujy 1 admi nay kaha k Asar ki namaz k bad koi sajda nahi hota. ap mujy durast tarika bta dain.shukria
Answer: Mustahabb hai k har namaz k baad insan kuch dair k lie taqeebat yani zikr, dua aur quran majeed parhaya aur sajdah e shukr baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1109-10) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mere sawal ye ha k namaz k faraz.m or.sunat m kia kia parhna hota her rakat k hisab s batyn detail m batyn .. Jazak Allah
Answer: